सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
Dard Bhari Poetry In Urdu shayari2017
- Rakkha Hai Kisi Ki Aas Rehne Hi Mein Kya,
- Rakha Hai Kisi Ke P~ass Rehne Hi Mein Kya,
- Aadat-Si Padh Gayi Hai Shayad Warna,
- Rakha Hai 'Firaq' Udas Rehne Hi Mein Kya.
- =================================
- Kaagazi Naaw Tairaane Ki Kya Jarurat Thi,
- Aag Me Fool Khilaane Ki Jarurat Kya Thi,
- Jiske Ban-Ne Me Hi Ma~jmar-2 Ho Bigadne Ke Chalan,
- Aisi Dunia Ko Banane Ki Jarurat Kya Thi.
- =================================
- Waakif Bhi Hain Aap, Jindagi Hai Girdaab,
- Aansu Ki Tarah Gareeb~ Peete Hain, Sharab,
- Jo Wakt Hai, Darassal Taras Khane Ka,
- Uss Waqt Bhi Aitraaz Karte Hain Janab.
- =================================
- Jakhmi Dil Ko Kaise Dikhaaye, Ye Kaho,
- Khoon Ke Aan~su Kise Rulaayein, Ye Kaho,
- Jag Pe Beete, So Hum Pe Beeti "Sagar",
- Apni Beeti Kise Sunayein, Ye Kaho.
- =================================
- Ro-Roke Kha Usse Mulaqat Ki Raat,
- Ro-Roke Kati Hijar Ki Rate Hai Haat,
- Ab Jikre-Shabe-Wasal ~Hai Ahbab Se Aur,
- Rona Wahi Jar Jar Yeh Hai Kya Baat.
- =================================
- Zamane Mein Koi Unn-Sa Dilbhar Nahi Hai,
- Hai Kon Yaha Jisko ~Unse Pyar Nahi Hai,
- Unki Saadgi Pe Kon N Mar Jayega,
- Qatal Karte Hai Magar Hath Mein Talwar Nahi Hai.
- =================================
- Mere Dil Chura Le Gayi Aapki Ada,
- Mujhko D~eewana Kar Gayi Aapki Ada,
- Mere Mehboob Ab Mera Aakhiri Salam Lo,
- Mujhko Kaja De Gayi Bas Aapki Ada.
- =================================
- Jhumi Taarik Raat Mere Dil Mein,
- Badmast Hui Hayat Mere Dil Mein,
- Saaki Ne Subu Dek~e Uthaya Jo Rabab,
- Gum Ho Gayi Kayanat Mere Dil Mein.
- =================================
- Bago Pe Wo Cha Gayi Jawani Saaqi,
- Sanki Wo Hawa~-Aye-Jindgani Saaqi,
- Ha Jald Undhel Jald Behti Hui Aag,
- Aaya Wo Barasta Hua Pani Saaqi.
- =================================
- Gaafil Duniya Ko Tune Faani Samjha,
- Kya Tune Bhi Raaje-Jindgani Samjha,
- Hasti Ki Haqiqat ~Koi Usse Puche,
- Pal-Pal Ko Jo Umare-Jaavidani Samjha.
- =================================
- Bhukh Ke Jo Kareeb Hota Hai,
- Darasal Wo Gareeb Hota Hai,
- Kaam Dhokha R~aha Yahan Jiska,
- Naam Uska Naseeb Hota Hai.
- =================================
- Mayus Dil Mein Bhi Sulagta Hua Armaan Hota Hai,
- Jise Ghar Nahi Milta U~se Aasman Milta Hai,
- Kon Kehta Hai Ki Deewano Ko Sukun Nahi Milta,
- Apni Tanha Raatomein Unhe Bahut Araam Milta Hai.
- =================================
- Memare-Sanam-Khan-Aye-Milli Hota,
- Badiya-Si ~Kisi Post Pe Dili Hota,
- Mansube Bnane Mein Gujar Jati Umar,
- Aye Kash Ki Mein Bhi Shek-Chili Hota.
- =================================
- Har Najar Sadhu Nahi Hai, Har Bashar Gandhi Nahi Hai,
- Wastra Har Resham Nahi Hai, Har Bashar Gandhi Nahi Hai,
- Neeti Ki Lakeer~ Kasauti Mat Kaso Insan Ko,
- Aadmi Hai Aadmi Sona Nahi Chandi Nahi Hai
- =================================
- Insaan Ke Liye Ye Umare-Faani Hai Maut,
- Insaan Ke Liye Ye Jindagani Hai Maut,
- Darte Hain Jawani Mein~ Abas Marne Se,
- Sau Maut Ki Ek Ye Jawani Hai Maut.
- =================================
- Isse To Dil-Oh-Dim~ag Honge Ab Tar,
- Hath Aayega Kya Bahut Kitabe Padh Kar,
- Aankhe Roshan Ho Aur Dil Nurani,
- Daal Ek Najar Sahif-Aye-Fitrat Par.
- =================================
- Bulbul Ko Chaman Ki Jindagi Raas Aayi,
- Foolon Ko Gareeb Ulwatani Raas Aayi,
- Faani Ko Na~ Jindagi Me Raas Aaya Kuch,
- Aayi Bhi To Ek Maut Hi Raas Aayi.
- =================================
- Tere Har Dard Ko Iss Dil~ Mein Basa Liya Maine,
- Gamo Ki Bhid Mein Bhi Khul Ke Muskura Liya Maine,
- Iss Tanha Jindagi Mein Kabhi Aaya N Koi,
- Lekin Apni Tanhai Mein Khud Ko Paa Liya Maine.
- =================================
- Usne Milan Ki Aarju Paiham,
- Karwatein Le ~Rahi Hain Seene Me,
- Aamad-E-Ied Ki Haseen Umeed,
- Jaise Ramjaan Ke Mahine Me.
- =================================
- Aaj Sama Hai Gugunane Ka, Gam Ke Geet Sunate Jao,
- Hosh Baaki N Rahe Apna, Aise Pilate Jao,
- Gir Ke Uthn~a Uthke Girana, Jindagi Apni Rahi,
- Apne Hontho Se Sanam, Kuch Geeto To Gaate Jao.
- =================================
- Anjame-Tarab Ka Jikar Karte Kyu Ho,
- Paimane-Aye-Dil Ko Gam Se Bharte Kyu Ho,
- Ta Chand Ye Nuku~she-Mahale-Hasti,
- Ek Roj Maroge Roj Marte Kyu Ho.
- =================================
- Uinka Na Kabhi ~Koi Nishana Chuka,
- Shaitaan Hai Un Ke Se Nanga-Bhukha,
- In Murda Riyasaton Ke Wali Hai, Wo Fal,
- Jisne Rakha Jaban Par, Usne Thuka.
- =================================
- Bina Saaj Har Raag Adhoora Sa Lagta Hai,
- Mehandi Bina Suhaag Adhoora Sa Na Aaye,
- Milne Par Yadi Aankhon Mein Aansu Na Aaye,
- Mujhko Wo ~Anurag Adhura Sa Lagta Hai.
- =================================
- Bigdi Hui Akal Se Himakat Behtar,
- Dokhe Ki Mohabbat Se Adawat Behtar,
- Shatain-Oh-Abu~jheal Ki Ajmat Ki Kasam,
- So Baar Gulami Se Bagawat Behtar.
- =================================
- Darna Ho To Ek Badi Se Darna,
- Karna Ho To Kuch Kaam Acche Karna,
- Jeena Ho To Kuch Bhalayi Karke Jeena,
- Marna Ho To Nek Kaam Karke Marna.
- =================================
- Jab Bajme-Jaha Se Saahibe-Hal Gaye,
- Sunte Hue Dholak Ka~ Sam-Oh-Tal Gaye,
- Tha Wajde-Ajal Ke Liye Nagma Darker,
- Humrah Janaze Ke Bhi Kawaal Gaye.
- =================================
- Nitt Naye Jakham ~Dil Ke Seeta Hu,
- Jeena Muskil Hai Fir Bhi Jeeta Hu,
- Kha Na Jaaye Mujhe Ghame-Hasti,
- Aitihaayan Sharaab Peeta Hu.
- =================================
- Faisla Kuch Bhi Nahi, Phir Bhi Bada Hai,
- Kyunki Hum~ Tum Paas Par Parda Pada Hai,
- Chahta To Hu Sabhi Bandhan Mitaane,
- Kintu Mujh Par Saas Ka Pehra Kada Hai.
- =================================
- Jehad Se Int~anaab Jor Pe Hai,
- Jikare-Jaamo-Sharaab Jor Par Hai,
- Kya Na Hoga Majaaj Ab Yun Bhi,
- Abhi Mera Shabbab Jor Par Hai.
- =================================
- Ulfat Ki Kasak Tej Hui Jaati Hai,
- Kaante Ki Khatak Tej Hui Jati Hai,
- Aye Baade-B~ahara Jara Ahista Chal,
- A Sholey Ki Lapak Tej Hui Jaati Hai.
