Habib Jalib Shayari 2017

Haryali Ko Aankhen~ Tarsen Bagiya Lahoo Luhan
Pyar Ke Geet Sunaoon Kis Ko Shehar Hue Weeran
Bagiya Lahoo Luhan,

Dasti Hain Suraj Ki Kirnen Chand Jalaye Jaan
Pag Pag Maut Ke Gehre Saye Jeewan Maut Saman
Charon Ore Hawa~ Phirti Hai Le Kar Teer Kaman
Bagiya Lahoo Luhan,

Chhalni Hain Kaliyon Ke Seeney Khoon Mein Lat Paat
Aur Nahjaney Kab Tak Hogi Ashkon Ki Barsaat
Dunya Walon Kab Beeteinge Dukh Ke Yeh Din Raat
Khoon Se Holi Khel Rahe Hain Dharti Ke Balwan
Bagiya Lahoo Luhan !!!

Main bhi khaaif nahein takhta-e-daar se,
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyaar se,
Kyun daraatey ho zindaan ki deevar se,
Zulm ki baat ko,
Jehl ki raat ko,
Main nahein maanta,
Main nahein jaanta !!!

KHUDA TUMHARA NAHI HAI KHUDA HAMARA HAI NEW SHAYARI IN HINDI HABIB JALIB

Khuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai

Lahoo Piyoge Kahan Tak Hamara Dhanwano
Badhao Apni Dukan Seem-O Zar Ke Deewano
Nishan Kahin Na~ Rahega Tumhara Shaitano
Hamein Yaqeen Hai Ke Insaan Usko Pyara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gaawara Hai

Nai Shaoor Ki Hai Roshni Nigahon Mein
Ek Aag Si Bhi Hai Ab ~Apni Sard Aahon Mein
Khilenge Phool Nazar Ke Sahar Ki Bahon Mein
Dukhe Dilon Ko Isi Aas Ka Sahara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai

Tilism-E Sayah-E ~Khauf-O Hiras Todenge
Qadam Bandhayenge Zanjeere-E Yaas Todenge
Kabhi Kisi Ke Na Ham Dil Ki Aas Todenge
Rahega Yaad Jo Ehd-E Sitam Guzara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai !!!!

Kahan qatil~ badalte hain
Faqat chehre badalte hain
Hum ne ahle dard ka raaz
aakhir pa liya Jalib
Ke deep uunche makanon mein
Hamare khoon se jalte hain 

टिप्पणियाँ