Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se
chehre tamaam lagne ~lage haiN ajeeb se,
is rengati hayaat kaa kab tak uThaayeiN baar
beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb se,
har gaam par hai~ majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai kuu-e-habeeb se,
is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb se,
ai rooh-e-asar jaag, kahaaN so rahi hai tu
aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se..!!!!!
Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kissi baat pe rona aaya..!!!
SAHIR LUDHIANVI ~SHAYARI SMS IN URDU FOR YOUR FRIENDS
Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen
Khudaa mila ho jinhe ~woh khudaa ki baat karen,
Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,
Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,
Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,
Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..!!!!
ye Khwaab hii to apni~ jawaanii ke paas the
ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the
ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat….!!!!
SAHIR LUDHIANVI POETRY IN URDU, SAHIR LUDHIANVI POETRY IN HINDI, SAHIR LUDHIANVI SHAYARI IN URDU
Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen
Wohi aansuu wohi aahen wohi gham hai jidhar jaayen,
Koi to aisa ghar hota~ jahan se pyaar mil jaata
Wohi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen,
Arey o aasmaan waale bataa is mei buraa kya hai
Khushi ke chaar jhonke gr idhar se bhi guzar jaayen..!!!!
Aao k koi Khwaab ~buneiN, kal ke vaaste
varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki,
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil
taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakeiN …

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें