सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
aansoo shayari for girlfriends hindi2017
- Aankhon Mein Nami Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hain Naazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Sa Fasaana Hai.....
- Be-Dard Zamaane Ka Bahaana Sa Banaa Kar Hum Toot ~Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar .....
- Tamaam Shab Yun Hi Dekhen Gi Soo-E-Dar Ankhen Tujh~ Ganwaan Kar Na Soyen Gi Umr Bhar Aankhen .....
- Hansne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko, Aansoo ~Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye .....
- Ai Khuda Log Banaaye They Patthar Ke Agar, Mere Ehs~as Ko Sheeshe Sa Na Banaaya Hota .....
- Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye,~ Tu Ne Mere Khuloos Ki Qeemat Bhi Chheen Li .....
- Likhna To Tha Ke Khush Hoon Tere Baghair Bhi, Aansoo Magar Qalam Se Pehle Hi Gir Gaye .....
- Raat Meri Aankh Mein Ek Sailaab Tha, Tera Chehra Dekhna Tha Ki Tabiyat Bhar Gai. .....
- Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkon Ko Padhne Ka, To Behte~ Huwe Aansoo Aksar Baat Karte Hain .....
- Hawa Se Lapati Huwi Siskion Se Lagta Hai,~ Meri Kahaani Kisi Aur Ne Bhi Dohraai. .....
- Falak Tha Jin Ki Nigaahon Mein Manzil-E-Y~ak-Gaam, Chaman Mein Aaj Wo Rote Hain Baal-O-Par Ke Liye......
- Faasle Aise Bhi Hon Ge Ye Kabhi Sochaa Na~ Tha, Saamne Baitha Tha Mere Aur Woh Meraa Na Tha......
-
- Ghairon Se Kaha Tum Ne Ghairon Se Suna Tum Ne, Kuch Hum Se Kaha Hota Kuch Hum Se Suna Hota. .....
- Na Pooch Kyon Meri Aankhon Mein Aa Gaey Aansoo, Jo Tere Dil Mein Hai Us Baat Par Nahin Aaye......
- Guzra Hai Muhabbat Mein Kuch Aisa Bhi ~Zamaana, Rootha Hoon Agar Main To Manaayaa Hai Kisi Ne. .....
- Ghar Ki Ta’ameer Chaahe Jaisi Ho, Us Mein~ Rone Ki Kuch Jagah Rakhna. .....
- Doobna Hi Tha Jo Kashti Ka Muqaddar Yaa-~Rab, Aankh Ke Saamne Ai Kaash Na Saahil Hota. .....
- Hayaat Ik Mustaqil Gham Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin Shaayad, Khushi Bhi Yaad Aati Hai To Aansoo Ban Ke Aati Hai......
- Taaq-E-Masargan Pe Larazte Rahe Ashkon Ke Charaagh, Kis Takalluuf Se Hanse Aaj Ye Hansne Waale. .....
- Zaroorat Hai Hamen Ai Dil Lahoo Ke Chand Qatron Ki, Kisi Ke Naam Maktoob-E-Wafa Tehreer Karnaa Hai......
-
- Zabt-E-Gham Ab To Patthar Kar Dia Warna ‘Faraz’ Dekhta Koi Ke Dil Ke Zakhm Jab Aankhon Mein The .....
- Zabt Se Ahad Baandh Rakha Tha, Aur Phir Bhi B~ikhar Gaye Aansoo. .....
- Sirf Chehre Ki Udaasi Par Aaye Ansoo, Dil Ka Aal~am To Abi Aap Ne Dekha Hi Nahin. .....
- Saif Ye Din To Qayamat Ki Tarah Guzra Hai, Jaan~e Kya Baat Thi Har Baat Par Rona Aaya .....
- Sabab Har Ek Mujh Se Poochta Hai Mere Rone ~Ka, Ilaahi Saari Duniya Ko Main Kaise Raazdaan Kar Loon. .....
- Ragon Mein Daudte Phirne Ke Hu~m Nahin Qaayal, Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai......
- Raat Ke Saath Huwa Khatm Sitaaron Ka Safar, Apne Ashkon Ki Bhi Ab Shammah Bujha Deejiye. .....
- Raat Bhar Aankhon Mein Us Ka Mar- Mareen~ Paikar Raha, Chandni Ke Jhilmilaane Mein Nami Us Ki Bhi Thi. .....
- Doobe Huwe Taaron Pe Main Kya Ashk Ba~haata, Chadhte Huwe Sooraj Se Meri Aankh Ladi Thi. .....
- Hausla Tujh Ko Na Tha Muhj Se Juda Hone Ka~, Warna Kaajal Teri Aankhon Mein Na Phaila Hota. .....
- Chand Aansoo Hain Nadaamat Ke Meri Aan~khon Mein, Aur To Kuch Bhi Nahin Mujh Se Gunah-Gaar Ke Paas. .....
- Jin Ke Honton Pe Tarab-Khez Hansi~ Hoti Hai, Wo Bhi Rote Hain Kitaabon Mein Chhupa Kar Chehre. .....
- Saqib Badi Tauqeer Hai Is Zabat-E-Wafa Mein, Har Ashk Jo Aankhon Se Na Tapke Wo Gohar Hai. .....
- ~
- Toota Nahin Ashkon Se Abhi Zabt Ka Pushta, Paani Abhi Khatre Ke Nishaan Tak Nahin Aayaa. .....
- Theek Hai Ai Zabt-E-Gham Aansoo Koi Ta~pka Nahin, Par Ye Dil Se Aankh Tak Paiham Safar Mein Kaun Hai......
- Tooti Faseel-E-Lab Na Dar-E-Chashm Waa Huwa, Ghut Ghut Ke Mar Gayaa Mere Andar Ka Aadmi. .....
- Tujhe To Zabt-E-Muhabbat Ka Itna Da’awa Tha, Ye Ashk Kaise Teri Aankh Se Dhalak Aayaa. .....
- Wo Har Baar Zid Mein Rone~ Lagtaa Hai, Main Har Baar Us Se Haar Jaataa Hon. .....
- Woh Kehte They Ke Rone Se Na Bad~lenge Naseeb Un Ki Iss Baat Ne Phir Umr Bhar Roone Na Diyaa.....
- Uss Ki Jafaaaon Ne Mujhe Tahzeeb Sikh~a Di Hai Mohsin, Main Rote Huwe So Jaaata Hoon Par Shikwa Nahin Karta .....
- Main Hans Ke Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Us Ke Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain .....
- Jub Se Dekhi Hain Wo Bheegi Huwi Aankh~ein … Hanste Chehron Pe Bhi Rone Ka Gumaan Hota Hai.....
- Guzar Hi Jaaye Gi Tere Baghair Bhi Le~kin Bahut Udaas Bahut Be-Qaraar Guzre Gi .....
- Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham Ki Haraarat Se. Tumhein Ma’aloom Ho Jaaye Ga Rona Kis Ko Kehte Hain......
- Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahanaa Yaad Hai Ham Ko Ab Tak Aashiqi Kaa Wo Zamaanaa Yaad Hai .....
- Badi Muddat Se Tanha The Me~re Dukh Khudaaya, Mere Aansoo Ro Gaya Kaun Jidhar Dekhun Khadi Hai Fasl-E-Girabh Mere Shahr~on Mein Aansoo Bo Gaya Kaun [.....
- Meri Aankhon Mein Aansoo Hain Na Hothon Pe Tabassu~m Hai Samajh Mein Kya Kisi Ki Aaye Gi Tarz-E-Fughaan Meri .....
- Main To Us Waqt Se Darta Hun Ki Woh Pooch Na Lein ~Yeh Agar Jabr Ka Aansoo Hai To Tapka Kaise.....
- Haseenon Ke Rone Pe Hanste The Ham Kabhi Ek Aansoo Bahaayaa Na Thaa Haseenon Ke Rone Pe Hanste The Ham Kabhi Ek A~ansoo Bahaayaa Na Thaa .....
- Meri Aankhon Mein Aansoo Aa Gaye, Naa-~Deedah Aankhon Ke Mere Dil Mein Koi Ghamgeen Naghma Sarsaraataa Hai .....
- Ek Aansoo Kah Gayaa Sab Haal Dil Kaa, Main Samjhaa Tha Ye Zaalim Be-Zubaan Hai .....
- Roodaad-E-Gam-E-Ulfat Un Se ~Ham Kyaa Kahate Kyonkar Kahate Ek Harf Na Nikalaa Hothon Se Aur Aankh Men Aansoo Aa ~Bhi Gaye .....
- Aap Ki Ankhon Main Ye Aansoo Kahan Se A~a Gaye Hum To Diwaane Hain Lekin Aap Ko Ye Kya Huwa.....
- Bhar Aaye Phool Ke Aansoo Payaam-E-Shabn~am Se Kali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gayaa Ghamm Se.....
- Chashm-E-Dil Ke Sab Aansoo Is Hawa Mein Khil Utthe Shaakhsaar-E-Mizgaan Par Rut Gulaab Ki Aayi.....
- Ai Josh-E-Giriyaa Dekh Na Karnaa Khajil Mujhe, Aankhen Meri Zaroor Hain, Aansoo Paraaye Hain,.....
- Meri Tasveer Aankh Kaa Aansoo Meri~Tahreer Jism Kaa Jadoo .....
- Shaadi Mein Kuchh Gham Ke Pahloo Nik~al Aate Hain Be-Saakhta Hansne Mein Aansoo Nikal Aate Hain .....
- Us Ne Chhoo Kar Mujhe Patthar Se P~hir Insaan Kiya Muddaton Baad Meri Aankh Me Aansoo Aaye .....
- Jise Le Gai Hai Abhi ~Hawa Wo Waraq Tha Dil Ke Kitab Ka Kahin Aansuon Se Mita Hua Kahin Aansuon Se Likha Hua .....
- Aansoo Kabhi Palkon Par D~er Tak Nahi Rukte Udd Jate Hain Ye Panchi Jab Shaakh Lachakti Hai .....
- Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zamin Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hain .....
- Ik Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Padaa Hai Aansoo Kaa Ik Vo Din Jab Ek Zaraa Si Baat Pe Nadiyaan Bahti Thin .....
- Koi Aansoo Tere Daaman Par Giraakar Boo~nd Ko Moti Banaanaa Chaahataa Hoon.....
- Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nah~in Bahte Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa .....
- Aankh Men Aansoo Jhade The Par S~ada Tujh Ko Na Di, Is Tawaqqo Par Ki Shaayad Too Palat Kar Dekhta,.....
- Labon Pe Narm Tabassum Rachaa Ke Dhul Jaayen Khudaa Kare Mere Aansoo Kisi Ke Kaam Aayen .....
- Wo Tak Rahe The Hamin Hans Ke Pi Gaye Aansoo Wo Sun Rahe The Hamin Kah Sake Na .....
- Kaun Ponchhe Meri Aankhon Ke S~ulagte Aansoo Kaun Uljhe Hue Baalon Ki Girah Suljhaaye.....
- Haseen Teri Aankhen, Hase~en Tere Aansoo Yehin Doob Jaane Ko Jee Chaahta Hai .....
- Aansu To Bahot Se Hain ~Aankhon Mein ‘Jigar’ Lekin Bindh Jaye So Moti Hai Rah Jaye So Daana Hai.....
- Na Jaane Aah! Ki Un A~ansuon Pe Kya Guzri Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mizgaan Tak Aa Na Sake.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें