सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
zulf shayari latest in hindi2017
- Ki zindagi teri zulfon ki naram chhaaon mein,
- guzrne paati toh sh~aadaab ho bhi saktii thi.
- Ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai,
- teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi.
-
- Ajab na tha ki main begaana-e-aalam ho kar,
- teri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehta.
- Tera gudaaz badan, teri neembaaz aankhen
- inhin haseen fa~saanon mein mahv ho rehta.
- Pukaarti mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,
- tere labon se halaavat ke ghoont pee leta.
- Hayaat cheekhti phirti barhana- sar aur main,
- ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta.
- Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai..
- ki tu nahin.. tera ghum, teri justajoo bhi nahin.
- Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise,
- isey kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin.
- Zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale,
- guzar reha hun kuc~hh anjaani rah-guzaaron se.
- Muheeb saaye meri simt badhte aate hain,
- hayaat-o maut ke purhaul khaarzaaron se..
- Na koi jaada, na manzil, na roshni ka suraagh
- bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi meri.
- Inhi khalaaon mein reh jaaunga kabhi kho kar,
- main jaanta hu~n meri hum-nafas magar yun hi..
- kya haal hai mere gaaon ka ?
- peepal ki thandi chhaon ka ?
- sharmili shokh nighaahon ka ?
- un naaz bhari adaaon ka ?..
- .......................................
- aaj-kal humare gaaon mein kaisa sawera hota hai ?
- kya ab bhi ~un ke aangan mein phoolon ka basera hota hai ?
- panchhi geet sunaate hain jab door andhera hota hai ?
- un ke dil mein kya ab bhi meri yaad ka dera hota hai ?..
- .............................................
- kya ab gaaon ki galiyon mein bachche shor machaate hain ?
- pyaari pyaari baaton se~ sab ka dil behlaate hain ?
- gudde our guddi ki shaadi bhi karwaate hain ?
- aur chhutti ke din kheton mein maa – baap ka haath baTaate hain ?..
- ............................................
- kya ab bhi humare khaito ke samaan sehaane hote hain ?
- kya ab bhi jawaanon ke~ lab par waise taraane hote hain ?
- hum khel jo khela karte the, wahi khel puraane hote hain ?..
- .......................................
- kya ab bhi gaaon ki naariyan paani bharne jaati hain ?
- apne sundar pairon ki paayal bhi chhankaati hain ?
- sab sakhiyaan~ ek-dooji ko dil ka haal sunaati hain ?
- aur apne naazuk saron par teen – chaar ghade uthaati hain ?
- ..........................................
- kuchh toh mujh ko haal suna meri mehbooba matwaali ka..
- jheel si jis ki aankhen thi,naagin zulfon waali ka..
- phool sa jis ka chehra th~a, maasoom si bholi – bhali ka..
- jo pawan ke ishq mein paagal thi uss paagal dil waali ka..
- kya woh ab bhi takti hai meri raah ???
- ......................................................
- Saja Kar Apni Hi Aankh Hazaar Chehron Pe..
- Ye Woh Khidki Hai Jo Dariya Ki Taraf Khulti Hai..
- Log Deewaar D~ekhte Honge..
- Khwaab In Aankhon Se Ab Koi Chura Kar Le Jaye..
- Mujhe Aey Dost Ja Kar Shehar Mein Apna Pata Likhna..
- ..........................................
- Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din,
- kya roz garajte ho baras jaao kisi din.
- Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab,
- dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din.
- Pedon ki tarah husn ki baarish mein naha lun,
- baadal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din.
- Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se,
- phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din.
- Phir haath ko khairaat mile band-e-qaba ki,
- phir lutf-e-shab-e-wasl ko dohraao kisi din.
- Guzrein jo mere ghar se~ toh ruk jaayen sitaare,
- iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din.
- ~
- Main apni har ek saans ussi raat ko de dun,
- sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din. !!
- .....................................................
- Apne Ghar Ki Khidki Se Main Aasmaan Ko Dekhunga..
- Sannata Kya Chupke Chupke Kehta Hai..
- Dariya Ko Zom T~ha Ki Main Dhaare Pe Aa Gaya..
- Ab Khushi Hai Na Koi Dard Ru~laane Wala..
- Benaam Sa Ye Dard Thehar Kyon Nahin Jaata..
- ...........................................................
- Ye zulf agar khul ke bikhar jaaye toh achchha,
- iss raat ki ta~qdeer sanwar jaaye toh achchha.
- Jis tarh se thodi si tere saath kati hai,
- baaki bhi issi tarah guzar jaaye toh achchha.
- Duniya ki nigaahon mein bhala kya hai bura kya,
- ye bojh agar d~il se utar jaaye toh achchha.
- Waise toh tumhin ne mujhe barbaad kiya hai,
- ilzaam kisi aur ke sar jaaye toh achchha.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें