- Zindagi nahin hamain doston say pyari,
- Doston pay hazir hay jaan hammari,
- Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
- Jaan say bhi pyaari hay ~muskaan tumhari..
- .......................................................................
- Hawaon k hath ek arman bheja hai,
- Roshni k za~riye ek paigham bheja hai,
- Fursat milay to qabool ker lena,
- is nacheez ne"Piyara" sa "Salam" bheja hai
- .......................................................................
- Hum app ki yaad main udas hain,
- Bas app say milnay ki ass hay,
- Chahay do~st kitnay hi kion na hoon,
- Maray liye tu app hi sab se khas hain
- Eid Mubarak To My Cute, Sweet and Special Friend.
- .......................................................................
- Mubarak naam hai tera,
- mubarak Eid ho tujhko,
- jise tu dekhna~ chahe
- usi ki deed ho tujko
- .......................................................................
- Na hoyee Deed Teri na hoyee hai Eid Meri
- Meri Eid ka Ta'alluq Teri Deed sey raha hai
- na hoyee Deed Teri na hoyee hai Eid Meri
- .......................................................................
- Socha kisi apne se baat karun,
- Apne kisi khaas ko yaad karun,
- Kiya jo faisla eid mubarak kehne ka,
- Dil ne kaha kyun na aapseshuruwat karun.
- .......................................................................
- .......................................................................
- agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
- magar ek sath chalna b koi kam nhi hata;
- wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
- wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,
- .......................................................................
- Kya zamana tha hum roz mila karte thay,
- Raat bhar chand k hamrah chala karte the,
- Dekh k jo hamain chup chap guzar jata hai,
- Kabhi is shakhs sey hum pyar kiya karte the.
- Is dil ka kaha maano ek kaam kar do,
- Ek be-naam si moha~bbat mere naam kar do,
- Meri zaat par faqat itna ehsan kar do,
- Kisi din subha ko milo aur shaam kar do.
- .......................................................................
- Dosti ghazal hey gungunanay k liye,
- Dosti naghma hay s~unanay k liye,
- Yeh woh jazba hay jo sub ko milta nahin,
- Kiyon k hosla chahiye dosti nibhanay k liye..
- .......................................................................
- Is hawa me khushbu hai tumhari,
- is chand ki roshni me surat hai tumhari.
- Is dil sey jo mar kar b juda na ho sakay
- woh sirf aur sirf dosti hai tumhari.
- .......................................................................
- Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
- Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
- Aap Jese Dost Jabse Mile
- Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Zarurat Nahi
- Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain
- Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain
- kuch dost pal-pal yad aatey hain
- hum apse yahi puchna chahte hain
- k dosto ki is qataar me ~hum kahan aatey hain
- .......................................................................
- .......................................................................
- .......................................................................
- Mushkil se magar pehchana hai humne...
- Koi aap jaisa na tha na hoga...
- isliye dost aapko mana hai humney
- .......................................................................
- Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
- Rootho Gi To Manaoun Ga
- Ro Gi To Hasaoun Ga
- Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
- Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
- .......................................................................
- Muskuratay hoi ankhon main sanam aatay hain,
- Aap kia janain kahan say mere gham aatay hain,
- Aap ko hum say pyar main shikayat kia ho gi,
- Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain...
- Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
- Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
- Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
- Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
- .......................................................................
- Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon SAAHIL
- Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta
- Bas aapki ek jhalak nahin milti
- Aapke khayalon say fursat nahi milti,
- hame ek pal ki raahat na~hin milti...
- mil to jata hai sab kuch..
- bas aapki ek jhalak nahin milti.
- .......................................................................
- Apnon k sitam hamsay~~ bataye nahin jatay,
- Yeh hadsay woh~ hain jo samjhaye nahin jatay,
- Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad,
- Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay...
- .......................................................................
- Meri zindagi per faqat itna ehsan ker do,
- ik benam si moha~bbat mere nam ker do,
- ik subha ko milo aur shaam ker do,
- Aur sham tak mere ghar ka sara kaam ker do:p
- .......................................................................
- Meri zindagi per faqat itna ehsan ker do,
- Ik bena~m si mohabbat mere naam kerdo,
- Ik subha ko milo aur shaam kerdo,
- Aur sham tak mere ghar ka sara kam kerdo,
- .......................................................................
- Dilon ko khareedney wale hazar mil jayege,
- Aap ko dagha dene wale bar-bar mil jayege,
- Milega na aapko hum~ jesa koi,
- Milne ko to dost beshumar mil jayege.
- .......................................................................
- Ai muhabbat tere anja~m pey rona aaya,
- Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,
- Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
- Manzile ishq m~ein har gaam pe rona aaya...
- Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
- kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale.
- .......................................................................
- Unki tasveer ko seenay se laga lete hain,
- is tarah judai ka gham mita lete hain,
- kisi tara kabhi unka ziker ho jaye to,
- bheegi palko ko juka lete hain..
- .......................................................................
- Teri yaad dil se jane nahi denge,
- Tere jesa dost ~khone bhi nahi denge,
- Sharafat se roz ~SMS kia karo warna,
- Ek kaan k niche denge or rone bhi nahie denge
- .......................................................................
- Hasraton ki nigahon pe sakth pehra hai.
- Na jane kis umeed pe dil thehra hai.
- Teri chahat ki qasam ae dost,
- apni dosti ka rishta pyar se bhi gehra hai...
- .......................................................................
- Har baar dil se yeh paigham aaye,
- Zubaan kholon to tera he naam aaye,
- Tum he kion bhaye dil ko kya maloom,
- Jab nazroo k saamne haseen tamam aaye.
- .......................................................................
- Be-khul~oos logo'n se
- Ijtinab karna hay
- Mujhy apne rishto'n ka
- Ehtisab karna hay
- Usay bhool jana hay ya
- Usay yaad rakhna hay
- Dukh to~u ek jesa hay bs
- Intikhab krna hay
- .......................................................................
- Let Us Welco~me The New Year,
- Give The Happy Adieu To The Old,
- Start The New Beginning Without Fear,
- And Cherish The Memories We Hold!
- ~
- .......................................................................
- Log ishq kartay hain baray shor kay sath,
- Humne bhi kia bare zor kay sath,
- Lakin ab karain gay thoray ghor kay sath,
- Kyunke kal usay dekha kisi aur kay sath.
- .......................................................................
- Dhoop hoti hai suraj sey,
- jalna zameen ko partaa hai,
- mohobbat hoti hai aap sey,
- tarapna hum ko parta hai..
- .......................................................................
- Haqiqat sam~jho ya afsana,
- Apna samjho ya baigana,
- Hamara aapka rishta he purana,
- Is liye farz tha~ aap ko batana,
- kay garmiyan aa gayi hain,
- Ab shuru ker do roz nahana!
- .......................................................................
- .......................................................................
- Koi wada nahi phir bhi tera intazar hai,
- judai ke b~awajood bhi tujse pyar hai,
- tere chahere ki udasi day rahi hai gawahi,
- mujse milne ke lia tu bhi beqarar..
- .......................................................................
- Kion har bar mosam ki tarah badal jate ho,
- Har bar hamara dil dukhatay ho,
- Yeh bat sun ker hamari roh tak kanp gaye,
- Ae dost tum masjidon se chapal or lote churate ho
- .......................................................................
- Aik din bahroon k phool murjha jayeenge,
- jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge,
- ahsas hoga tumhein h~umari dosti ka jab,
- duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!
- .......................................................................
- Sochne Ki Tumhe Kia Zaroorat Hai ,
- Pukara Hai J~o Naam Tumhara ,
- Pukarne Wala Koi Gair Nahin ,
- Ek Pyara Sa Anjana Sa Dost Hai Tumhara.
- .......................................................................
- kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
- kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate,
- kayi dil ~aise hote hain jo tode nahi jaate,
- aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.
- .......................................................................
- Ashq bahay to ahsaas hota hay,
- Pyar k bina jeevan kitna udas hota hay,
- Umar ho teri sitaron jitni lambi,
- Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay.
- .......................................................................
- Khuda nay dost ko dost say milaya.
- Doston k liye dosti ka rishta banaya.
- Par khuda nay f~armaya,
- dosti rahegi uski kayam
- jisne dosti ko dil say nibhaya.
- .......................................................................
- Dosti ke waaday ko yuhi nibhatay rahengay,
- HUM har waqt APKO satate-mnaate rahengay.
- Mar bhi jayei~n to kya gham hai
- HUM AANSU bankar aapki ankhon me ate rahengay.
- .......................................................................
- Jo judai mile to woh hai ghum,
- Jo dair se mile to woh hai paisa,
- Jo kisi kisi~ ko mile woh hai pyar,
- Jo qismat se mile woh hain AAP
- .......................................................................
- Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
- Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
- Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
- Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
- .......................................................................
- Lamha lamha intzar kiya us lamhe k liye
- or woh lamha~ aya bhi to bus ek lamhay k liye,
- guzarish yehi hai khuda se k kash
- woh lamha phir aye 1 lamhe k liye.
- .......................................................................
- hum farz-e-dosti yuhi nibhate rahenge,
- waqt bewaqt yuhi satate rahenge,
- dua karo ki umar bahut lambi ho humari,
- nahi to yaad ban kar tumhe rulate rahenge.
- .......................................................................
- Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
- Jis din aapko apn~e hatho se banaya hoga,
- Usne bhi bahaye honge aansu,
- Jis din aapko yahan bhej ker, khud ko akela paya hoga
- .......................................................................
- Haalat pay meri hasnay hasaney aaja,
- jhooti hi sahi par sac~hi ansoon bhane aaja
- khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye
- ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
- .......................................................................
- Meri har ek dhakan aap ke liye hai,
- Meri har~ ek muskuraht aap ke liye hai,
- Aap ki ada mere dilko churane ke liye hi hai,
- Ab toh meri yeah zindagi aap ke intezaar ke liye hai..
- .......................................................................
- Tumhari hansi ki ek nazar yaad aati hay,
- Zindagi ki har shaam subah nazar aati hay,
- Jab say daikha hay tujhey dil ki aankhon say,
- Har shakal bus teri hi nazar aati ha..
- .......................................................................
- Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
- Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
- .......................................................................
- Arz hai
- pyar chupta nahi ankhen chupane se,
- dil rukta nahi kisi~ k samjane se.
- Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
- hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se.
- .......................................................................
- ye dosti ke rishte bhi kitne ajeeb hote hai...
- sab apne apne naseeb hote hain..
- rahtey hain jo nigaho se door..
- wahi dil ke kareeb hote hain
- .......................................................................
- yaad aati hai to jara kho lete hai.
- Ansu a~ankho se utar aya to ro lete h.
- neend to nhi aati aankho me lekin aap
- sapno me ayange is liye so lete hai
- good night
- .......................................................................
- Arz hai:
- Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,
- mai dewana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,
- maine badal hatne ka intjar kiya,
- tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
- .......................................................................
- Tumhari is ada ka kya jawab du,
- apne dost ko kya~ uphar du,
- koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
- jo khud gulab hai usko kya gulab du...
- .......................................................................
- Is dil ka kaha m~ano 1 kaam ker do,
- 1 bay naam si mohabbat mere naam kar do,
- Meri zaat pay faqat itna ehsaan kar do,
- Ghar say naha k niklo, poray muhallay ko hairaan kar do
- Palkon me qaid kuch sapne hain
- Palkon me qaid kuch sapne hain...
- kuch begane kuch apne hain...
- na jane kya KASHISH hay in khayalon main...
- woh ghair hoke bh~i kitne apne hain...
- .......................................................................
- Sukon dhond~ta phirta tha me baharon me,
- Haseen wadiyon mei, surmaye nazaron me,
- Me is talash mein ja phncha chand taron main,
- Magar ye mujhe mila ~Quran k 30 paron mein
- .......................................................................
- Tumhari is ada ka kya jawad du,
- apne dost k~o kya uphar du,
- koi accha sa phool hota to ~mali se mangvata,
- jo khud gulab hai usko kya gulab du...HAPPY BIRTHDAY My love.
- .......................................................................
- Hum woh phool hain jo roz roz nahi khiltay,
- Yeh wo hont hain jo kabhi nahin siltay,
- Hum se bichro ge to ehsas hoga tumhain,
- Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
- Khuda ki banai qudrat nahi dekhi
- Khuda ki banai qudrat nahi dekhi,
- Dilon main chupi dolat nahi dekhi,
- Jo kehta hai doori se mit jati hai dosti,
- Us ney shayud hamari dosti nahi daikhi
- .......................................................................
- Dillagi dosto ke naam hoti hai
- Dilldari dosto ki shaan hoti hai
- Kahi bhi raho par rahoge dil me mere
- Yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai
- .......................................................................
- Us ki yaadon main,
- Us ki baaton ~main,
- Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,
- .......................................................................
- Lakh masroof hoga,
- Apnay kamoon m~ain,
- Phir bhi hamain soch ker
- kabhi to muskurata ho ga.
- .......................................................................
- Hume apne d~il mein basaye rakhna,
- hamari yaadon k chirag jalaye rakhna,
- bahut lamba hai safar zindagi ka mere dosti.
- ek hissa hume bhi banaye rakhna.
- .......................................................................
- Is dil ka kaha mano 1 kaam ker do,
- 1 bay naam si mohabbat mere naam kar do,
- Meri zaat pay faqat itna ehsaan kar do,
- Ghar say naha k niklo, poray muhallay ko hairaan kar do
- .......................................................................
- Jab koi khayal dil se takr~ata hai,
- Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai,
- Koi sab kuch keh ke~r dosti jatata hai,
- To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.
- .......................................................................
- koi gila na koi shikwa rahe aapse...
- ye aarzo hai ek si~lsila bana rahe aapse...
- bas ek baat ki bari umeed hai apse...
- pehchaan lena agar kahi hum mile aapse...
- .......................................................................
- Mahak dosti ki ishq se kum nahi hoti
- Ishq se zindgi khatam nahi hoti
- Sath agar h~o zindgi main doston ka
- To zindgi jannat se kum nahi hoti
- .......................................................................
- Pyar me maut se darta kaun hai
- Pyar ho jaata hai karta kaun hai
- Aap jaise yar par dunia qurban
- Aur aap puchte ho k, hum pe marta kaun hai?
- .......................................................................
- Kaanto k badlay
- Phool kia do ge,
- Aansoon k badlay
- Khushi kia do ge,
- Hum chahtay hain aap se~ umar bhar ki dosti
- Hamary is SMS ka jawab kia do gay...?
- .......................................................................
- khoobsurat aankhain teri
- raat ko jaagna choor day,
- khud ba khud neend aa jayegi
- tu mujhey sooch~na choor day.
- Good Night
- .......................................................................
- Dosti ki wajah nahin hoti,
- Dosti saza nahin hoti,
- Dosti me hoti he imandari,
- Dosti me duniadari nahi hoti,
- Dost jaan se pyara hota he,
- Dost se jaan pyari nahin hoti
- .......................................................................
- Meri nigah-e-kamal ka intikhab ho tum,
- Wafa k pholon main haseen gulab ho tum,
- Log kehte hain doston~ main wafa nahi hoti,
- Logon k sab sawalon ka jawab ho tum...
- .......................................................................
- Hum khud pe gharur nahi kertay,
- Kisi ko dosti kerny py majbor nahin kertay,
- Magar jisy ek bar dil mein basa lein,
- Usay martay dum tak dil say door nahin kertay,
- .......................................................................
- Dosti kisi ~ki riasat nahi hoti,
- Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
- Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna,
- Kion kay hamari d~osti ki qaid main zamanat nahin hoti
- .......................................................................
- Log apna bana k chor detey hain,
- Apno se rishta tod k ghairon se jod detey hain,
- Ham to~a ik phool na tod saktey,
- Najaney log dil kaisey tod detey hain....
- .......................................................................
- Jisne humko chaha,use hum chah na sake.
- Jisko chahte the,use hum pa na sake.
- Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai,
- kisi ka toda aur apna bacha na sake.
- Koi gila, koi shikwa ~na rahe aapse
- Koi gila,koi shikwa na rahe aapse,
- yeh aarzoo hai k silsila rahe aapse,
- bas is baat ki badi umeed hai aapse,
- khafa na hona aga~r hum khafa rehein aapse.
- .......................................................................
- Aay dost tum ~bhi ajeeb ho.
- Meray dil k kitnay qareeb ho.
- ~
- Na miltay ho na SMS kertay ho.
- kia tum mujh say bhi ziyadah gharib ho.
- .......................................................................
- Aye khuda teri mehfil me
- haath uthaye fariyaad karte hai,
- sambhalay rakhna us amanat ko
- jise hum tanhai me yaad karte hai.
- .......................................................................
- Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
- tere sang na hone ka malaal~ kuch hadd se zyada hai.
- phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
- shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.
- .......................................................................
- Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
- Shayd k us ko ab meri kader nahi,
- Her safer mein mera ~kabhi hamsafer tha woh,
- Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi..
- .......................................................................
- Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
- Aapki taqdir ~mein har khushi likh dete.
- Jo mod aapko kamyabi dilaye.
- har lakeer ko ussi taraf mod dete.
- .......................................................................
- Baharo phool barsao mera "DOST"aya hai.
- Hoto pe muskan, gali me mehak laya hai.
- Barso tak thi jise pani se "ELERGY"
- Woh aaj "LUX" se nahaya hai.
- .......................................................................
- Saza khoob mili tum~ say dil laganay ki,
- Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
- Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
- Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
- .......................................................................
- Is qadar hamari chahat ka imtehan na lijiye,
- Kion hain khafa yeh bayan to kijiye..
- Kar dijiye maaf~ agar ho gayai hum say khata,
- Youn khamosh reh kar hamain saza na dijiye....
- .......................................................................
- Log apne bhi hote hai praye bhi.
- dilon mein hoti hai sagar jaisi gehrai bhi,
- is umeed se kartay hain sms unhein,
- ki wo padhein aur hamein,
- yaad karke muskrayein bhi...
- .......................................................................
- Phool khiltay hain bah~aron ka sama hota hay,
- Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
- Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
- Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay....
- .......................................................................
- Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
- Kare to qayamat tak judaa na kare.
- Ye maana ki koi mar~ta nahi judaai mein,
- Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
- .......................................................................
- hum ap k dil main rehte hain,
- Is liye her dard sehte hain,
- Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
- Is liye sub se pehlay "Happy Ramadan ul mubarak" kehte hain
- .......................................................................
- Be-zabano ko jub wo zab~an deta hay,
- Parhne ko phir wo QURAN deta hay,
- Bakshne pay aata ~hay jub ummat k gunahon ko,
- Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
- .......................................................................
- Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
- yaad unhe din rat~ kiya karte the,
- ab un raho se guzra nahi jata,
- jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.
- .......................................................................
- Kisi ko apna ban~anay main dair lagti hay,
- Aik wada nibhanay main dair lagti hay,
- Pyar to pal bhar main ho jaata hay,
- Magar usay bh~ulanay main dai lagti hay
True Love Shayari, True lovers Images, Love Images Hindi, Love Images in Hindi, Romantic True Love Shayari, Romantic Hindi Shayari Images 2025, True Love Shayari in Hindi, True Love Pic, True Love Shayari for Bf,True Love Images Shayari, True Love Images in Hindi Shayari.
Kya zamana shayari latest2017
सदस्यता लें
संदेश (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें