khamoshiyan hindi shayari latest 2017


  • Ye Sukoot-E-Naaz Ye Dil Ki Ragon Ka Tootnaa
  • Khamoshi Mein K~uchh Shikast-E-Saaz Ki Baaten Karo

  • .................................................................

  • #Kah Rahaa Hai Dari~ya Se Samandar Ka Sukoot
  • Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Vo Khaamosh Hai

  • .................................................................


  • #Zulmat Kade Mein Mere~ Shab-E-Gham Ka Josh Hai
  • Ek Shamma Hai Daleel-E-Sahar So Khamosh Hai

  • .................................................................

  • #Khamosh Ai Dil Bhar~i Mahafil Mein Chillaanaa Nahin Achhaa
  • Adab Pahlaa Qareenaa Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein

  • .................................................................

  • #Bazm Mein Us Ke Roo-Ba-Roo Kyoon Na Khamosh Baithiye
  • Us Ki To Khamoshi Mein Bhi Hai Ye Hi Mudda'a Ki Yoon

  • .................................................................

  • #Umr Bhar Jaltaa Rahaa Dil Aur Khamoshi Ke Saath
  • Shamma Ko Ek Raat Ki So~z-E-Dili Pe Naaz Thaa

  • .................................................................

  • #Khamosh Tum Bhi ~The Aur Khamosh Main Bhi Thaa
  • Phir Vo Kaun Thaa Jo Itni Der Boltaa Rahaa

  • .................................................................

  • #Khamoshi Kh~ud Apni Sadaa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
  • Sannaata Hi Goonj Raha Ho Aisaa Bhi Ho Sakta Hai

  • .................................................................


  • #O Aasmaan Vaale Kabhi To Nigaah Kar
  • Kab Tak Ye Zulm Sahte Rahen Khamoshi Se Ham

  • .................................................................

  • #Main Ne Ye Kab~ Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Javaab
  • Lekin Khamosh Kyoon Hai Too Koi Faislaa To De

  • .................................................................

  •  


  • #Lab-E-Khamosh Se I~zhaar-E-Tamannaa Chaahe
  • #Baat Karne Ko Bhi Tasveer Kaa Lahajaa Chaahe

  • .................................................................


  • #Uff Khamoshi Ki Ye Aahen Dil Ko Bharmaati Hui
  • #Uff Ye Sannaate Ki Sh~ahnaai Kise Aavaaz Doon

  • .................................................................


  • #Moonh Ki Baat Sune Har K~oi Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun
  • #Aavaazon Ke Baazaaron Mein Khamoshi Pahchaane Kaun

टिप्पणियाँ