- =================================
- Khiramane – Dil Jala Raha Hu Main,
- Nafase–Hasti M~ita Raha Hu Main,
- Tu Na Maghmoom Ho Magar Ai Dost,
- Teri Hi Simat Aa Raha Hu Main.
- =================================
- Dil Ka Rutba Kisi Ko Maalum Nahi,
- Gham Ka Darja ~Kisi Ko Maalum Nahi,
- Meyaar Juda-Juda Hai Sabka "Farhat",
- Ulfat Hai Kya, Kisi Ko Maalum Nahi.
- =================================
- Main Sirf Hu Akela Baaki Sab Paraaye,
- Main Dekhta Hu Apni Barbaadiyo Ke Saaye,
- Main Doobne Laga To Aakar Kahi Se Tum Bhi,
- Khud Mujse Khelne ~Ko Mujko Ubaar Laaye.
- =================================
- Aapke Haq Mein Ye Gunaah Sahi,
- Hum Peeye T~o Sawaab Banti Hai,
- Sau Ghamo Ko Nichodne Ke Baad,
- Ek Katra Sharaab Banti Hai.
- =================================
- Hai Mujko Munasibat Kuch Aisi Meh Se,
- Lau Dilko Lagi~ Ho Aashiqi Ki Jaise,
- Tauba To Hazar Baar Kar Loon "Farhat",
- Jo Khoon Laga Hai Mooh Ko, Choote Kaise.
- =================================
- Ho Daure-Jawa~ni Mein Majedar Gunah,
- Lajjat Mile, N Jaye Bekar Gunah,
- Ho Afeh Par Iss Kadar Bharosa Mujhko,
- Tauba Ho Ek Baar Do Baar Gunaah.
- =================================
- Jab Ki Hum Beet-Te Din Bhulaane Lage,
- Aap Fir Se Hume Yaad Aane Lage,
- Jakham Bhi Fool Ban Kar Mehakne Lage,
- Aansuo Ke Adhar Gungunane Lage.
- =================================
- Fajaa-E-Dil Pe Udaasi Bikharti Jaati Hai,
- Fasoodgi Hai, Ki J~aan Tak Utarti Jaati Hai,
- Farebe-Jist Se Kudrat Ka Mudaa Maalum,
- Ye Hosh Hai Ki Jawaani Gujarti Jaani Hai.
- =================================
-
- Maana Ke Naya Daur Hai Afjal Behtar,
- Ilmo, Huna~r–O-Fan Ke Hain Charche Ghar Ghar,
- Taarik Magar Jehano-Jameere-Insan,
- Iss Asar–E-Tarakki Mein Mile Hain Aksar.
- =================================
- Kisi Ke Pyaar Ki Madira Jawaani Jindagi Ki Hai,
- Hamesha Premio Ko Ritu Suhaani Jindagi Ki Hai,
- Pranay Ke Path Par Prem~i Pralay-Prayant Chalta Hai,
- Kisi Ke Pyaar Me Marna Nishaani Jindagi Ki Hai.
- =================================
- Wo Kooch-E-Jaana Ke Maje Dekh Na Paaye,
- Hum Pehle Samjhaate The Ki Jannat Me Bhi Kuch Hain,
- Rindon Me To Hai Lutfe–Mai-Au Saaki-O-Mutareeb,
- Waaaj ! Ye Bataa Tu, Teri Suhabat Me Bhi Kuch Hai.
- =================================
- ~
- Jaagta Hu Ki Ga~ir Hain Sapne,
- Aur Khushiyaan Sabhi Adhoori Hain,
- Kintu Jiwan Gujaarne Ke Liye,
- Kuch Galatfehmiyaan Jaruri Hain.
- =================================
- Hont Kaanp Kaanp Gaye, Par Shabd Nahi Kadh Paaye,
- Mangne Ko Hue Par, Hath Nahi Badh Paaye,
- Dil Dhadakta Raha Bhauhon Pe, Shikan Tak Na Padi,
- Chah Ke Chitra The~, Putli Pe Nahi Chadh Paaye.
- =================================
- Shama Ke Pyar Mein Jalte Hue Parwane Hai,
- Aaj Hum Z~amane Ki Rawayat Se Anjane Hai,
- Zamane Walo Ek Hum Hi Kasoorwar Nahi,
- Unki Ada Ke To Khuda Bhi Deewane Hai.
- =================================
- Hai Gark – Fana Mauj Se Ubharne Wali,
- Palti Hai Kahi Wafa N Karne Wali,
- Aye Ahele-Ja~mana Kya Khbata Th Humko,
- Yeh Umar Hai Dokhe Mein Gujarne Wali.
- =================================
- Kya Kariye Baya Musibat Apni Pyare,
- Din Umar Tere Gam Mein Gujre Sare,
- Ranj-Oh-Jauf-Aye-O~h-Ajiyat–Oh Mehnat,
- Panpa Hi Nahi Mein To Inn Dukho Ke Maare.
- =================================
- Dil Ko Mehwe–Ghame-Dildaar Kiye Bethe Hain,
- Rind Bante Hain Magar Jehar Piye Bethe Hain,
- Chahte Hain Ki Har Ik~ Jarra Shigoofa Ban Jaaye,
- Aur Khud Dil Mein Ik Khaar Liye Bethe Hain.
- =================================
- Har Mauje~-Nafas Hai, Ik Tugiyani,
- Dukh-Darad Ka Ik Sail Hai, Umare–Faani,
- Toofane-Tamanna Mein Tamannaye-Sukoon,
- Chalni Mein Huzoor Bhar Rahe Hain Paani.
- =================================
- Dard Apna Kuch Aur Hai, Dawa Kuch Aur,
- Toote Huye Dil Ka Aasra Kuch Aur,
- Aise Waise Khuda To Bahutere Hain,
- Me Banda Hu Jiska Wo Khudaa Hai Kuch Aur.
- =================================
- Tha Bahut Bechain Main, Aab Aur Hi Lunga,
- Par Tumhe Dukh D~ard Dene Ko Na Bolunga,
- Drishti Se Pehle, Tumhe Aansu Nihaarenge,
- Tum Khadi Sammukh, Magar Palkein Na Kholunga.
- =================================
- Kisliye Kadhe Kaleje Se Balaa Se Kyun Na Ghirein Aansu,
- Kabhi Dukh Jal-Leharon Me Aa, Na To Ubharein Na Tirein Aansu,
- Kisi Ki Aankhon Me Aak~ar Firaaye Kyun Na Firein Aansu,
- Desh Ki Giri Dasha Dekhe, Giraaye Jo Na Girein Aansu.
- =================================
- Kisi Ki Bhi Jindagi Ka Safar,
- Pata Nahi Kab Paayega Manjil,
- Dunia Ke Jha~mele Mein Ulajhkar,
- Jindagi Ki Kishti Dhundti Sahil.
- =================================
- Dil Ne Jab Bhi Di Koi Sada Tumko,
- Tumne Wo Awaaz Has Ke Taal Di,
- Ek To Tera Husn Hi Bwale Jaan Tha,
- Uss Par Phaila H Teri Julfo Ka Jaal Bhi.
- =================================
- Hairaan Hu Kya Kiya Khudaaya Maine,
- Befaaydaumar K~o Gawaya Maine,
- Peeri Bhi Karebe-Khaatma Aa Pahuchi,
- Manjil Ka Nishaan Abhi Na Paaya Maine.
- =================================
- Hum-Sohbate-Bekhirad Pareshan Raha,
- Nafham Ko Samjha Ke Pasheman Raha,
- Taalem S~e Jaahil Ki Jhalat N Gayi,
- Naadan Ka Ulta Bhi To Nadaan Raha.
- =================================
- Kya Ka~hiye Jameen Kitni Hai Jar Kitna Hai,
- Sab Kuch Hai Sahi Janjaal Magar Kitna Hai,
- Daulat Ko Hasaate Ho ? Ye To Dekho,
- Daulat Ke Sath Darde Sarkitna Hai.
- =================================
- Ek Pal Mein Uth Rahi Lehrein Kayi,
- Dusre Pal Dikh Rahi Khandit Hui,
- Ek Aisi Bhi Leh~ar Inme Uthi,
- Ret Par Tasveer Ban Kar Reh Gayi.
- =================================
- Dukh Ji Ko Pasand Ho Gaya Hai "Ghalib",
- Dil Ruk Ke Band Ho G~aya Hai "Ghalib",
- Wallah Ki Shab Ko Neend Aati Hi Nahi,
- Sona Saugandh Ho Gaya Hai "Ghaalib".
- =================================
- Iss Raat Ko Gar Rok Sako To Roko,
- Halaat Ko Gar Rok Sako To Roko,
- Lamhaat Gurejaa Hai Hawa Ki Surat,
- Lamhaat Ko Gar ~Rok Sako To Roko.
- =================================
- Ishaarat Ko Gunaahe–Jindagi Samjha Hai,
- Takseen-E-Tabiyat Ko Badi Samjha Hai,
- Ho Jaay~ega Choti-Choti Baaton Pe Khafa,
- Kya Tune Khuda Ko Aadmi Samjha Hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें