सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
Munir Niazi Shayari New Collection 2017
- Todana tute huye dil ka bura hota hai
- jis ka koi nahi us ka to khuda hota hai
- mang kar tum se khushi lun mujhe manzur nahi
- kis ka mangi hui daulat sebhala hota hai
- log nahak kisi ma~jabur ko kahate hain bura
- aadmi ache hain par waqt bura hota hai
- kyon “munir” apni tabahi ka ye kaisa shikwa
- jitana taqadir mein likha hai ada hota hai !!!
- munir niazi shayari
- MUNIR NIAZI SHAYARI, HINDI SHAYARI, LOVE SHAYARI, FUNNY SHAYARI, URDU SHAYARI
- Sadkon pe beshumaar gul-e-khoon pade hue
- Peddon ki daaliyon se tamaashe jhade hue
- Kothon ki mamtiyon pe haseen buut khade hue
- Sunsaan hain makaan~ kahin dar khula nahin
- Kamre saje hue hain magar raasta nahin
- Veeraan hai poora shehar koi dekhta nahin
- Aawaaz de raha hun koi bolta nahin …!!!
- Hawa ke aavaz
- khushk ~ke sarsarahat se bhar gai
- rosh-rosh par fatada phoolon ne
- lakhon nauhe jaga diye hain
- sileti shuayen
- buland pedon par gul machate
- siyah kauon ke qafilon se ati hui hain
- har ek janib ~khizan ke qasid lapak rahe hain
- har ek janib khizan ke aavaz gunjati hai
- har ek basti kashakash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
- musafiron ko pukarati hai ki – aao
- mujh ko khizan ke bemahar
- talkh ehasas se bachao !!!!
- MUNIR NIAZI POETRY SMS,MUNEER NIAZI PUNJABI POETRY COOL NEW COLLECTION
- Keh bhi de ab woh sab baaten,
- Jo dil mein posheeda hain.
- Saare roop dikha de mujh ko,
- Jo ab t~ak nadeeda hain.
- Ek hi raat ke taare hain,
- Hum donon uss ko jaante hain.
- Doori aur majboori kya hai,
- Uss ko bhi pahchaante hain.
- Kyon phir donon mil nahin sakte ?
- Kyon ye ban~han toota hai ?
- Ya koi khot hai tere dil mein ?
- Ya mera ghum jhootha hai …!!!
- Dar ki kisi se chup jata hai jaise sanp khazane mein
- zar ki zor se zinda hain sab khak ki is virane mein
- jaise rasm ada karte hon shaharon ki aabadi mein
- subah ko ghar se dur nikal kar sham ko vapis aane mein
- nile rang mein dub~i aankhen khuli padi thin sabze par
- aks pada tha aasman ka shayad is paimane mein
- dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq mein
- kitni ziya be-sud gai hai shish~e ki lafz jalne mein
- main to ‘munir’ aaine mein khud ko tak kar hairan hua
- ye chehara kuch aur tarah tha pahale kisi zamane mein
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें