faiz ahmad faiz shayari 2017

Ishq Minat Kaash E~ Qarar Nahe
Husan Majboor E Intizaar Nahe,

Teri Ranjish Ki Intiha Maloom
Hasrtoo Ka Meri Shumaar Nahe,

Zer E Lab Hy Abi Tabasum E Dost
Muntashir Jalwa E Bahaar Nahe,

Apni Takmeel Kar ~Rha Ho Mein
Warna Tujh Sy To Mujh Ko Pyaar Nahe,

Faiz Zinda Rahen Wo Hain To Sahe
Kiya Hua Gar Wafa Sha’aar Nahe….!!!!

FAIZ AHMAD FAIZ GHAZALS AVAILABLE IN HINDI,URDU

Chashm-E-Mayaguun Zaraa Idhar Kar De
Dast-E-Kudarat Ko Be-Asar Kar De,

Tez Hai Aaj Dard~-E-Dil Saaqii
Talkhi-E-May Ko Tez-Tar Kar De,

Josh-E-Vahashat Hai Tishnaakaam Abhii
Chaak-E-Daaman Ko Taazagaar Kar De,

Merii Qismat Se Khelane Vaale
Mujh Ko Qismat Se Bekhabar Kar De,

Lut Rahii Hai Merii Mataa-E-Niyaaz
Kaash! Vo Is Taraf Nazar Kar De,

‘Faiz’ Takmiil-E-Aarazuu Maaluum
Ho Sake To Yuu.N Hii Basar Kar De…!!!!!

THE BEST QUOTES FROM FAIZ AHMAD FAIZ AND POETRY, SHAYARI

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai
Talaash main hai sehar baar baar guzri hai,

Junoon main jitni bhi guzri bekaar guzri hai
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai,

Woh baat saarey fasaane mein jis ka zikr na tha
Woh baat un ko bohat naagvaar guzri hai,

Na gul khile hain, na un se mile, na mai pee hai
Ajeeb rang main ab ke bahaar guzri hai,

Chaman pe ghaarat-e-gulcheen se jaane kya guzri
Qaffass se aaj sabaa beqaraar guzri hai..!!!

Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain
Jaise bichrre huye kaabe main sanam aate hain,

Ek ik kar ke huye jaate hain taare raushan
Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain,

Raqss-e-mai taiz karo saaz ki lai taiz karo
Suu-e-mai-khaana safiraaan-e-haram aate hain,

Kuch hamin ko nahin ehsaan uthaane kaa dimaagh
Woh to jab aate hain maayel-ba-karam aate hain,

Aur kuch dair na guzre shab-e-furqat se kaho
Dil bhi kamm dukhta hai woh yaad bhi kamm aate hain..!!!

Woh aa rahe hain woh aate hain aa rahe hon ge,
Shab-e-firaaq ye keh kar guzaar dii ham ne..

टिप्पणियाँ