सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
gila shikwa hindi shayari dard Ishq2017
- Kehte The Hum Dono Ki Reh Nahi S~akte Tumhare Bina,
- Bas Hum Dono Hi Reh Gaye Magar Wo Vaada Na Raha!
- ...................................................................
- Nafraton Ke Bazaar Mein Jeene Ka Alag Hi Maza Hai,
- Log Rulana Nahi Chhodte Aur Hum Mus~kurana Nahi Chhodte!
- ..................................................................
- Koi Nahi Hota Hamesha Ke Liye Kisi Ka,
- Likha Hai Sath Thoda Tho~da Sabhi Ka,
- Mat Banao Kisi Ko Apne Jeene Ki Wajah,
- Kyonki Jeena Hai Akele Yehi Usool Hai Zindgi Ka!
- ..................................................................
- Ya Rabb Mujhe Mehfooz Rakh Us But Ke Sitam Se,
- Main Us Ki Inayat Ka Talabgaar Nahi Hun!
- DARD
- Roz Aata Hai Mere Dil Ko Tasalli Dene,
- Khyal-e-Yaar Ko Mera Khyal Kitna Hai!
- ..................................................................
- Sukun Milta Hai Jab Unse Baat Hoti Hai,
- Hazar Raaton Mein Wo Ek Raat Hoti Hai,
- Nigah Uthakar Jab Dekhte Hain Wo Meri Taraf,
- Mere Liye Wohi Pal Poori Kaaynat Hoti Hai!
- ..................................................................
- Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aaya Hoga,
- Khud Ko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga,
- Sun Ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka,
- Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aaya Hoga!
- ..................................................................
- Jhooth Kehte Hain Log Ki ~Mohabbat Sab Kuch Cheen Leti Hai,
- Maine To Mohabbat Karke Gham Ka Khazana Pa Liya!
- ..................................................................
- Ek Muddat Mein Parakh~ne Ka Shuur Aata Hai,
- Bewafa Keh Dun Unhen Pehli Nazar Mein Kaise!
- ..................................................................
-
- Ulfat Ka Yeh Da~stoor Hota Hai,
- Jise Chaho Wahi Humse Door Hota Hai,
- Dil Toot Kar Bikharta Hai Is Kadar Jaise,
- Kaanch Ka Khilona Girke Choor Choor Hota Hai!
- ..................................................................
- Hamare Halaat Se Na Lagao Andaza Hamare Wajud Ka,
- Hum Woh Khamosh Samandar Hain Jiske Pehlu Mein Toofan Palte Hain!
- ..................................................................
- Pyaar Karke Jataye Ye Zaroori To Nahi,
- Yaad Karke Koi Bataye Ye Zaroori To Nahi,
- Rone Wala To Dil Mein Hi Ro Leta Hai,
- Aankh Mein Aansu Aaye Ye Zaroori To Nahi!
- ..................................................................
- Dekha Tujko Jab Se Hai Ye Bat Is Dil Mein Tab Se,
- Mil Jaye Mujko Pyaar Jo Tera Fir Na Kuch Mangana Hai Rab Se!
- ..................................................................
- Jab Suraj Dhalta Hai To Aasman Ka Rang Badal Jata Hai,
- Jab Kismat Badalti Hai To ~Logo Ka Dhang Badal Jata Hai,
- Din Dhalte-Dhalte Suraj Bhi Dhal Jata Hai,
- Andhera Hote-Hote Saya Bhi Saath Chod Jata Hai!
- ..................................................................
- Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye,
- Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar!
- ..................................................................
- Mehfil Main Hansna M~era Mizaz Ban Gaya,
- Tanhai Main Rona Ek Raaz Ban Gaya,
- Dil Ke Dard Ko Chehre Se Zahir Na Hone Diya,
- Yahi Mere Jeene Ka Andaaz Ban Gaya!
- ..................................................................
- Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
- Zaroori Nahi Ki Wo Bewafa Hota Hai,
- De Kar Wo Aapki Aankhon Mein Aansu,
- Akele Mein Aapse Bhi Zyada Rota Hai!
- ..................................................................
- Aata Hai Yahan Sab Ko Bulandi Se Girana,
- Wo Log Kahan Hain Ki Jo Girton Ko Uthaye!
- ..................................................................
- Jalve Machal Pade To Sahar Ka Gumaan Hua,
- Zulfein Bikhar Gayi To Siyaah Raat Ho Gayi!
- ..................................................................
- Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai,
- Aur Tujh Se Bichhad Jaane Ka Darr Bhi Nahi Jaata!
- ..................................................................
- Hum To Jal Gaye Uski Mohabbat Mein Moam Ki Tarah,
- Agar Phir Bhi Koi Humein Bewaf~a Kahe To Uski Wafa Ko Salam!
- ..................................................................
- Tumhari Har Ek Baat Bewafai Ki Kahani Hai,
- Lekin Teri Har Saans M~eri Zindagi Ki Nishani Hai,
- Tum Aaj Tak Nahi Samajh Sake Mere Pyaar Ko,
- Isliye Mere Aansu Bhi Tere Liye Paani Hain!
- ..................................................................
- Dil Tootne Par Bhi Jo Shakhs Aap Se Shikayat Na Kar Sake,
- Us Shakhs Se Zya~da Mohabbat Aapko Aur Koi Kar Nahi Sakta!
- ..................................................................
- Khwaish-e-Zindagi Bas Itni Si Hai Ab Meri,
- Ki Saath Tera Ho Aur Zindagi Kabhi Khatam Na Ho!
- ..................................................................
- Husn Walon Ko Kya Zaroorat Hai Sanwarne Ki,
- Wo To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Rakhte Hain!
- ..................................................................
- Lage Hain Ilzaam Dil Pe Jo Mujh Ko Rulate Hain,
- Kisi Ki Berukhi Aur Kisi Aur Ko Satate Hain;
- Dil Tod Ke Mera Wo Badi Asani Se Keh Gaye Alvida,
- Lekin Halaat Mujhe Bewafa Thehraate Hain!
- ..................................................................
- Chalo Hum Galat The Ye Maan Lete Han Ai Zindagi,
- Par Ek Baat Bata Kya Woh Shakhs Sahi Tha Jo Badal Geya Itna Kareeb Aane Ke Baad!
- ..................................................................
- Nahi Maangta Ai Khudaa Ki Zindagi Sau Saal Kee De,
- De Bhale Chand Lamhon Kee Lekin Kamaal Kee De!
- ..................................................................
- Insan Na To Kuch Hans Kar Seekhta Hai,
- Na Kuch Ro Kar Seekhta Hai,
- Jab Bhi Kuch Alag Seekhta Hai To,
- Ya To Kisi Ka Ho Kar Seekhta Hai,
- Ya Kisi Ko Kho Kar Seekhta Haui!
- ..................................................................
- Diya Khamosh Hai Lekin Kisi Ka Dil To Jalta Hai,
- Chale Aao Jahan Tak Roshni Ma~loom Hoti Hai!
- ..................................................................
- Bach Jaye Jawani Mein Jo Duniya Kee Hawa Se;
- Hota Hai Farishta Koi Insaan ~Nahi Hota!
- ..................................................................
- Badi Mushkil Se Bane Hain Toot Jane Ke Baad;
- Hum Aaj Bhi Ro De~te Hain Muskurane Ke Baad;
- Aapse Mohabbat Thi Humein Be-inteha;
- Magar Yeh Mehsoos Hua Aap Se Bichhad Jane Ke Baad!
- ..................................................................
- Rakhe Hain Dil Mein Hum Ne Bade Ehtram Se;
- Jo Gham Diye Hain Tumne Mohabbat Ke Naam Se!
- ..................................................................
- Ho Judai Ka Sabab Kuch Bhi Magar;
- Hum Use Apni Khata Kehte Hain;
- Woh Ton Saanson Mein Dhali Hai Mere;
- Jaane Kyon Log Use Mujhse Juda Kehte Hain!
- ..................................................................
- Waqt Jab Raah Kee Deewar Hua;
- Koi Sailaab Numudaar Hua;
- Us Ne Pedon Se Hata Li Shakhein;
- Baag Mein Se Tu Kayi Baar Hua;
- Maine Jo Dil Mein Chupana Chaha;
- Mere Chehre Se Numudaar Hua;
- Sahili-Shaam Ka Faila Manzar;
- Kuch Lakiron Mein ~Giraftar Hua;
- Raat Ek Shakhs Bahut Yaad Aaya;
- Jis Ghadi Chaand Numudaar Hua!
- ..................................................................
- Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Theharta Nahi;
- Na Mud Ke D~ekha Kabhi Sahilon Ko Dariya Ne!
- ..................................................................
- Kisi Kee Yaad Dil Mein Aaj Bhi Hai;
- Bhool Gaye Wo Magar Pyaar Aaj Bhi Hai;
- Hum Khush Rehne~ Ka Daawa To Karte Hain Magar;
- Unki Yaad Mein Behte Aansu Aaj Bhi Hain!
- ..................................................................
- Mat Pucho Ye Ishq Kaisa Hota Hai;
- Bas Jo Rulata Hai Usi Ko Gale Laga Kar Rone Ka Jee Chahta Hai!
- ..................................................................
- Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya;
- Gairon Ne Bewafa Naam De Diya;
- Jo Kehte The Humein Bhool Na Jana;
- Unhi Ne Bhoolne Ka Paigam De Diya!
- ..................................................................
- Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
- Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
- Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
- Safar Mein Roz Hi Manjhd~har Ho Aisa Nahi Hota!
- ..................................................................
- Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo;
- Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
- ..................................................................
- Kaash Kite Tu Mere N~aal Hunda;
- Teriyan Akhan Vich Koi Sawaal Hunda;
- Teriyan Baahan Vich Reh Ke Main Eh Dasdi;
- Tere Jaan Te Mera Ki Hai Haal Hunda!
- ..................................................................
- BhulaKar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
- To BhulaKar Tumhein Sa~mbhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
- Meri Fitrat Mein Nahi Hai Ye Aadat Varna;
- Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
- ..................................................................
- Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
- Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;
- Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
- Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;
- Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
- Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;
- Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
- Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;
- Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
- Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;
- Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
- Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
- ..................................................................
- Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
- Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
- Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
- Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!
- ..................................................................
- Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
- Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
- ..................................................................
- Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha;
- Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha;
- Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
- Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
- ..................................................................
- Koi Mil Jaye Mujhe Tum Jaisa Ye Na-Mumkin Sahi;
- Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Ye Bhi Nahi!
- ..................................................................
- Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai;
- Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai;
- Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun;
- Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai!
- ..................................................................
- Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
- Behte Hain Ashk To Inhe Behne Do;
- Bewafai Shamil Na Karo Dosti Kee Raaho Mein;
- Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do!
- ..................................................................
- Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete;
- Mujhme Kya-Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete;
- Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyon Kee;
- Nafrat Kee Hi Mujhe Koi Wajah To Bata Dete!
- ..................................................................
- Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai;
- Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai;
- Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se;
- Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai;
- Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se;
- Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai;
- Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi;
- Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai;
- Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta;
- Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai!
- ..................................................................
- Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge;
- Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!
- ..................................................................
- Yun Hi To Nahi Dil Mera Tujhe Talashta Firta;
- Kar Yakeen Manzil Ka Tu Hi Hai Kinara Mera;
- Yun Hi To Nahi Aayi Sada Teri Hawaon Mein Behkar;
- Haule Se Tumne Hi Hoga Naam To Pukara Mera!
- ..................................................................
- Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya;
- Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Geya;
- Jo Pyaar Ka Chirag Jalaya Tha Maine;
- Usi Chiraag Se Jalkar Mera Ghar Khak Ho Geya!
- ..................................................................
- Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
- Magar Tumhein Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Nahi;
- Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu;
- Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
- ..................................................................
- Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah;
- Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah;
- Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
- Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah;
- Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga;
- Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah;
- Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi'
- Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah!
- ..................................................................
- Kal Chaudhvin Kee Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera;
- Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera!
- ..................................................................
- Tumhari Pasand Hamari Chahat Ban Jaye;
- Tumhari Muskurahat Dil Kee Rahat Ban Jaye;
- Khudaa Khushiyon Se Itna Khush Kar De Aapko;
- Ki Aapko Khush Dekhna Hamari Aadat Ban Jaye!
- ..................................................................
- Aadatan Aa Gaya Hun Maqtal Mein;
- Mere Kaandhe Pe Ab Toh Sir Bhi Nahi!
- ..................................................................
- ..................................................................
- Jihnu Lai Gyi Kismat Di Hwaa Udaa Ke;
- Oh Varka Si Meri Dil Di Ki~taab Da;
- Kiton Hanjhuyaan Naal Mitteya Hoya;
- Te Kiton Hanjhuyaan Naal Likheya Hoya!
- ..................................................................
- Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah;
- Uska Chehra Nazar Aata ~Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah;
- Baad Muddat Usko Dekha Toh Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
- Pyasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah;
- Roz Kehta Hai Seene P~e Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga;
- Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah;
- Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi';
- Aur Main Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha Use Kisi Pagal Ki Tarah!
- ..................................................................
- Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi Toh Hai;
- Jis Jagah Ishq Ne Buniyad Makaan Ki Rakhi Thi!
- ..................................................................
- Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
- Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar~ De!
- ..................................................................
- Ki Humse Wafaa Toh Gair Usko Jafa Kehte Hain;
- Hoti Aayi Hai, Ki Acchi Ko Buri Kehte Hain!
- ..................................................................
- Os Ton Baad Main Nahi Ra~khhi Kise Ton Mohabbat Di Aaas;
- Bas Ik Tajurba Hi Kaafi Si Jo Sabhh Kujh Sikha Gya!
- ..................................................................
- Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Rahaa Barson;
- Main Apne Aap Se Bhi Mil N~ahin Saka Barson;
- Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
- Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;
- Kaha Thaa Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Eik Din;
- So Main Jahaan Thaa Wahin Par Kharha Raha Barson;
- Tere Baghair Meri Umar ~Raayegaan Guzri;
- Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;
- Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aaas Mein Mohsin;
- Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Gyaa Barson!
- ..................................................................
- Ab Kahan Zarurat Hai, Haathon Mein Patthar Uthaane Ki 'Wasi';
- Todne Wale Toh Dil Zubaan Se Hi Tod Diya Karte Hain!
- ..................................................................
- Log Toh Majboor Hain Mar~enge Patthar;
- Kyun Na Hum Sheeshon Se Keh Dein Toota Na Karein!
- ..................................................................
- Tohfe Mai Mat ~Gulaab Lekar Aana;
- Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana;
- Bahot Pyaasa Hoon Barso'n Se Main;
- Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana!
- SAAKI AUR SHARAAB 110
- Rabb Janda Ohda Mera Ki Rishta;
- Jisnu Har Pal Milan ~Nu Jee Karda;
- Saari Duniya Toh Lagda Bhola Jeha Chehra;
- Jihnu Tak Tak Na Dil Bharda!
- ..................................................................
- Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
- Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;
- Hum Abhi Tak Hain Giraf~tar-e-Muhabbat Yaroo;
- Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;
- Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
- Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;
- Umr Bhar Jin Ke Vafaon Pe Bharosa Kije;
- Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
- ..................................................................
- Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon;
- Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon!
- ..................................................................
- Jagmagaate Shehar Ki Raaniyon Mein Kya Na Tha;
- Dhoondne Nikla Jisko Bus Wo~hi Chehra Na Thaa;
- Hum Wahi Tum Bhi Wahi, Mausam Wahi Manzar Wahi;
- Faansle Badh Jaaege Itne Kabhi Socha Na Tha!
- Translation:
- ..................................................................
- Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
- Zindagi Ka Har Armaan ~Hai Teri Dosti;
- Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
- Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!
- ..................................................................
- Ishq Se Tabiyat Ne ~Zeest Ka Mazaa Paya;
- Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya!
- ..................................................................
- Eithay Kinnu Maan Wafawan Da;
- Te Kinnu Naaz Adda~wan Da;
- Assi Peele Pattay Darakhtaan Day;
- Sanu Rehnda Khauf Hawawaan Da!
- ..................................................................
- Jahan Weeraana Hai Pahle Kabhi Aabad Yaan Ghar The;
- Shaghaal Ab Hai Jahan Baste, Kabhi Bashar Yaan The;
- Jahan Chatial Hai Maida~n Aur Sarasar Ek Khaaristan;
- Kabhi Yaan Qasar-o-Oaiwan The, Chaman The Aur Shajar Yaan The;
- Jahan Phirte Bagoole Hain, Unraate Khak Sahra Mein;
- Kabhi Urti Thi Daulat, Raqas Karte Seembar Yaan The;
- Jahan Hain Sang Reze, The Yahaan Yaaqut Ke Taude;
- Jahan Kankar Pare Hain Ab, Kabhi Rulte Gohar Yaan The;
- Jahan Sunsaan Ab Jungle Hai Aur Hai Sher-e-Khamoshan;
- Kabhi Kya Kya The Hangaame Yahan, Aur Shor-o-Shar Yaan The;
- Jahan Ab Khak Par Hain Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra;
- Kabhi Mahw-e-Tama~sha Deeda-e-Ahl-Enazar Yaan The;
- Zafar Ahwaal Aalam Ka Kabhi Kuchh Hai, Kabhi Kuchh Hai;
- Ke Kya Kya Rang Ab Hain Aur Kya Kya Peshtar Yaan The!
- ..................................................................
- ..................................................................
- Aukhe Vehle Ik Ik~ Karke Sare Tur Gae;
- Pallah Tu V Jeh Chudha Leya Taan Koi Gal Nai;
- Main Reh Geya Waa Jaag Lai Majak Ban Ke;
- Thoda Tu V Je Udda Lea Ta Koi Gal Nai
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें