सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
- Haryali Ko Aankhen Tarsen Bagiya Lahoo Luhan
- Pyar Ke Geet Sunaoon Kis K~o Shehar Hue Weeran
- Bagiya Lahoo Luhan,
- Dasti Hain Suraj Ki Kirnen Chand Jalaye Jaan
- Pag Pag Maut Ke Gehre Say~e Jeewan Maut Saman
- Charon Ore Hawa Phirti Hai Le Kar Teer Kaman
- Bagiya Lahoo Luhan,
- Chhalni Hain Kaliyon Ke Seeney Khoon Mein Lat Paat
- Aur Nahjaney Kab Tak Hogi~ Ashkon Ki Barsaat
- Dunya Walon Kab Beeteinge Dukh Ke Yeh Din Raat
- Khoon Se Holi Khel Rahe Hain Dharti Ke Balwan
- Bagiya Lahoo Luhan !!!
- Main bhi khaaif nahein takhta-e-daar se,
- Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyaar se,
- Kyun daraat~ey ho zindaan ki deevar se,
- Zulm ki baat ko,
- Jehl ki raat ko,
- Main nahein maanta,
- Main nahein jaanta !!!
- KHUDA TUMHARA NAHI HAI KHUDA HAMARA HAI NEW SHAYARI IN HINDI HABIB JALIB
- Khuda Tumhara Nahi ~Hai Khuda Hamara Hai
- Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
- Lahoo Piyoge Kahan Tak Hamara Dhanwano
- Badhao Apni Dukan Seem-O Zar Ke Deewano
- Nishan Kahin Na Rahega Tumhara Shaitano
- Hamein Yaqeen Hai~ Ke Insaan Usko Pyara Hai
- Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
- Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gaawara Hai
- Nai Shaoor Ki Hai Roshni Nigahon Mein
- Ek Aag Si Bhi Hai Ab Apni Sard Aahon Mein
- Khilenge Phool Nazar Ke Sahar Ki Bahon Mein
- Dukhe Dilon Ko Isi Aa~s Ka Sahara Hai
- Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
- Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
- Tilism-E Sayah-E Khauf-O Hiras Todenge
- Qadam Bandhayenge Zanjeere-E Yaas Todenge
- Kabhi Kisi Ke Na Ham Dil Ki Aas Todenge
- Rahega Yaad Jo Ehd-E S~itam Guzara Hai
- Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai !!!!
- Kahan qatil bada~lte hain
- Faqat chehre badalte hain
- Hum ne ahle dard ka raaz
- aakhir pa liya Jalib
- Ke deep uunche makanon mein
- Hamare khoon se jalte hain
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें