Romantic Love Shayari New Yaad 2017

Behti Hawaon Se Awaaz Aayegi
Har Dhadkan Se Fariyaad A~ayegi
Bhar Denge Aapke Dil Me Pyar Itna Ki
Saans Bhi Loge To Sirf Meri Yaad Aayegi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Saal Purana Qissa Hai
Ik Larka Tha Deewana Sa
Karta Tha Manmana Sa
Wo Shokh Shokh Chanchal Sa
Mehka Mehka Pagal Sa~
Ik Roz Muhabbat Ker Betha
Or Ab K Sal Ka Qissa Hai
Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai
Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya
Or Apne Aap Ko Maar Gya
Sare Jag Se Jeet Gya
Bas Apne Aap Se Haar Gya .


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Thora Likhti Ho Kya Khoob Likhti Ho
Choti Si Soch Kamal Zahn Rakhti Ho
Khushi Deni Ya Gham,Kya Stock Rakhti Ho
Manti Nahin Modern Hoon Q Naqab Main Rahti Ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Maray Mujh Say Sanbhalnay Ka Wada Ker Lay
Samnay Bhaytayn Hain Unsay Milnay Ka Erada Ker Lay
Koiee Baat Bhi Ais Waqat Aun Say Ker Lay
Pass Anay Ka Unsay Koiee~ Bahana Ker Lay
Jazbaat Per Appnay Pahaylay Zara Qaboo Ker Lay
Aizharay Piyar Ka Thoray Sa Ahtaymam Ker Lay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Yaad Karte Hai Kisi Ko ,Wo Waqt Suhana Hota Hai
Uth Jati Hai Kalam Likh~ne Ko,Wo Pyar Deewana Hota Hai
Kar Deti Hai Haal-E-Dil Bayaan.Wo Kalaam Shayraana Hota Hai
Jab Yaad Karte Hai Kisi Ko.Wo Waqt Suhana Hota Hai…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaam Par Jaam Hum Piya Nahi Karte

Jam Par Jam Hum Piya Nahi Karte,
Pee Lete Hai Jarur Par Kisiko Dikhaya Nahi Karte,
Jee Ha!
~
Wo To Humari Unse Najre Mil Gai
Warna Pyar Bhi Hum Kisise Kiya Nahi Karte.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahte Ashkon Ki Zubaan Nahi Hoti
Lafzon Mein Mohabbat Bayaan Nahi Hoti
Mila Hai Pyaar To Kadar Karo
Kismat Har Kisi Par Meherbaan Nahi Hoti
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unhe Bhoolne Ki Koshish Ki Maine
Dil Ne Kaha Yaad Karte Rehna
Wo Hamare Dard Ki Fariyad Sune Na Sune
Apna To Farz Hai Unhe Pyar Karte Rehna
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo chahate ho so kahate ho chup rahane ke lazzat kya jano
ye raz-e-muhabbat hai pyare tum raz-e-muhabbat kya jano
alfaz kahan se laun main chale ke tapak samajhane ko
izahar-e-muhabbat karte ho ehasas-e-muhabbat kya jano
kya husn ke bhikh bhi hoti hai jab chutaki chutaki judati hai
hum ahal-e-garaz jane is ko tu~m sahib-e-daulat kya jano
hai farq bada ae jan-e-”raza” dil dene mein dil lene mein
ulfat ka ta’alluq janate ho rishte ke nazakat kya jano

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo say~a-e-dar to dekho
aise nadan to na the jan se guzaranevale
nasiho, rahabar-o-rahaguzar to dekho
wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhase
ek nazar tum mera mahabub-e-nazar to dekho
wo jo ab chak gareban bhi nahi karte hain
dekhanevalo kabhi u~n ka jigar to dekho
daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
aao ek din dil-e-purakhun ka hunar to dekho
subah ke tarah jhamakata hai shab-e-gam ka ufaq
“faiz” tabindagi-e-dida-e-tar to dekho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz Karte
Kash Ke Ham Unke Dil Pe Raaj Karte
Jo Kal Tha Wohi Pyar Aaj Karte
Hame Gum Nahi Unki Bewfai Ka
Bas Armaan Tha Ke Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz Karte

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Usne Mujhe Aazmaya Bohat Hai
Ja Ja Ke Maine Use Manaya Bohat Hai
Sach Puchiye To Bohat Pyara Lagta Hai Dil Ko Wo Shakhs
Jis Ne Mujhe Rulaya Bohat Hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Duniya Se Tumse Pahle Main Chala Jaaonga
Aasmaan Par Jakar Ek Aashi~yana Banaunga
Jahan Chand Aur Taare Tumara Kahna Manega
Wahan Main Tumahare Pyaar Ka Jahan Sajaunga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand tanha hai aasman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
bujh gai aas chup ga~ya tara
thartharata raha dhuan tanha
zindagi kya isi ko kahate hain
jism tanha hai aur jan tanha
hamsafar koi gar mile bhi kaheen
donon chalate ra~he tanha tanha
jalati bujhati si raushani ke pare
simata simata sa ek makan tanha
rah dekha karega sadiyon tak
chod jayenge ye jahan tanha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar hamara, jo na rote bhi, to viran hota
bahr gar bahr na h~otato bayaban hota
tangi-e-dil ka gila kya, ye wo kafir dil hai
ke agar tang na hota, to pareshan hota
bad-e-yak umr-e-wara, bar to deta bare
kash rizawan hi dar-e-yar ka daraban hota

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara
tera gham hai dar-haqiqat mujhe zindagi se pyara
wo agar bura na mane to jahan-e-rang-o-bu mein
main sukun-e-dil ke~khatir koi dhundh lun sahara
ye fulak fulak havayen ye jhuki jhuki ghatayen
wo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le ishara
mujhe aa gaya yaqin sa yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe daffa’atan pukara
main bataun farq nasih, jo hai mujh mein aur tujh mein
meri zindagi talatum, teri~ zindagi kinara
mujhe guftagu se bad kar gam-e-izn-e-guftagu hai
wahi baat puchte hain jo na kah sakun dobara
koi aye ‘shakeel’ dekhe, ye junun nahi to kya hai
ke usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Tabassum Hazar
Shikwo’n Ka
Kitna Pyara Ja~wab
Hota Hy … !!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu mujhe itane pyar se mat dekh
teri palkon ne narm saye mein
dhup bhi chandani si lagti hai
aur mujhe kitni dur jana hai
ret hai garm, panv ke chale
yun damakate hain jaise angare
pyar ke ye nazar rahe, na rahe
kon dasht-e-vafa mein jata hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itane pyar se mat dekh.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaane Kyon Hume Tumse Pyaar Hai
Jaane Kyon Tumhe Lekin Inkaar Hai

Jaane Kyon Tadapte Hain Dekhne Ko Tumhe
Jaane Kyon Nahi Hota Tera Dedaar Hai

Jaane Kyon Dil Dete Hain Hum Tumhi Ko
Jaane Kyon Dil Todte Aap Baar Baar Hai

Jaane Kyon Bhatakti H~o Kashti Ki Tarah
Jaane Kyon Tumhe Sahil Ka Intejaar Hai

Jaane Kyon Yakeen Hai Mujhe Wafa Pe Teri
Jane Kyon Nahi Aapko Mujh Per Etbaar Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai
Mehndi jiske naa~m ki rachai hai tune,
Woh naam mera hi to hai.

Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai,
Woh naam mera hi to hai.
Dil pe tere jo naam likha hai,
Woh naam mera hi to hai.

Tere honthon pe jo kaanp raha hai,
Woh naam mera hi to hai.
Dhadkan mein jo teri gunj raha hai,
Woh naam mera hi to hai.

Apna naam jisse joda hai tune,
Woh naam mera hi to hai.
Tere naam ke bina jo adhura hai,
Woh naam mera hi to hai.



Deewana hu tera inkaar nahi,
Kaise keh du ke pyar nahi,
Kuch shararat to`e aur na aaya khawab koi,
Bas kall ki raat to~ aap hi ke khayalon ke saath gujari hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kehne ko to keechad me bhi hum kamal khila de,
Magar kuch soch ke~ ruk jaate hain.
Tum kanto me jeene ki baat karte ho,
Hum to kaanto ko bhi phool bana dete hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh kai baar dekha hai hamne khud pe aajma kar,
Dhokha dete hain log aaksar kareeb aa kar,
Kehti hai duniya par yeh dil nahi manta ,
Ke tum bhi chod jaoge ik din aapna bana kar.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aasman se chand ne nihara~ hamen kuchh is kadar,
Ki is zubaan par aaj fir koi haseen naam aaya.
Taare jaise kahte ho koi de raha hai sadda hamen,
Chandni mein chhipa koi pyar ka paigaam aaya.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki tarah,
Zindagi guzar rahi aai azaab ki tarah.
Khushbu Ki Kalam se shayad usne likha tha khat,
Har Lafz Mahak Rah~a Hai Gulab Ki Tarah.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kareeb se aapko dekha to apna paya ,
Jab aapko pyar se aazmaya to apna paya,
Aapko kya naam du samaj nhi aata,
Dost , Pyar ya Meri Zindagi ka Saya.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har pal me pyar hai,
Har lamhe me khushi hai.
Kho do to ~yaadein hai,
Jee lo to zindagi hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi to ho aisa jise aap sab kuchh baat sako,
Koi to ho aisa jisse bina jhijhak sab keh sako.
~
Koi to ho aisa ke jiske hone se sab achcha lagne lage,
Koi to ho aisa ke jis pe aitbaar kar sako.

Koi to ho jo humare jeeene ki wajah ban jaaye,
Jis ke liye hum hanse jis ke liye muskuraye.

Koi to ho jo is berang duniya ko rang jaye,
Jis ke sang har rang me rangne ko jee chahe.
~
Koi to ho jo tumhari rote hue aankho ko hasa de,
Koi to ho jo tumhare khamosh laabo ko chehaka de.

Koi to ho jiske ek pal ka saath me zindagi ji sako,
Jis ke sang har lamha zindagi ban jaye.

Koi to ho yaaar… koi to ho…..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai,

Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai.

Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain,

Pata Nahi Kab Din ~Kab Raat Hoti Hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ae mere chahne wale mujhe is kadar dua na de,
Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de,

Tu door ho ya paas h~o mera ban ke to dikha,
Tera ishq zara se shaks ko aashiq bana na de,

Khwaabon me is kadar na aa ki so bhi na sakun,
Yaadon me is taraah na aa ki din bhi na kate,

Aaankhon me ashq aaye aur main ro bhi na sakun,
Itna mujhe na chaah mujhe aisi dawa na de,

Itni wafa ke baad gar chalkein palko ke jaam,
Unko bhi na piyun mujhe aisi wafa na de,

Apne shahar ki galiyon ko mai chodd hoon chuka,
Aisa na ho teri gali tera pata na de,

Sab kuch luta ke khush hoon jo pa liya tujhe,
Aisa na ho tere dar pe hoon aur tu panaah na de.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itne dosto mein bhi ik dost ki talash hai mujhe,
Itne apno mein bhi i~k apne ki talash hai mujhe.

Chod aata hai har koi samundar ke beech mujhe,
Ab doob raha hun to ik sahil ki talash hai mujhe.

Lipatna chahta hoon main in andere ke gamon se,
Isliye ik shama ke ujaale ki talash hai mujhe.

Tang aa chuka hoon is bewaqt ki maut se main,
Isliye ik haseen zindgi ki talash hai mujhe.

Diwana hoon mai~n sab yahi keh kar chaidate hain mujhe,
Jo mujhe samajh sake us shakhs ki talash hai mujhe.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sard raaton ki tanhaai mein,
Hum teri yaadon ke chirag jalaye baithe hain.
Kabhi to tum zindagi ki haqeeqt banogi,
Sochkar palkon mein khwab sajaye baithe hain!

Tumhare saath ke lamhe har waqt sata-te hain,
Ab tumhare aane ki bus aas lagaye baithe hain.
Aankhon mein ashkon ko ab rok nahi pate,
Ki dil ko bilal sambhale huye baithe hain!

Kaash tum mere dard-e-dil ko samajh paao,
Hum jo seene mein abhi tak dabaye baithe hain.
Par woh jo humse dard bayaan nahi karte,
Rehkar khamosh kaun sa raaz chhipaye baithe hain!

Khushi bhale thodi si par dene ke liye shukriya,
Paigam tere bheje huye s~eene se lagaye baithe hain.
Hai ek tasveer bhi nighahon mein teri,
Bus ab usiko mann ki murat banaye baithe hain!

Tujhe yaad karna teri raah takna har dum,
Sab bhulakar ab yeh ek~ naya kaam liye baithe hain,
Janta hoon tujhe paane ka anjaam “e-naaz”,
Phir bhi hum naadan tumhi se dil lagaye baithe hain..!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti,
Aur mujh us~ki pehchan hoti,
Kharid leti har khushi aapke liye,
Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
Khayalo me kisi aur ko la na sake,
Unko dekhkar ansu to ponchh liye hum ne,
Par kisi aur ko dekh kar muskura na sake.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab kabhi hamara dil udas hota hai,
Mere khayalon mein tera chehra paas hota hai.
Bolta to kuch bh~oshi mein bhi kuch ehsaas hota hai.
Gham akelepan ka mita to nahi,
Par aane wali khushi ka ehsaas to hota hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum se door jaoge kaise,
Dil se hame bhulaoge kaise,
Hum wo khusb~oo hai jo sanson mein baste hain,
Khud ki sanson ko rok paoge kaise.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kalam thi hath mai likhna sikhaya aapne,
Takat thi hath mai hosla dilaya aapne,
Manzil thi s~amne rasta dikhaya aapne,
Hum to sirf dost the, Aashiq banaya aapne.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar karo to hamesha muskura ke
Kisi ko dhokha n~a do apna bana ke
Kar lo yaad jab tak hum zinda hain
Phir na kehna ke chale gaye dil mein yaadein basa ke
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Anshu bahe apki, par ankhen humari ho,
Dil dhadke apka, par dharkan humari ho,
Khuda kare itni ~gehri mohabbat ho humse ki,
Sanse ruke apki, par maut humari ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar, aap ko har jagah paa liya karte hain.

Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,
Na mil sakain aapse kabhi to, aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.

Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,
Aap ki yaad mein~ kabhi tanhai mein, aansu baha liya karte hain.

Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,
Ke aapki aas mein hi har shaam guzaar liya karte hain.

Mayusi jab chhaa jaati hai chehre pe,
Yaad karke aapko, hum yun hi muskuraa liya karte hain.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Lamho Lamho par khwaab likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamare musk~urane ki wajah aap ho,
Hamari zindagi ka matlab aap ho,
Hame milengi jab bhi khushi,
Hum sochenge khuda se dua karne wale aap ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek pal ka saath aapka dil chhoo jata hai,
Jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
Dil na jane kyun samajh nahi pata hai,
Kaise koi ajnab~ apna sa ban jata hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi u~se dil ka haal batana chaha,
Uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naino me base hain zara dhyan rakhna,
Apna rishta yuhi aabad rakhna,
Mujhe to aadat hai yaad karne ki,
Hichkiyan aati~ rahe to maaf karna.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tufaan me kashti ko kinare bhi milte hain,
Jahan me logon ko sahare bhi milte hain,
Duniya mein sabse pyari hai zindgi…
Aur kuch log jindgi se bhi pyare milte hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohobat ko mohobat ka ishara yaad rahta hai,
Har pyar ko apna pyar yaad rahta hai,
Do pal jo unki bahon me guzre hon…
Maut tak wo nazara yad rahta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek bar kaho tum meri ho,
Ikrar karo tum meri ho.

Kyun chup chap baithi ~rahti ho,
Izhar karo tum meri ho.

Jivan ki andheri rahon me,
Muskaan zara le aao na.

Aa jao zara un ra~hon me,
Manzil ko mere aajmao na .

Tum waqee sachhi ladki ho,
Ek bar kaho tum meri ho.

Sab jaan ke bhi anjani ho,
Ya door door se apni ho.

Yeh khamoshi ab tod bhi do,
Chalo maan liya sharmili ho.

Yaa phir duniya se darti ho,
Yeh kahne me ki tum meri ho.

Chahat se aankh churana kya,
Apno se bhala sharmana kya.

Jo tan-man apna waar gaye,
Ab unko bhi samjhana kya.

Tum kitni bholi bhali ho,
Ek bar kaho tum meri ho.
~
Ye nayan kanwal kyun suje hain,
Kya royee ho ya jaagi ho.

Kya sochti rahti ho hardam,
Kya jeet ke baazi haari ho,

Ya koi khata ~kar baithi ho,
Ek bar kaho tum meri ho.

Chupke se kareeb aa jao na,
Banhon ko zara phailao na.

Kuch raaz khule kuch baat khule,
Ab baton me uljhao na.

Ab aa bhi jao baithi ho kyun,
Ek bar kaho tum meri ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanha jab rehta hoon khayalon me tumhe paata hun,
Har jagah tumhe main mehsoos karta hun.
Apne saaye mein bhi main tumhe hi dekhta hun,
Kyun tum hi tum nazar aate ho yeh sochta rehta hun.

Yeh kaisi hulchal hai dil me jo pehle na thi,
Har aahat se kyun main chaunk uthta hun.
Nazar hamesha tumhe hi talas~hti rehti hai,
Kya tumhe bhi aisa lagta hoga sochta rehta hun.

Aate hi khayal tumhara lab yun khil jaate hai,
Dil hi dil me tumhe sada det~a rehta hun.
Samne na ho phir bhi kyun palak jhuk jaati hai,
Yeh kaisi uljhan hai kya hua aaj mujhe sochta rehta hun.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil se teri yaad na jaye to main kya karu,
Nazar tasveer mein tu ~hi aaye to main kya karu,
Lane ko to le aau tujhe khwaabon mein,
Par neend hi na aaye to main kya karu.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baharo ki mehfil suhani rahegi,
Labon par khushi ki kahani rahegi.
Chamakte rahenge khushiyon ke ye sitare,
Agar apke saath ki meherbani rahegi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitna pyar karte hain hum unse,
Kaash unko bhi yeh ehsaas ho jaye,
Magar aisa na ho ke woh hosh mein tab aaye,
Jab hum gehri neend mein so jaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho sakta hai ki baarish ke baad aasmaan neeli na ho,
Ho sakta hai ki dhoop ke baad sarson peeli na ho,
Magar ye kaise ho sakta hai ki,
Aapki yaad aaye aur aankhen geeli na ho….!”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere hathoon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeer~en kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne hathon par saja lena…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taare aasman me chamkte hain,
Badal itni dur hai fir bhi b~arste hain
Hum bhi kitne nadan hain,
Aap dil me rehte hain,
Aur hum aapse milne ko tarste hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khush kismat hain hum ke mili hai mohabbat hamein,
Zindagi ke safar mein aakhir mili hai jannat hamein.

Tanhai ka mausam chhaya tha mere jeevan pe kabhi,
Aaj mausam ka rukh badalne ki mili hai taaqat hamein.

Taqdeer mein apni kahan khushi ka basera tha dost,
Aapke pyaar ne kar diya hai gham se rukhsat hamein.

Kehte hain ki khushi ka doosra naam mohabbat hai,
Is khushi ko haasil karne ki de deejiye ijaazat hamein,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum nazaron se door hain ankhon se nahi,
Hum khwabon se doo hain khayalon se nahi,
Hum dil se door hain dhadkan se nahi,
Hum aapse door hain napki yadon se nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi ki chahat par zinda rehne wale hum na the,
Kisi pe mar mitne wale hum na the,
Aadat si pad gayi tumhe yaa~d karne ki,
Warna kisi ko yaad karne wale hum na the!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khafa ho Kabhi to Khata ~Bata Dena,
Bichhadane se Pahle Milane ka Pata Dena,
Bagair Puchhe Maine Aapko Apna Dil De Diya,
Mere is Gunah Ki Saja Bata Dena….
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
di hai,
Khush rehne ki usne dua di hai,
Aye Khuda tu use sara jahan hi de dena,
Jisne apno me hame jagaah di hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gham to nibha lenge hum,
Bas aap rehana sath hamare to,
Behate huye ansuon me bhi muskura lenge hum.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha nahin achha bura, dekha suna kuchh bhi nahin,
Maanga khuda se raat din, tere siva kuchh bhi nahin!
Dekha tujhe, socha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe,
Meri khata meri wafa, teri khata kuchh bhi nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar,
Bheja wahi kagaz use, hamne likha kuchh bhi nahin!
Ek shaam ki dahleez par, baithe rahe woh der tak,
Aankhon se ki batain bahut~, munh se kaha kuchh bhi nahin!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi udas hone ka naam nahi,
Dosti sirf paas hone ka naam nahi,
Agar tum dur rehkar bh~i hamhen yaad karo,
Is se bada hamare liye koi inaam nahi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh aur baat hai dushman hue hain aaj magar,
Wo mere dost the kal~ tak use bura na kaho,
Na jane kaun si majbooriyon ki kadi ho,
Wo sath chhor gaye hain to bewafa na kaho.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil se dil ka jab salaam hota hai,
Faslon ka wahan kya kaam hota hai,
Khuda bhi sajda uska karta hai,
Sanam par jo kurbaan hota hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere pyar ki barish mein nahane ko ji chahta hai,
Teri banhon ki garmi mein phighal jane ko ji chahta hai,

Tere ishq ke gehre sagar mein doob jane ko ji chahta hai,
Teri jheel si kaali aankhon mein sama jane ko ji chahta hai,
~
Chand se tere chehre pe fida ho jane ko ji chahta hai,
Mohabbat mein teri hadh se guzar jane ko ji chahta hai,

Teri shehed baatein mere dil ko bohat lubhati hain,
Bheegi si muskaan teri deewana mujhe kar jaati hain,

Ghussa bhi tera hai pyaar bhara saari duniya se judaa,
Anokhi teri adaon pe marr mitne ko ji chahta hai,

Maanga hai tujhe khuda ~se bare sajdon ke baad,
Kamzarf zamane ki nazron se tujhe chupa lene ko ji chahta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aakhon ki zuban woh samajh nahi pate,
Honth hain magar kuchh keh nahi pate,
Apni bebasi kis tarah kahein,
Koi hai jinke bina hum reh nahi paathe…

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apke pyar ne zindagi ko ek maqsad diya hai,
Har sukh dukh mein main~e aapka ehsas kiya hai,
Jab bhi jhapke palak aapki to samaj lena,
Aapki jaan ne aapko yaad kiya hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj dil un par nisaar hua jaye re,
Nahi hua ab tak woh aaj~ hua jaye re,
Pyaar bhara aankhon mein sharab ki tarah,
Kaise main chhupu yeh benaqaab hua jaye re.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bechain meri aankhon ko kaun lautaye qarar,
Hamein chahat nahin kisi a~ur ki hai bas aapki darkaar,
Hamari mohabbat ko khuda ke waaste kar lo swikaar,
Pehli aur aakhri woh tum hi ho jis se mujhe hua hai pyaar.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Surkh gulab ke sare mausam tere naam,
Har subah ka pehla ujala tere naam.

Teri yaad ka behta dariya mere liye,
Behati jheel mein phool kanwal ka tere naam.

Jitne khawab khuda ne mere naam likhe,
Un khawabon ka resha res~ha tere naam.

Tere bin jo umar beet beet gayi,
Ab is umar ka baki hissa tere naam.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mein hoon tum ho aur khamoshi,
Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.

Dekhte hue zamana guzara hai,
Falak par door talak ch~andni ki sargoshi,

Mein hoon tum ho aur khamoshi…

Toofanon ke caravan dil mein samaye,
Bhatakate rahe kadam nazarein tujhe par jamaaye.

Mil jao tum kisi raah kisi mod par,
Dharkan ab sahamne lagi waqt ki khamoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi…

Kyon tumse ummeed lagi hai har pal,
Manzil ho tum to phir kaisi faramoshi.
~
Labon ke khulte hi raaz khul jaayenge,
Reh jaayega milan aur ishq ki madhoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Mohabbat hoon, Main Ibadat hoon.
Har dil ki justjoo Har nigah ki talash,
Main Hontho ki pyaas,
Main khushi ka eh~sas,
Main rishton ki buniyaad,
Jawaan dilon ki dhadkanon se main abaad,
Main junoon main hi sukoon,
Main mohabbat hoon.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main har rang mein,
Main raahi ke sang mein,
Baawre jogi, har mast malang mein,
Main suron ki tarang mein,
Main jawani ke vayang mein,
Main mohabbot hoon har ajab dhang mein.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main kisi ki yaad, Main kisi ki tammana,
Main kisi ki muskurahat, Main kisiki mayoosi,
Main kahin khushi, Main kahin gham,
Main khayalon mein, Main swaalon mein,
Main kabhi subah, Main klabhie shaam,
Main kabhie raat, Main kabhi jazbaat,
Main jeet hoon, Main preet hoon,
Main aakh ka ishara, Main dil da hulara,
Main kahin dhadkan, Main kahin saansein
Main kahin dilbar, Main ~kahin mehbooba,
Main kahin yaar, Main kahin Rabb,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bata mujhe main kahan nahin,
Main yahan, Main wahan,
Mujhse hi yeh saara jahan,
Mujhse koi juda~a nahin,
Main tujhe mein, Main mujh mein,
Main kabhie tera dilbar haseen,
Kabhie tera jaanasheen,
Main har waqt tujh mein,
Bas kehte hain mujhe pardanasheen,

Main jo sab mein hoon,
Main hi to mohabbat hoon.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch kadmo ki hi doorie par woh mere saamne hain,
Chupke se dekh aankhein band kar leta hoon,
Kya waqt ki majboori hai u~se chhoo nahi sakta,
Zindagi saamne hai mere saansein le nahi sakta.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh zara zara si baat par tarha tarha ke azaab kyun,
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai.

Mujhe laghzishon peh ha~r ghari koi tok-ta hai baar baar,
Jise kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai.

Main dhoondta hoon woh khizaan jise gulshanon se pyaar ho,
Jise kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai.

Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo,
Jahan hiran ko sher se dar na ho mujhe uss jagah ki talaash hai.

Yahan ik lamhe ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye,
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai.

Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe,
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai.

Mujhe dekh kar jo ik nazar mer~e saare dard samajh sake,
Jo iss kadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar ki shama jalakar~ to dekho,
Zara dil ka aashiyaan sajakar to dekho,
Tumhe ho na jaye ishq to kehna,
Zara hamse nazrein milakar to dekho.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat ki tanhai mein unk~o awaaz diya karte hain,
Raat mein sitaron se unka zikra kiya karte hain,
Woh aayein ya na aayein hamare khwabon mein,
Hum to bus unhi ke intezaar mein aahe liya karte hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
Lafzon mein tarannum si aa gayi hai,
Arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai,
Jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab tak tumhein na dekhu,
Dil ko karaar nahin aata,
Gar kisi gair ~ke saath dekhu,
To phir saha nahin jata.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,
Zeher dushman se liya nahin ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
Us pyar ke bina jiya nah~in ja sakta.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Uski har baat zamane se juda lagti hai,
Jane kya baat hai ki har baat ada lagti ha,
Uske aane se bharon pe ni~khar aata hai,
Rooth jati hai to taqdeer khafa lagti hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj mat rok khud ko madhosh ho jaane de,
Paas aa apne nashe mein kho jaane de,
Na aaoon hosh mein, na kabhi meri saanson se teri mehek jaye,
Band kar le aankhein, ab jo hota hai ho jaane de.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main aaj phir kuchh likhna chahta hoon,
Uske aanchal mein khud ko chupana chahta hoon.

Chahta hoon main woh aaye mere paas fir se ek baar,
Ek jhalak fir uski dekh main muskurana chahta hoon.

Usko maloom nahi hai ki woh kis kadar hai mere dil se judi,
Yehi apni maut se pehle ek baar use batana chahta hoon.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,
Samne aate hi nazar jhukate hain woh,
Baat karte nahin, ya ho~i nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hain muskurate hain woh.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chehre pe hansi chha jati hai,
Aankhon mein s~uroor aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe guroor aa jata hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq ka apna mazaa hota hai,
Ismein milne ka, judaai ka mazaa hota hai.

Baat mehfil ki kahaan ishq waale karte hain,
Ho judaai to tanhaai ka mazaa hota hai.

Kabhi raazi to kabhi yaar fidaa rehta hai,
Kabhi dildaar ki ruswaai ka mazaa hota hai.

Kabhi aankhon se to yeh aankhein nahi milti,
Kabhi chehre ki padhaai ka mazaa hota hai.

Yun to chehre ko dekhne se khushi milti hai,
to kabhi dekhkar rulaai ka mazaa hota hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Samander peer ka undar lekin ro nahi sakta,
Yeh aansu pyar ka sagar isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko apna tu b~ana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paya, woh tera ho nahi sakta.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaadon ke is bhanwar mein ek pal mera ho,
Phoolon ke is chaman me~in ek gul mera ho,
Khuda kare ki jab aap yaad karo apno ko,
To un apno mein ek naam mera ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jinke liye diye jalaye rahon mein woh daman jala kar chal diye,
Jinhe samjha hamne apna~ woh deewana banakar chal diye.

Ghazal ko lafj banakar kiya ijhare ishq mahfil mein hamne,
Woh sunke ghazal muskurakar waah waah karke chal diye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq ki ruswaiyon ka ab luft lene lage hain log,
Naam-e-Mohabbat bewafai kahne lage hain log.

Tu aa ja ki ab tanhaiyon se lagne laga hai darr,
Kahke deewana ab mujh pe hasne lage hain log.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aankhein oonchi hui to dua ban gayi,
Aankhein neechi hui to haya ban gayi.
Jo jhuk kar uthi to khata ban gayi,
Aur uth kar jhuki to ADA ban gayi…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh jo hasinao ke baal hote hain,
Ladkon ko fasane ke jaal hote hain,
Pee jati hai sara khoo~n ladkon ka,
Tabhi to inke gaal itne laal hote hain.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aapki ek muskurahat ne hamare hosh udaa diye…
Aapki ek muskurahat ne h~amare hosh udaa diye…
Hum hosh mein aane hi wale the,
Ki aap phir se muskura diye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is khamosh si zindagi mein tu koi soz jaga de,
Paimaane se duniya peeti hai, tu aankhon se pila de,
Tanhaaiyan hai, zindagi ke taar be-aawaz hai kabse,
Na pyaar ka geet sahi, dard ki ek jhankar utha de.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har kisi ko kisi ki talaash hai,
Har koi dhoondhta apne liye koi khaas hai,
Saaf nazar aayega zaraa gaur se dekho,
Shayad woh kahin tumhaare hi aas-paas hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat~ Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuch Aur Bhi Hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Par Na Mere Yun ~Waar Kijiye,
Chhodo Yeh Nafrat Thoda Pyar Kijiye,
Tadapte Hain Jis Kadar Tere Pyar Mein Hum,
Kabhi Khud Ko Bhi Us Kadar Bekraar Kijiye….

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiqui Main Teri Hum Mitt Chale Thei
Koi Khushi Nahi~n Na Mili Jis Raah Pe Hum Chale Thei
Kho Diya Sab Kuch Jo Kabhi Apna Tha
Najane Andheri Raat Mein Tanha Hum Kaha Chale Thei
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muskura Do Ye Suba~h Tumhari Hai
Keh Do Dil Ki Baat Aaj Duniya Tumhari Hai
Faila Do Khushiyon Ka Aanchal Aise Ki
Lage Hume Ki Bus Har Waqt Kami Tumhari Hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dhadkan bina dil ka matlab hi kya
Roshani bina diye ka matlab hi kya
Kyun kehte hain l~og ki mohabbat na kar dard milta hai
Wo kya jane ki dard bina mohabbat ka matlab hi kya…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut or mohabbat se darta kaun hai…
Mohabbat to ho jata hai ise karta kaun hai…
Hum to kar de mohab~bat mein jaan bhi kurban…
Par yeh to pata chale humse mohabbat karta kaun hai…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sath dene ka wada kiya tha,
shikwa sehne ka w~ada kiya tha,
Agar wo hamare bina khush hai to ye hi sahi,
Kyunki humne to unhe sada khush rakhne ka wada kiya tha.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Ko Apne Dil Me Basana Aasan Nahi Hota.
Kisi Ko Ektarfa Pyar Karna Bhi Aasan Nahi Hota.
Toot To Sabhi Jate Hain Gam-E-Ishq Se.
Par Jo Gir Ke Samhal Jate Hain Raah-E-Ishq Me.
Unke Liye Samhalna Aasaan Nahi Hota.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar main hadd se guzar jaun to mujhe maaf karna,
Tere dil mein utar jaun to~ mujhe maaf karna,
Raat mein tujhe dekh ke tere deedar ki khatir,
Pal bhar jo theher jaun to mujhe maaf karna..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab koi itna khaas ban jaaye,
Uske bare mein hi soc~hna hi ehsaas ban jaye
To mang lena khuda se use zindagi ke liye,
Isse pehle ki wo kisi aur ki saans ban jaaye.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand Ke Nikalne Se Dikhti Hai Aapki Jhalak
Aap Samne Hot~e Ho To Na Jhapakti Hai Palak
Aapke Aage Feeki Lagti Hai Hire Ki Chamak
Aur Aap Se Hi To Aati Hai Zindagi Mein Ronak.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil ko manana aasan nahi hota..
Apno ko satana aasan nahi hota..
Wada karna aasan ~hota hai..
Magar wada nibhana aasan nahi hota..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye,
Tamaam yaad ha~i unki hume rulane ke liye,
Unki yaadon ko mitane ka jariya na mila,
Humne khud ko mitaya unki yaadon ko mitane ke liye,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
reh na paoge bhulakr dekho, na ho yakin to aajma kr dekho,
har ghadi har lamha hogi humari kami, chahe kitni v apni mehfil sajakr dekho.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya pata tha hume ki hum bhi kabhi aapse milenge
socha kisne tha ki ek din hum bhi pyar ke samandar mein kho jayenge
ye to rab ki meher hai ki is nacheez ko bhi usne kabil samjha
duva mein aapka haath humhe dena sahi samjha…

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na khuda dil banata na ~ika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is dil ka kaha mano ek kaam kar do
Ek be-naam si mohabbat mere naam krdo
Meri zaat pr faqat itna ahsaan kar do
Kisi din subah ko milo, or shaam kr do..!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap ko is dil mein utar lene ko jee chahata hai,
Khubsurat se phulo m~ein dub jane ko jee chahata hai,
Aapka sath pakar hum bhul gaye sab maikhane,
kyunki un maikhano mein bhi aapka hi chehara nazar aata hai….
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do
Apni Mahak Saason Se Mehek Jaane Do,
Dil Machalta Ha~i Aur Saans Rukti Hai
Ab Toh Seene Mein Aaj Mujhe Utar Aane Do!!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aisa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na So Sake
Yun Rulaya Aapne Ke Mehfil Mein Hum Ro Na Sake
Na Jaane Kya Baat Hai Aap Mein Sanam
Mana Hai Jabse Tumhe Apna Kisi Ke Hum Ho Na Sake..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log aksar dua karte hain,
Ki khuda pyar walon ko, Kabhi juda na kare,
Par hum to humesha kahenge
Ki jo na ho kismat mein Khuda usse pyar kabhi na karwaye..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Door Hokar Bhi Mere Paas Hai Aap,
Meri Saanso Me~in Basa Ek Ehsaas Hai Aap,
Aap Ko Yeh Ehsaas Ho Na Ho,
Par Mere Liye Bahut Khaas Hai Aap..!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse door hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism~ par waar nahi karti…

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere naam se Mohabbat ki hai,
Tere Ehsaas se Mohabbat ki hai,
Tum mere pass nahi phir bhi, Tumhari yaad se Mohabbat ki hai,
Kabhi Tu~m ne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhat se mohabbat ki hai,
Tum se milna to ek khwab sa lagta hai,
Maine Tumhare intezar se mohabbat ki hai..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aapse yeh doori humse sahi nahi jati,
Juda hoke aapse humse raha nahi jata,
Ab toh waapas laut aayiye hamare paas,
Dil ka haal ab lafzon mein kaha nahi jata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dard Banke Dil Mein Chhupa Kaun Hai
Reh-Reh Kar Isme Chubhta Kaun Hai
Ek Taraf Dil Hai Aur Ek Taraf Aaina
Dekhna Hai Is Baar Pehle Tut-ta Kaun Hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hasrat hai sirf pane ki,
Aur koi khwahish nahi is diwane ki,
Shikwa mujh~e tumse nahi khuda se hai,
kya jarurat thi tumhe itna khubsurat banane ki..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil ki tanhai mein yaad ke zakhm Bahut gehre hain
Koi bhi paas nahi jo ~Haath pakad k itna keh de Ki
Mat ho pareshan, Aaj Se Hum Sirf Tere Hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Ke Barish Mein Kuch Aisa Karna,
Apni Hatheli Pe Q~atron ko Jama Karna,
Jo Jama Ho Jayen Wo Sab Teri Chahat,
Aur Jo Reh Jayen Wo Sab Meri Chahat..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha tha us bewakuf ko bhul jaayenge,
Dekh ker bhi andekha ker jaayenge,
Par,Jaise hi wo saamne aaye wo hasi chehra,
Socha is baar dekh lu agli baar bhul jaayenge.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sharm pasand hai hume aapki
Magar itna bhi na ~sharmaya karo,
Yeh deewana fida hai tumhari nazaron par,
Humse nazrein to na churaya karo.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon ki saja ta~b tak hai jab tak didar na ho,
Dil ki saja tab tak hai jab tak pyar na ho,
Yeh zindagi bhi ek saja hai ae mere dost
Jab tak aap jaisa koi yar na ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitna bhi chaho na bhool paoge hume
Jitni door jaoge nazdeek paoge hume
Mita sakte ho toh mita do yaadein meri
Magar kya s~anson se juda kar paoge hume
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi baat nahi agar unka milta hai sukoon kisi or ka ho Jane se
To khudaya mujhe mout hi dede tu is bahane se
Uske sukoon ki khatir yeh dard bhi gawara hai
Magar usko kaise b~echain dekhu jo mere jine ka Sahara hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum chahe to bhi bhula nahi sakte,
Teri yaadon se daman chura nahi sakte,
Tere bina jeena ek pal bhi namumkin hai,
Tumhe chahte hai itna ki bata nahi sakte.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Samne na ho to tarasti hai aankhein,
Yaad mein teri barast~i hai aankhein,
Mere liye nahi inke liye hi aa jao,
Aap ka bepanaah intezaar karti hain aankhein..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Tasveer hai us~ka ki Deedar kiya Jaye,
Na Paas hai wo jo use Pyar kiya Jaye,
Yeh kaisa Dard Diya hai us Bedard ne,
Na us se kuch kaha Jaye,
Na uske Bin Raha Jaye..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil manga tha jaan di humne,
Pyar manga tha pehchan di humne,
Wo bole ki ek roz mil jao,
Aur umr sari kurbaan di humne..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat muskurao itna ki,
Phoolon ko k~abar lag jaye,
Ke wo kare taarif tumhari,
Aur tumhe unki najar lag jaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le,
Mujhe Yad Rakh, Beshak Naam Na Le,
Tera Veham Hai Ke ~Hum Bhool Gaye Tujhe,
Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar wo nahi jis mein jeet aur haar ho,
Pyar wo nahi jis mein izhaar aur inkar ho,
Asli pyar to ~wo hai jisme,
Kisi ke milne ki Umeed bhi na ho fir bhi intezar ho..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sirf sitaron mein hoti mohabbat agar,
In alfazon ko khubsurati kaun deta,
Bus patthar banke reh jata Taj Mahal,
Agar ishq ise apni pehchan na deta..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi,
Mere paav mein zanjir nazar aayi,
Gir pade aansu aankh se,
Aur har ek aansu mein aapki tasvir nazar aayi..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bas ab ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jaayegi,
Ab to bas uljhan hai sath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
Rimjhim si gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar wo hume bepanha kar gaye,
Fir zindagi mein humko tanha kar gaye,
Chahat thi unke i~shq mein fanaa hone ki,
Par vo laut kar aane ko bhi mana kar gaye..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain,
Dil Ki Baatein Tum~se Chhupi Kab Hain,
Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Ki Jagah,
Fir Zindagi Ko Sanson Ki Zaroorat Kab Hain..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh zind~agi tere sath ho,
Yeh aarzoo din raat ho,
Main tere sang sang chalun,
Tu har safar mein mere sath ho,
Main kaanton pe bhi chal paaun,
Tere pyar ki jab barsaat ho,
Kabhi shaam dhale jab hum mil na paayen,
Na din dhale na raat ho,
Yen zindagi bus tere sath ho..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Alag Tha~ Kehne Ka Andaz Unka
Ke Suna Bhi Kuch Nahi Or Kaha Bhi Kuch Nahi
Kuch Is Tarah Bikhre Unke Pyar Mein Hum
Ki Tuta Bhi Kuch Nahi Aur Bacha Bhi Kuch Nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankh moond jaye to sapna tumhara ho,
Aankh khul jaye to mukhda tumhara ho,
Kash mujhe maut aa~ jaye main mar jaoon,
Agar kafan phi mile to woh aanchal tumhara ho..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us gulab se pucho ki dard kya hota hai,
Jo hamesha khamosh rehta hai,
Logon ko d~eta hai paigam -e- mohabbat,
Aur khud kaaton ki chubhan ko sehta hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shararat Na Hoti Toh Shikayat Na Hoti,
Naino Mein Kisiki Yun Nazakat Na Hoti,
Na Hoti Bekarari Na Hote Hum Yun Tanha,
Jahan Mein Yeh Kambakht Mohbbat Na Hoti.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Navz meri dekhi mujhe bimaar likh diya
rog mera aapka pyaar likh diya
karzdaar rahenge ~zindagi bhar us haqeem ke
jisne dava mai aapka deedar likh diya…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bh~ul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya….

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me in~saan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
Aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil par nahin hota kaaboo kisika
Dil kho jaaye to kya kare …
Dheeme se koi jaadoo chal jaaye
Aur pyar ho jaaye to kya kare?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hasin palo ko phirse abad kar rahe the,
Chand se aapki ba~at kar rahe the,
Dil ko bada sukun mila jaanke yeh,
Ke aap bhi hame yaad kar rahe the.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi to ki hogi suraj ne chand
se mohabbat
Tabhi to chand mein daag hai,
Mumkin hai ki chand ne ki
hogi bewafai~
Tabhi to suraj mein aag hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi to dil main halki si
Khalish mahsos hoti hay
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na wakt hai itna ki sylabus pura kiya jae
na tarkib koi ki exam pas kiya jae.
Na jane kaun sa dard diya hai is padhai ne
na roya jaye aur na soya jaye.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shararat na hoti Shikayat na hoti
Nainon me kisi ke Nazakat na hoti
Na hoti bekarari Na hote hum tanha
Agar jahan me kambakht Ye mohabat na hoti
Na hote ye s~apne Ye khwabon ki duniya
Kisi ko chahat ki Tamanna na hoti
Na julfo ki chaya Na phulon ki khushbu
Yadon me unki Ye rate na kat ti
Jo na hoti mohabat Ye ansu na hote
Dil bhi na khota~ Aj tanha na rota
Diwanon si apni Ye halat na hoti
Agar jahan me kambakht Ye MoHoBBaT na hoti.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi achi si saja do mujhko
chalo bhula do mujhko.
Tumse dosti tute us din maut aa jaye mujhko
dil ki gahraiyon se dua do mujhko.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek lamha jo baar baar satata hai
Na jaane yeh dil kya chahta hai.
Kaash aap hote hamari nazron k saamne
Par yeh kaash kaash hi reh jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq aisa karo ki dharkn mein bs jaye
Saans bi lo to ~khushboo usi ki aye.
Pyar ka nasha aankhon pe cha jaye
Baat kuch bi na ho pr nam usi ka aye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Behte aashkon ki zubaan nahi hoti
Lafzon mein mohabat b~ayaan nahi hoti.
Mile jo pyar to kadar karna
Kismat har kisi par maherban nahi hoti.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is dil ka ik arman hai
ik chand me ~hmari jaan hai.
Jise dur se dekhna to mumkin hai
Par milna kahan aasan hai.
Kyon ki hum to ik zameen hain
Arr Vo ik aasman hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki ek yaad bechan kar jati hai
Har cheez me unki surat nazar aati hai.
Aisa hal kiya unhone ~pyar me hamara
Ke nind aati hai to ankhen bura maan jati hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tinka-2 tufan mein bikharte chale gaye
Tanhai ki gehraion ~mein utarte chale gaye.
Udte thay jinke sahare aasmano mein hum
Ek-ek karke sab bichadte chale gaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamari dastan use kaha kubul thi
Meri wafayen uske liye fizool thi.
Koi aas nahin ~lekin koi itna bata do
Maine chaha use kya ye meri bhool thi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum to pyaar k saudagar hain
Sauda sacha karte hai
Par jab aap jaise dost ho khariddaar
To hum muft me bhi bik jaya karte hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apko dekhkar ye nigah jhuk jayegi
Khamoshi har bat keh jayegi.
Pad lena in ankhon mei apne pyar ko
Apki kasam sari kaynaat wahi ruk jaegi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch log zindgi me is kdar shamil ho jate hain
Agar bhulna chaho to or yad ate hain.
Bas jate hain wo dil me is kadar
Ke ankhen band kro to samne nazar aate hain.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj har ek pal khoobsurat hai
Dil main teri sirf teri surat hai.
Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi
Duniya se j~iada humko teri zarurat hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab khuda ne tujhe banaya hoga
Ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga.
Aise hi nashili na~hi teri aankhen
Jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat or mout dono hi
Bin bulaye mehmaan hote hai,
Kab aa jaye~ koi nahi jaanta.
Lekin dono ka ek hi kaam hai
Ek Dil le jati hai to doosri Dhadkan.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil unke liye he machalta hai
Thokar khata hai or sambhalta hai.
Kisi ne is kadar kar liya dil par kabja
Dil mera hai per unke liye dhadkta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyun tumhare is ashiq ka parwano me naam lete ho
Keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.
Pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu
Phir kyun humari mohabbat ka imtehan lete ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aapki is dil lagi me hum apna dil kho baithe
Kal tak us khuda k the aaj apke ho baithe.
Pyar suna to tha~ diwana kr deta hai
Aaj khud krke hum bhi hosh kho baithe

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil jeet le woh Zigar rakhte hai
Katal kar de w~oh nazar rakhte hai
Wada kiya hai kisi se hamesa muskurane ka
Warana hum bhi ankhon mai samunder rakthe hai..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duriya hi dilo ko najdeek lati hai
Duriyan hi 1 ddoze ko yaad dilati hai
Door ho ker bhi k~oi kitna kareeb hai
Duriya hi is baat ka ehsas dilati hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kagaz pe hamne jindgi likh di
Asoun se seec~h kar har khusi likh di
Dard jab hamra ubhra lafzo per
To logo na kha wah kya gajal likh di
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is do pal ki jindgi mai tanhaiee kyoun hai
Logo ko ham se rusawee kyoun hai
Is duniya mai insan ~ki kami nahi hai
Fir hamare sath hamari parchaee kyoun hai

टिप्पणियाँ