सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
Dard Shayari new latest2017
- Maloom hai mujhe ki bada jurm hai ye kaam,
- Main khwaab dekhta hun mujhe maar dijiye..
- Main poochhne laga hu~n sabab apne qatal ka,
- Main had se badh gaya hun mujhe maar dijiye..
- Zinda raha toh karta rahunga humesha pyaar,
- Main saaf keh raha hun mujhe maar dijiye …!
- .........................................................................................
- Humara Dard Humari Dukhi Aawaz Se Lade..
- Ab Jo Koi Pooc~hhe Bhi Toh Us Se Kya Sharh e Haalaat Karen..
- Mil Kar Juda Hue Toh Na S~oya Karenge Hum..
- Main Zinda Hun Ye Mushtahar Kijiye..
- Labon Par Uske Kabhi Baddua Nahin Hoti..
- .........................................................................................
- Siskiyaan leti hui ghum-geen hawaao chup raho,
- so rahe hain dard un ko mat jagaao chup raho.
- Raat ka patthar na pighlega shuaaon ke baghair,
- subah hone tak na bolo hum-nawaao chup raho.
- Band hain sab maikadey saaqi bane hain muhtasib,
- aye garajti goonjti kaali ghataao chup raho.
- Tum ko hai maloom aakhir kaun sa mausam hai ye,
- fasl-e-gul aane talak aye khush-nawaao chup raho.
- Soch ki deewaar se lag kar hain ghum baithe hue,
- dil mein bhi naghma ~na koi gungunaao chup raho.
- Chhant gaye haalaat ke baadal toh dekha jaayega,
- waqt se pehle andhere mein na jaao chup raho.
- Dekh lena ghar se niklega na humsaaya koi,
- aye mere yaaro mere dard-aashnaao chup raho.
- Kyon shareek-e-~ghum banaate ho kisi ko aye ‘qateel
- apni sooli apne kaandhe par uthaao chup raho. !!
- .........................................................................................
- Khandani Rishton Mein Raqaabat Bahut Hai..
- Ye Kasak Dil Ki Dil ~Mein Chubhi Reh Gayi..
- Apna Ghum Le Ke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye..
- Hawa Ke Rukh Pe Rehne Do Ye Chalna Seekh Jaayega..
- Dil Mein Ek Lehar Si Uthi Hai Abhi..
- .........................................................................................
- Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
- hum ne apna liya har rang zamaane wala.
- Ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra,
- jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala.
- Uss ko rukhsat toh kiya tha mujhe maloom na tha,
- sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala.
- Door ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal mein,
- ye ujaala nahin aangan m~ein samaane wala.
- Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya,
- koi jaldi mein koi der se jaane wala. !!
- .........................................................................................
- Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jaata,
- jo beet gaya hai woh gu~zar kyon nahin jaata.
- Sab kuchh toh hai kya dhoondhti rehti hain nigaahen,
- kya baat hai main waqt pe ghar kyon nahin jaata.
- Woh ek hi chehra toh nahin saare jahaan mein,
- jo door hai woh dil se utar kyon nahin jaata.
- Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha,
- jaate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jaata.
- Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai,
- woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jaata. !!
- .........................................................................................
- Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai..
- Jab Bhi Hansne Ke Zamaane Aaye..
- Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha..
- Ya Toh MiT Jaaiye Ya MiTa Dijiye..
- Woh Shaakh Hai Na Phool Agar Titliyan Na Hon..
- Filed Under: Dard Bhari Shayari, Ghazals, Nida Fazli
- .........................................................................................
-
- Hum pe guzre the ranj saare jo khu~d pe guzre toh log samjhe,
- jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
- Woh jin darakhton ki chhaon mein se musaafiron ko utha diya tha,
- unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
- Uss ek kachchi si umar waali ke falsafe ko koi na samjha,
- jab uss ke ka~mre se laash nikli khatoot nikle toh log samjhe.
- Woh gaaon ka ek zaeef deh’kaan sadak ke baNne pe kyon khafa tha,
- jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !!
- .........................................................................................
- Zara Si Der Mein Hum Kaise Kholte Us Ko..
- Koi Na Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha – Bashir Badr
- Shamm-e Mazar Thi Na Koi Sogwar Tha..
- Kahan Toh Tay Tha Chiragan Har Ek Ghar Ke Liye..
- Umar Bhar Hum Rahe Sharabi Se..
- .........................................................................................
- Poochha kisi ne haal kisi ka toh ro diye,
- paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.
- Naghma kisi ne saaz pe chheda toh ro diye,
- ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.
- Udta hua ghubaar ~sar-e-raah dekh kar,
- anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.
- Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
- saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.
- Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gayi,
- saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye. !!
- .........................................................................................
- Ek Zakhmi Parinde Ki Tarha Jaal Mein Hum Hain..
- Suno Paani Mei~n Ye Kis Ki Sada Hai..
- Kuchh Roz Se Hum Sirf Yahi Soch Rahe Hain..
- Apne Ghar Ki Khidki Se Main Aasmaan Ko Dekhunga..
- Chehre Pe Mere Zulf Ko Phaila~ao Kisi Din..
- .........................................................................................
- Hansne pe bhi aa jaate hain besaakhta aansoo,
- kuchh log mujhe aisi dua de ke gaye hain …!
- .........................................................................................
- Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
- barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi.
- Aye dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab,
- milti hai zindagi mein ye raahat kabhi kabhi.
- Tere karam se hai aye alam-e-husn-aafreen,
- dil ban gaya hai dost ki khalwat kabhi kabhi.
- Josh-e-junoon mein dard ki tughyaniyon ke saath,
- ashkon mein dhal gayi teri soorat kabhi kabhi.
- Tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha,
- guzri hai mujh pe ye bhi qayaamat kabhi kabhi.
- Kuchh apna hosh tha na tumhara khyal tha,
- yun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi.
- Aye dost hum ne tar~k-e-mohabbat ke bawajood,
- mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi.
- Ashk-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto,
- uss bewafa ka shehar hai aur hum hain dosto.
- Ye ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad,
- tanhaiyon ka zeh~ar hai aur hum hain dosto.
- Laayi hai ab uda ke gaye mausamon ki baas,
- barkha ke rutt ka qahar hai aur hum hain dosto.
- Phirte hain misl-e-mauj-e-hawa shehar shehar mein,
- aawaargi ki lehar hai aur hum hain dosto.
- Shaam-e-aalam dhali toh chali dard ki hawa,
- raaton ka pichhla pehar hai aur hum hain dosto.
- Aankhon mein udd rahi hai luti mehfilon ki dhool,
- ibrat saraa-e dahar hai aur hum hain dosto. !!
- .........................................................................................
- Ki Hai Koi Haseen Khata Har Khata Ke Saath..
- Mere Ashkon Ne Kayi Aankhon Mein Jal Thal Kar Diya..
- Andhere Chaaron Taraf~ Saayen Saayen Karne Lage..
- Jhoothi Bulandiyon Ka Dhuaan Paar Kar Ke Aa..
- Uss Ka Naksha Ek Betarteeb Afsaane Ka Tha..
- .........................................................................................
- Ishq ki daastan hai pyare,
- apni apni zubaan hai pyare.
- Kal tak aye dard ye tapaak na tha,
- aaj kyon meharba~an hai pyare.
- Saaya-e-ishq se khuda hi bachaaye,
- ek hi qahar maan hai pyare.
- Iss ko kya keejiye jo lab na khulen,
- yun toh munh mein zubaan hai pyare.
- Ye taghaful bhi hai nigah-aamez,
- iss mein bhi ek ~shaan hai pyare.
- Jis ne aye dil diya hai apna ghum,
- uss se tu badgumaan hai pyare.
- Dil ka aalam nigaah kya jaane,
- ye toh sirf ek zubaan hai pyare.
- Mere ashkon mein ehtimaam na dekh,
- aashiqi ki zubaan hai pyare.
- Hum zamaane se inteqaam toh lein,
- ek haseen darmiyaan hai pyare.
- Ishq ki ek ek~ nadaani,
- ilm-o-hikmat ki jaan hai pyare.
- Tu nahin main hun main nahin tu hai,
- ab kuchh aisa gumaan hai pyare.
- Kehne suNne mein jo nahin aati,
- woh bhi ek daastaan hai pyare.
- Rakh qadam p~hoonk phoonk kar nadaan,
- zarre zarre mein jaan hai pyare.
- Kis ko dekhe se dil ko chot lagi,
- kyon ye utri kamaan hai pyare.
- Teri barham-khiraamiyon ki kasam,
- dil bahut sakht jaan hai pyare.
- Haan tere ehad mein ‘jigar ke siwa
- har koi shaadmaan hai pyare. !!
- .........................................................................................
- Hum Ko Mita Sake Ye Zamaane Mein Dum Nahin..
- Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho..
- Bechain Bahut Phirna Ghabraaye Hue Rahna..
- Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Hi Wafa Yaad..
- Maikada Tha Chaandni Thi Main Na Tha..
- .........................................................................................
- Dard badh kar fug~aan na ho jaaye,
- ye zameen aasman na ho jaaye.
- Dil mein dooba hua jo nashtar hai,
- mere dil ki zubaan na ho jaaye.
- Dil ko le lijiye jo lena hai,
- phir ye sauda giraan na ho jaaye.
- Aah kije magar lateef-tareen,
- lab tak aa kar dhuaan na ho jaaye. !!
- .........................................................................................
- Bujhi Hui Shama Ka Dhuaan Hun Aur Apne Markaz Ko Jaa Raha Hun..
- Safar Ki ~Had Hai Wahan Tak ~Ki Kuchh Nishaan Rahe..
- Wahi Taaj Hai Wahi Takht Hai, Wahi Zehar Hai Wahi Jaam Hai..
- Nikal Ke Halqa-e-Shaam-o-Sehar Se Jaayen Kahin..
- Main Zinda Hun Ye Mushtahar Kijiye..
- .........................................................................................
- Dil ko jab dil se raah hoti hai,
- aah hoti hai, waah hotii hai.
- Ek nazar dil ki simt dekh toh lo,
- kaise duniya tabaah hoti hai.
- Husn-e-janaa ki manzilon ko na poochh,
- har nafas ek raah hoti hai.
- Kya Khabar thi ki ishq ke haathon,
- aisi haalat tabaah hoti hai.
- Saans leta hu~n dum ulajhta hai,
- baat karta hun aah hoti hai.
- Jo ulat deti hai safon ke safe,
- ek shikasta si aah hoti hai. !!
- .........................................................................................
- Jhuki Jhuki Si Nazar Beqaraar Hai Ki Nahin..
- Ghar Se Soch Ke Nikl~a Hun Ki Mar Jaana Hai..
- Tumhare Naam Par ~Maine Har Aafat Sar Pe Rakhi Thi..
- Dhoop Nikli Din Suhaane Ho Gaye..
- Rida Uss Chaman Ki Udaa Le Gayi..
- .........................................................................................
- Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
- yaadon se koi raat jo khaali nahin jaati.
- Ab umar, na mausam, na woh raaste ki wo palte
- iss dil ki magar kham khyali nahin jaati.
- Maange tu agar jaan bhi hans ke tujhe de dein,
- teri toh koi baat bhi taali nahin jaati.
- Aaye koi aa kar tere dard sambhaale,
- hum se toh ye jageer sambhaali nahin jaati.
- Maloom humhein bhi hain~bahut se tere qissey,
- par baat teri hum se uchhaali nahin jaati.
- Humraah tere phool khilte the jo dil mein,
- ab shaam wohi dard se khaali nahin jaati.
- Hum jaan se jaayege tab hi baat banegi,
- tum se toh koi raah ni~kaali nahin jaati.
- .........................................................................................
- Usey tanha sisakta c~hhod jab aaya mera bhai,
- main beti hun, main apni Maa ko apne saath le aayi.
- Woh boodhi ho gayi toh ab usey ek bojh lagti hai,
- jawaani apne bacchon ke liye, thi jis ne jhulsaayi.
- Hai bas apni hi biwi aur bacchon se usey matlab,
- ussi ko bhool baitha hai, jo duniya mein usey laayi.
- Badi gaadi, bada bangla, bada ohda, sabhi kuchh hai
- magar maa – baap maangein, toh nahin jebon mein ek paayi.
- Woh kutta paal sakta hai, magar maa bojh lagti hai
- usey kutte ne kya kuchh bhi wafadaari na sikhlaayi ?
- Khulega jab khuda ke bank mein khaata tera ek din,
- tere sar par bada qarza chadha hoga mere bhai.
- Jo mannat maangte the, bas h~umein beta ho beta ho..
- unhein beti ki qeemat ab budhaape mein samajh aayi.
- Usey tanha sisakta chhod jab aa~ya mera bhai
- main beti hun, main apni maa ko apne saath le aayi ..!!
- .........................................................................................
- Suno paani mein ye kis k~i sada hai ?
- koi dariya ki teh mein ro raha hai …!
- .........................................................................................
- Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka Toh Ro Diye..
- Haath Khaali Hain Tere ~Shehar Se Jaate Jaate..
- Pee Li To~h Kuchh Pata Na Chala Woh Suroor Tha..
- Raqs Karne Ka Mila Huqm Jo Dariyaaon Mein..
- Apne Ghar Ki Khidki Se Main Aasmaan Ko Dekhunga..
- .........................................................................................
- Mili hawaaon mein udne ki woh saza yaaro,
- ki main zameen ke rishton se kat gaya yaaro.
- Woh be-khyaal musaafir, main raasta yaaro
- kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro.
- Mere kalam pe zamaane kee gard aisi thi,
- ki apne baare mein kuchh bhi na likh saka yaaro.
- Tamaam shehar hi jis~ ki talaash mein gum tha,
- main uske ghar ka pata kis se poochhta yaaro. !!
- .........................................................................................
- Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai..
- Acchha Tumhaare Shehar Ka Dastoor Ho Gaya..
- Agar Talaash Karun K~oi Mil Hi Jaayega..
- Meri Aankh Ko Ye Sab Kaun Bataane Dega..
- Kya Bataaun Kaise Khud Ko Dar-ba Dar Maine Kiya..
- .........................................................................................
- Kya bataaun kaise khud ko dar-ba dar maine kiya,
- umar bhar kis kis ke hissey ka safar maine kiya.
- Tu to nafarat bhi na~ kar paayega itni shiddat ke saath,
- jis bala ka pyaar tujh se be-khabar maine kiya.
- Kaise bacchon ko bataaun raaston ke pech-o kham,
- zindagi bhar toh kitaabon ka safar maine kiya.
- Shoharton ki nazar kar di shair ki masoomiyat,
- ss diye ki roshani ko dar-ba dar maine kiya.
- Chand jazbaaton se rishton ke bachaane ko ‘waseem
- kaisa kaisa zabr apne aap par maine kiya. !!
- .........................................................................................
- Aansuon Se Dhuli Khushki Ki Tarah..
- Mili Hawaaon Mein Udne Ki Woh Saza Yaaro..
- Sab Ne Milaya Haath Yahan Teergi Ke Saath..
- Zehan Mein Paani Ke Baadal Agar Aaye Hote..
- Ajeeb Khwahish Hai Shehar Walon Se Chhup Chhupa Kar Kitaab Likhun..
- .........................................................................................
- .........................................................................................
- Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
- iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.
- Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
- woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.
- Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
- ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua.
- Woh apne gaaon ki galiya~an thi dil jin mein naachta gaata tha,
- ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua.
- Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
- aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua.
- Hum toh khush the ki chalo dil ka junoon kuchh kam hai,
- ab jo aaraam bahut hai toh sukoon kuchh kam hai.
- Rang-e girya ne dikhayi nahin agli si bahaar,
- ab ke lagta hai ki aamezish-e khoon kuchh kam hai.
- Ab tera hijr musal~sal hai toh ye bhed khula,
- ghum-e dil se ghum-e duniya ka fusoon kuchh kam hai.
- Uss ne dukh saare zamaane ka mujhe bakhs diya,
- phir bhi laalach ka taqaaza hai kahun kuchh kam hai.
- Raah-e duniya se nahin dil ki guzargaah se aa,
- faasla garche zyada hai pe yun kuchh kam hai.
- Tune dekha hi nahin mujh ko bhale waqton mein,
- ye kharaabi ki main jis haal mein hun kuchh kam hai.
- Aag hi aag mere qarya-e tann mein hai ‘faraz
- phir bhi lagta hai abhi soz-e daroon kuchh kam hai.
- .........................................................................................
- Dukh fasaana nahin ki tujh se kahein,
- dil bhi mana nahin~ ki tujh se kahein.
- Aaj tak apni bekali ka sabab,
- khud bhi jana nahin ki tujh se kahein.
- Be’tarah haal-e dil hai aur tujh se,
- dostana nahin ki tujh se kahein.
- Ek tu haraf-e aashna tha magar,
- ab zamana nahin ki tujh se kahein.
- Qaasida hum faqeer logon ka,
- ek thikana nahin ki tujh se kahein.
- Aye khuda dard-e dil hai bakhshish-e dost,
- aab-o daan~a nahin ki tujh se kahein.
- Ab toh apna bhi uss gali mein ‘faraz
- aana jana nahin ki tujh se kahein. !!
- ....................................................
- Ajab junoon-e musaafat m~ein ghar se nikla tha,
- khabar nahin hai ki sooraj kidhar se nikla tha.
- Ye kaun phir se unhi ~raaston mein chhod gaya,
- abhi abhi toh azaab-e safar se nikla tha.
- Ye teer dil mein magar be-sabab nahin utra,
- koi toh harf lab-e chaaragar se nikla tha.
- Ye ab jo aag bana shehar shehar phila hai,
- yehi dhuaan mere deewaar-o dar se nikla tha.
- Main raat toot ke roya toh chain se soya,
- ki dil ka zehar meri chasm-e tar se nikla tha.
- Ye ab jo sar hain khameeda kulaah ki khaatir,
- ye aib bhi toh hum ahl-e hunar se nikla tha.
- Woh qais ab jise majnoo pukaarte hain ‘faraz
- teri tarah koi deewaana ghar se nikla tha.
- ....................................................
- Ab kya sochen kya hal~aat the kis kaaran ye zehar piya hai,
- hum ne uss ke shehar ko chhoda aur aankhon ko moond liya hai.
- Apna ye shewa toh nahin tha apne ghum auron ko saunpen,
- khud toh jaagte ya sote hain usko kyon be-khwaab kiya hai.
- Khilqat ke aawaa~zen bhi thi band uske darwaaze bhi the,
- phir bhi uss kooche se guzre phir bhi uss ka naam liya hai.
- Hijr ki rutt jaanlewa thi par ghalat sabhi andaaze nikle,
- taaza rafaqat ke mausam tak main bhi jiya hun woh bhi jiya hai.
- Ek faraz tumhi tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho,
- warna aksar dilwalon ne dard ka raasta chhod diya hai.
- .............................................
- Usey dekh ke palkein utha na sake ,
- hum apne aansuon ko samjha na sake..
- Uss ke sang bitaana chahte the tamaam umar ,
- bas yahi baat apne naseeb ko samjha na sake..
- Zîndagi mein bas ek hi toh khwaahish thi humari ,
- usey bhi apna sab kuchh luta kar pa na sake..
- Jise aitbaar tha hum pe khud se kahin badh kar ,
- usey bhi hum apni sacc~hai ka yakeen dila na sake..
- Na jaane kitni sadiyan beet gayi jaagte jaagte ,
- hum phir bhi apne ghumon ko sula na sake..
- Mere maula sada khush rakhna usey ,
- woh bin jis ke hum kabhi muskura na sake..
- Usey khone ke baad jaane kyon aisa lagta hai ,
- ki hum zindagi mein k~uchh bhi toh na paa sake..
- Itne thak chuke hain ab toh zindagi se hum ,
- ki zindagi ko bhi zinda bana na sake..
- Usne phir kabhi mud kar humara haal tak na poochha ,
- woh jis ka harf harf hu~m bhula na sake..
- Na jaane kitni dua~ayen maangi humne uss ko paane ki ,
- par apne naseeb ko hum jhuthla na sake..
- Log kehte hain usey bhula kyon nahin dete ho ?
- jis ke sang beeta ek pal bhi hum bhula na sake
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें