gila shikwa shayari new2017


  1. Fursat Nahi Unhe Humse ~Kuch Batein Karne Kee,
  2. Isliye Ab Har Waqt Khamosh Rehte Hain!
  3. ==============================
  4. Dil Se Roye Magar Honthon Se Muskura Baithe,
  5. Yun Hi Hum Kisi Se Wafa N~ibha Baithe,
  6. Wo Humein Ek Lamha Na De Paye Apne Pyaar Ka,
  7. Aur Hum Unke Liye Zindagi Luta Baithe!
  8. ==============================
  9. Lajja Kar Sharam Kha K~ar Muskura Kar,
  10. Diya Bosa Magar Munh Bana Kar!
  11. ==============================
  12. Sholhiyan Chod Di Usne Ab Ke,
  13. Har Rang Mein Udaasi Ghulti Ja Rahi Hai;
  14. Us Roothne Wa~le Se Kaho Dekh Le Aa Kar,
  15. Woh Paagal Ladki Ab Sudharti Ja Rahi Hai!
  16. ==============================
  17. Aaj Hamari Baaton Ka Jawab Nahi Dete Na Do,
  18. Aaoge Jab Hamari Kabar Par Hum Bhi Aisa Hi Karenge!
  19. ==============================
  20. Wo Waqt Ka Jahaaz ~Tha Karta Lihaaz Kya,
  21. Main Doston Se Haath Milane Mein Reh Geya!
  22. =========~=====================
  23. Jin Kee Nazron Mein Hum Nahi Achhe,
  24. Kuch To Woh Log Bhi Bure Honge!
  25. ==============================
  26. Shayad Unki Ad~a Hai Ye Jo Har Din Hume Tadpate Hain Wo,
  27. Kabhi Kisi To Kabhi Kisi Bahane Se Hume Satate Hain Wo,
  28. Na Jane Kya Milta Hai Unhe Jo Humpe Yeh Si~tam Dhate Hain Wo,
  29. Chain Hi Nahi Milta Unhe Jab Tak Hume Rulate Nahi Hain Wo!
  30. ==============================
  31. Kuch Haar Gayi Taqdee~r, Kuch Toot Gaye Sapne;
  32. Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne!
  33. ===============~===============
  34. Maana Ki Tum Lafzon Ke Baadshah Ho Lekin,
  35. Hum Bhi Khamoshiyon Par ~Raaj Karte Hain!
  36. ==============================

  37. Jo Afsaane Dil Mein Rehte Hain, Wo Aankhon Mein Nahi Rehte;
  38. Bahut Se Harf Aise Hain, Jo Lafzon Mein Nahi Rehte;
  39. Kitabon Mein Likhe Jaate Hain, ~Duniya Bhar Ke Afsaane;
  40. Magar Jin Mein Haqeeqat Ho, Wo Kitabon Mein Nahi Rehte!
  41. ==============================
  42. Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne,
  43. Kuch Gairon Ne Kiya B~arbaad Kuch Bhool Gaye Apne!
  44. ==============================
  45. Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
  46. Maloom To Humein Bhi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!
  47. ==============================
  48. Shayar Bana Diya ~Adhuri Mohabbat Ne,
  49. Mohabbat Agar Puri Hoti To Hum Bhi Ek Ghazal Hote!
  50. ==============================
  51. Kaise Kahen Ki Usko BhI Humse Hai Koi Vaasta,
  52. Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!
  53. ==============================
  54. Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
  55. Na Aao Ka~reeb Itna Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
  56. Tumhari Wafaon Pe To Hai Yakeen Humein,
  57. Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!
  58. ==============================
  59. Hum Bhi Kar Le Jo Roshni Ghar Mein,
  60. Phir Andhere Kaha~n Kayam Kare!
  61. ==============================
  62. Mere Andaaz Wo Samajh Na Sake,
  63. Mere Jazbaat Wo~ Samajh Na Sake,
  64. Wo Samajh Na Sake Meri Mazboori,
  65. Mere Halaat Wo Samajh Na Sake!
  66. ==============================
  67. Humne Socha Tha Ki Shayad, Hum Hi Chahte Hain Tumko,
  68. Par Tumhein Chahne Wala To Kafila Nikla,
  69. Dil Ne Kaha Shikayat Kar Khuda Se,
  70. Par Khuda Bhi Tera~ Chahne Wala Nikla!
  71. ==============================
  72. Kis Kis Se Wabasta Ka~ren Hum Apni Umeedein,
  73. Is Daur Ka Har Shakhs Wafa Bhool Geya Hai!
  74. ==============================
  75. ~
  76. Kyon Keh Rahe Ho S~ab Kuch Kismat Kee Baat Hai,
  77. Meri Tabahiyon Mein Tumhara Bhi Haath Hai!
  78. ==============================
  79. Khamosh Baitho T~o Log Kehte Hain Udaasi Achhi Nahi,
  80. Zara Sa Hans Len To Muskurane Kee Vajah Puch Lete Hain!
  81. ==============================
  82. Mumkin Nahi Kisi Ko Samjh Pana,
  83. Samjhe Bin~a Kisi Se Dil Lagana,
  84. Aasan Hai Kisi Ko Pyaar Karna,
  85. Magar Bahut Mushkil Hai Zindagi Mein Kisi Ka Pyaar Pana!
  86. ==============================
  87. Woh Silsile Woh Shaunk Woh Kurbat Na Rahi,
  88. Phir Yun Hua Ki Dard Mein Shiddat Na Rahi,
  89. Apni Zindagi Mein Ho Gaye Mashroof Woh Itna,
  90. Ki Humko Yaad K~arne Kee Fursat Bhi Na Rahi!
  91. ==============================
  92. Dhoondo Ge Ujjre Rishton Mein Wafa Ke Khazane;
  93. Tum Mere Baad Moh~abbat Ka Bahut Ehtram Karo Ge!
  94. ==============================
  95. Dil Ab Pehle Jaisa Masoom Nahi Raha,
  96. Pathar To Nahi, Magar Ab Mom Bhi Nahi Raha!
  97. ==============================
  98. Bahut Khaas The Kabhi Nazro Mein Kisi Ke Hum Bhi;
  99. Magar Nazron Ke Takaze Badalne Mein Der Kaha Lagti Hai!
  100. ==============================
  101. Suna Hai Ishq Ka Shaunq Nahi Tum Ko,
  102. Magar Barb~aad Tum Kamaal Karte Ho!
  103. ==============================
  104. Waqt Rehta Nahi ~Kahin Tik Kar;
  105. Aadat Is Kee Bhi Aadmii Si Hai!
  106. ==============================
  107. Baad Marne Ke Meri Qabar Pe Aaya Ghafil,
  108. Yaad Aayi Mere Qat~il Ko Wafa Mere Baad!

  109. ==============================

  110. Aag Se Seekh Liya Humne Yeh Qareena Bhi;
  111. Bujh Bhi Jana Par Badi~ Der Tak Sulagte Rehna;
  112. Jaane Kis Umar Mein Jayegi Ye Aadat Apni;
  113. Roothna Usse Aur Auron Se Uljhate Rehna!
  114. ==============================
  115. Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Meharban;
  116. Bhule To Yun Ki Goya Kabh~i Aashna Na The!
  117. ==============================
  118. Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho;
  119. Ye Zindagi To Ha~i Rahmat Ise Saza Na Kaho;
  120. Na Jaane Kaun Si Mazburion Ka Qaidi Ho;
  121. Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho!
  122. ==============================
  123. Shayar Bana Diya Adhuri Mohabbat Ne,
  124. Mohabbat Agar Puri Hoti To Hum Bhi Ek Ghazal Hote!
  125. ==============================
  126. Ajeeb Zulm Hue Hain Mohabbat Par Yaaro;
  127. Jinhe Mili Unhein Kadar Nahi Jinhe Kadar Thi Unhein Mili Nahi!
  128. ==============================
  129. Tera Nazariya Mere Nazariye Se Alag Tha Kyonki,
  130. Tumne Waqt Guzara Tha Aur Maine Zindagi!
  131. ==============================
  132. Khyalon Mein Bhatak Jana Teri Yaadon Mein Kho Jana,
  133. Bahut Mehnga Pada Hai Mujhko Tera Ho Jana!
  134. ==============================
  135. Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
  136. Maloom To Humein B~hi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!
  137. ==============================
  138. Zindagi Kya Kisi Muflis Ke Qabaa Hai Jis Mein;
  139. Har Ghadi Dard Ke Paiband Lagaye Jate Hain!
  140. ==============================
  141. Zaalim Duniya Mein Zara Sambhal Ke Rehna Mere Yaar;
  142. Yahan Palkon Pe Bithaya ~Jata Hai Nazron Se Girane Ke Liye!
  143. ==============================

  144. Guzar Geya Wo Waqt Jab Tere Talabgaar The Hum;
  145. Ab Khuda Bhi Ban Jao To Sajda Na Karenge!
  146. ==============================
  147. Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise;
  148. Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha!
  149. ============================== 
  150. Unse Milne Ko Jo Sochun Ab Wo Zamana Nahi;
  151. Ghar Bhi ~Kaise Jaun Ab To Koi Bahana Nahi;
  152. Mujhe Yaad Rakhna Kahin Tum Bhula Na Dena;
  153. Mana Ki Barson Se Teri Gali Me Aana Jana Nahi!
  154. ==============================  
  155. Is Kadar Hum ~Yaar Ko Manane Nikle;
  156. Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle;
  157. Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha;
  158. To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!
  159. ==============================
  160. Raat Der Tak Teri Dehleez Par Baithi Rahin Meri Aankhein;
  161. Khud Na Aana Tha To Koi Khwab Hi Bhej Diya Hota!
  162. ==============================
  163. Meri Bahaduri Ke Kisse Mashoor The Shehar Mein,
  164. Tujhe Kho Jaane Ke Dar~r Ne Mujhe Qayar Bana Diya!
  165. ==============================
  166. Ai Aasmaan Tere Khudaa Ka Nahi Hai Khauf;
  167. Darte Hain Ai Zameen Tere~ Aadmi Se Hum!
  168. ==============================
  169. Main Shikayat Kya Karun Ab,
  170. Yeh To Kismat K~ee Baat Hai;
  171. Teri Soch Mein Bhi Main Nahi,
  172. Mujhe Lafz-Lafz Tu Yaad Hai!
  173. ==============================
  174. Na Gul Khi~le Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai;
  175. Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai!
  176. ==============================
  177. Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye;
  178. Rooth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo!

  179. ==============================
  180. Tum Bhool Kar Bhi Yaad Nahi Karte Ho Kabhi;
  181. Hum To Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Chuke!
  182. ==============================
  183. Kabhi Tanhai, Kabhi Tadap, Kabhi Bebasi To Kabhi Intezar;
  184. Ye Marz Bhi Kya K~hoob Hai Jise Sab Log Ishq Kehte Hai!
  185. ==============================
  186. Jisne Kabhi Chahton Ka Paigaam Likha Tha;
  187. Jisne Apna Sab Kuch Mere Naam Likha Tha;
  188. Suna Hai Aaj Use Mere~ Zikar Se Bhi Nafrat Hai;
  189. Jisne Kabhi Apne Dil Par Mera Naam Likha Tha!
  190. ==============================
  191. Asaani Se Dil Lagaaye Jaate Hain;
  192. Magar Mushkil Se Vaade Nibhaye Jaate Hain;
  193. Mohabbat Le Aati~ Hai Un Raahon Pe;
  194. Jahan Diyon Ke Badle Dil Jalaye Jaate Hain!
  195. ==============================
  196. Jitni Shiddat~ Se Mujhe Zakham Diye Hain Us Ne;
  197. Itni Shidat Se Toh Maine Usey Chahaa Bhi Nhi Tha!
  198. ==============================
  199. Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
  200. Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho
  201. ==============================
  202. Teri Baatein Hi Sunane Aaye; Dost Bhi Dil Dukhane Hi Aaye!
  203. ==============================
  204. Mohabbat Hai Ki Nafrat Hai, Koi Itna To Samjhaye;
  205. Kabhi Main Dil Se Ladhti Hun, Kabhi Dil Mujh Se Ladhta Hai!
  206. ==============================
  207. Rulane Ke Baad Kyon Hansate Hain Log;
  208. Jaane Ke Baad Kyon Bulate Hain Log;
  209. Zindagi Mein Ky~a Kuch Kasar Baaki Thi;
  210. Jo Marne Ke Baad Bhi Jalate Hain Log!
  211. ==============================
  212. Yeh Dil Bura Sahi Magar Sar-e-Bazaar To Na Keh;
  213. Aakhir Tu Is Makaan Mein Kuch Din Raha To Hai!
  214. ==============================
  215. Unka Bharosa Mat Karo Jin~ka Khayal Waqt Ke Sath Badal Jaye;
  216. Bharosa Unka Karo Jinka Khayal Vaise Hi Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye!
  217. ==============================
  218. Majlis Mein Me~re Zikr Ke Aate Hi Uthe Woh;
  219. Badnami-e-Ushshaq Ka Ezaz To Dekho!
  220. ==============================
  221. Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilaam Hota Hai;
  222. Bharose Ka Katal Yahan Khule Aam Hota Hai;
  223. Zamaane Se Mili Jab Thokar To Maikhaane Chale Gaye Hum;
  224. Aaj Wahi Zamaana Humein Sharabi Ka Naam Deta Hai!
  225. ==============================
  226. Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi;
  227. Hamare Jaisi Tumko Kahin Chahat Bhi Na Milegi;
  228. Yun Itni Berukhi Na D~ikhlaiye Humein;
  229. Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi!
  230. ==============================
  231. Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Theharta Nahi;
  232. Na Mud Ke Dekha Kabhi Sahilon Ko Dariya Ne!
  233. ==============================
  234. Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi;
  235. Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen!
  236. ==============================
  237. Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Maanind;
  238. Woh Shakhs~ Jis Ko Mera Hona Bhi Nahin Hai!
  239. ==============================
  240. Aaina Dekh Apna Sa ~Munh Le Ke Reh Gaye;
  241. Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha!
  242. ==============================
  243. Ab Shikayat Tujh Se Nahi Khud Se Hai;
  244. Maana Ki Sare Jhooth~ Tere The Par Un Pe Yaqeen To Mera Tha!
  245. ==============================
  246. Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
  247. Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
  248. Tu Bhi Dhoondega Muj~he Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
  249. Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga!

  250. ==============================

  251. Lo Aaj Humne Tod diya Rishta-e-Umeed;
  252. Lo Ab Kabhi Gila Na ~Karenge Kisi Se Hum!
  253. ==============================
  254. Chaale Jayenge Ek Din Hum Tujhe Tere Haal Pe Chod Kar;
  255. Apno Kee Kadaar K~ya Hoti Hai Tuje Waqt Sikha Dega!
  256. ==============================
  257. Ab Aur Nahi Hoti Isjq Kee Ghulami;
  258. Yaaro Keh Do Use, Ho Jaye Jiska Hona Hai!
  259. ==============================
  260. Mere Muqaddar Mein To Tumhari Yaadein Hain Lekin;
  261. Tum Jiske Muqaddar M~ein Ho Use Zindagi Mubarak!
  262. ==============================
  263. Kis Liye Katra Ke Jata Hai Musafir Dum To Le;
  264. Aaj Sukha Ped Hun Kal Tera Saya Main Hi Tha!
  265. ==============================
  266. Tu Agar Chhod Ke Jaane Kee Zidd Pe Hai To Ja;
  267. Jaan Bhi~ Jism Se Jaati Hai To Kab Puch Ke Jaati Hai!
  268. ==============================
  269. Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain;
  270. Is Tarha Apne Pyaar Ko Bayan Bhi Karte Hain;
  271. Jane Kaisi Narazgi Hai ~Meri Unse;
  272. Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Kee Dua Bhi Karte Hain!
  273. ==============================
  274. Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi;
  275. Na Jaane Kyon Aaj Humare Saye Se Bhi Katrate Hain;
  276. HUm bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai;
  277. Na Jaane Phir Kyon Aise Log Badal Jaate Hain!
  278. ==============================
  279. Gham Mujhe Dete Ho Au~ron Kee Khushi Ke Vaaste;
  280. Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaaste!
  281. ==============================
  282. Mere Lafz Agar Us Tak P~ahunch Jayein To Bas Itna Keh Dena;
  283. Hum Jaise Log Ek Baar Kho Jayein To Phir Dobara Nahi Milte!
  284. ==============================

  285. Humse Khelti Rahi Duniya Taash Ke Patton Ki Tarah;
  286. Jisne Jeeta Usne Bhi Phenka ~Jisne Haara Usne Bhi Phenka!
  287. ==============================
  288. Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Kh~aali Kee Surat Dekh Kar;
  289. Jinko Likhna Tha Wo Sab Baatein Zubani Ho Gayi!
  290. ==============================
  291. Daad-o-Tahsin Ka Ye Shor Hai Kyon;
  292. Hum To Khud Se Kalaam~ Kar Rahe Hain!
  293. ==============================
  294. Baat Umar Bhar Kee Thi Do Pal Kee Nahi;
  295. Baat Saath Kee Thi Halaat Kee Nahi;
  296. Jahan K~e Mele Mein Haath Chhod Diya Tune;
  297. Baat Zubaan Kee Thi Kismat Kee Nahi!
  298. ==============================
  299. Mujhse Na Sahi, Gairon Se Hi Sahi;
  300. Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Geya;
  301. Duniya Mein Kisi K~e Tum Ho To Gaye;
  302. Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Geya!
  303. ==============================
  304. Tumne Dekha To Humein Pyaar Se Bas Itna Hi Sahi;
  305. Tera Bas Ho Geya Deedar Bas Itna Hi Sahi;
  306. Tera Aashiq Hun T~umne Humein Chaha Na Sahi;
  307. Kabhi Mujhko Pehchaan Liya Bas Itna Hi Sahi!
  308. ==============================  
  309. Bhula Kar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
  310. To Bhula Kar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
  311. Meri Fitrat Mein Nahi Hai Bas Ye Aadat Varna;
  312. Teri Tarah Yu~n Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
  313. ==============================
  314. Tum Bhi Ho Beete H~ue Waqt Ki Tarah Hu-B-Hu;
  315. Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi!
  316. ==============================
  317. Zinda Rahe To Kya Hai, Jo Mar Jayein Hum To Kya;
  318. Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jayein Hum To Kya;
  319. Hasti Hi Apni Kya Hai~ Zamane Ke Samne;
  320. Ek Khwab Hain Jahan Mein Bikhar Jayein Hum To Kya!
  321. ==============================
  322. Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
  323. Magar Tumhaari Tarah Kaun Mujhe Chahega;
  324. Tumhen Zaruur Koi Chahaton Se Dekhega;
  325. Magar Vo Aankhein Hamari Kahaan Se Layega!

  326. ==============================

  327. Aatish-e-Ishq Mein Jal Jaun Tujhe Is Se Kya;
  328. Mausam Kee Tarah Bad~al Jaun Tujhe Is Se Kya;
  329. Chot Khaun Ya Zakham Lage, Ya Ehsas-e-Gham Mein Tarpun;
  330. Main Gir Jaun Ya Sambhal Jaun Tujhe Is Se Kya!
  331. ==============================
  332. Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai;
  333. Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
  334. Hum Usse Karte H~ain Mohabbat Beintehaa;
  335. Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!
  336. ==============================
  337. Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum;
  338. Na Chahte Hue B~hi Door Hain Hum;
  339. Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari;
  340. Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum!
  341. ==============================
  342. Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke;
  343. Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai;
  344. Sach To Yeh Hai ~Ki Iss Zamane Mein;
  345. Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai!
  346. ==============================
  347. Mohabbat Se Rihaa Hona ~Zaroori Ho Geya Hai;
  348. Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
  349. Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
  350. Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai!
  351. ======================~========
  352. Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
  353. Dono Insaan Hain, Khuda~ Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
  354. Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar;
  355. Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi!
  356. ==============================
  357. Ai Maut, Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hun;
  358. Kitni Wafa Hai Tujh Me~in Yeh Aazmana Chahta Hun;
  359. Rulaya Hai Bahut Duniya Mein Logo Ne Mujhe;
  360. Mile Jo Tera Saath To Main Logo Ko Rulana Chahta Hun!
  361. ==============================
  362. Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
  363. Kyon Na Ai Dost ~Hum Judaa Ho Jayein;
  364. Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar;
  365. Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein!
  366. ==============================
  367. Aankhein Bhi Haye Naza Mein Apni Badal Gayi;
  368. Sach Hai Ki Bekasi Me~in Koi Aashna Nahin!
  369. ==============================
  370. Ek Pal Kee Judai Gawara Na Kar Sake;
  371. Aisa Ishq Hum Dob~ara Na Kar Sake;
  372. Zindagi Bhar Palat Ke Naa Dekha Kabhi;
  373. Hum Phiir Bhi Shikwa Tumhara Naa Kar Sake

टिप्पणियाँ