सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं
ashk shayari aansoo shayari girl2017
- Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
- Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye....
- Ae Khuda log banaye~ the pathar ke agar,
- Mere ehsaas ko sheeshe sa na banaya hota....
- Aansu bhi meri aankh ke ab khushk ho gaye,
- Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li.....
- ........................................................
- Pyaar Karke Jataye Ye Zaroori To Nahi,
- Yaad Karke Koi Bata~ye Ye Zaroori To Nahi,
- Rone Wala To Dil Mein Hi Ro Leta Hai,
- Aankh Mein Aansu Aaye Ye Zaroori To Nahi!
- ........................................................
- Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
- Zaroori Nahi Ki Wo Bewafa Hota Hai,
- De Kar Wo Aap~ki Aankhon Mein Aansu,
- Akele Mein Aapse Bhi Zyada Rota Hai!
- ........................................................
- Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par, Bahut Roye The Us Aansu Ki Khatir!
- ........................................................
- Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
- Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai!
- ........................................................
- Jab Jab Aapse Milne Kee Umeed Nazar Aayi,
- Mere Paanv Me~in Zanjeer Nazar Aayi,
- Gir Pade Aansu Aankh Se,
- Aur Har Ek Aansu Mein Aapki Tasveer Nazar Aayi!
- ........................................................
- Jab Lafz Thak Gaye To Phir Ankhon Ne Baat Kee;
- Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Wo Phir Ashkon Se Bayaan Hui!
- ........................................................
- Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai,
- Ye Dard Mohabbat Ko Nibha~ne Kee Saza Hai;
- Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu,
- Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai!
- ........................................................
- Betab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar;
- Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Mein Aksar;
- Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar;
- Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar!
- ........................................................
- Yun Kisi Kee Yaad Mein Rona Fizool Hai;
- Itne Anmol Aansu Khona Fizool Hai;
- Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nisaar Hain;
- Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazaar Hain!
- ........................................................
- Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne;
- Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare!
- ........................................................
-
- Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den;
- Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa!
- ........................................................
- Aansuon Ko Peena Purani Aada~t Hai Meri;
- Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata!
- ........................................................
- Meri Aankhon Se Gire Hain Yeh Jo Chand Katre;
- Jo Samajh Sako To Aansu, Na Samajh Sako To Pani!
- ........................................................
- Pyaas Bujh Jaye Zameen Sabz Ho Manzar Dhul Jaye;
- Kaam Kya Kya Na In Aankhon ~Kee Tari Aaye Humein!
- ........................................................
- Mil Kar Judaa Hue To ~Na Soya Karenge Hum;
- Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;
- Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
- Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum!
- ........................................................
- Hamare Ashk Mein Apka Khwab Chupa Hai;
- Hamari Khushi Mein Aapka Ehsas Chupa Hai;
- Tum Hamari Dastan Mein Raho Ya Na Raho;
- Lekin Is Dil Mein Hamesha Aapke Liye Pyaar Chupa Hai!
- ........................................................
- Tum Ne Jo Chonk Kar Har Jagah Nigah Kee Hogi;
- Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sa~da Di Hogi;
- Ye Jo Moti Baraste Hain Teri Yaad Mein Aksar;
- Badlon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
- ........................................................
- Kaise Rokun Jo Ashk Aankhon Se Dhal Jaate Hain;
- Dil Ke Kuch Dard Hain Aankhon Se Nikal Aate Hain!
- ........................................................
- Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake;
- Teri Yaad Mein Saari Raat S~o Na Sake;
- Mit Na Jaye In Ashkon Mein Teri Yaadein;
- Yahi Soch Kar Hum Bas Ro Na Sake!
- ........................................................
- Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye;
- Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga!
- ........................................................
- Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
- Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota;
- Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye;
- Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota!
- ........................................................
- Hanste Rahoge To Duniya Saath Hai Warna;
- Aansuon Ko To Aankh Mein Bhi Jagah Nahi Milti!
- ........................................................
- Jee Dhoondta Hai Phir Fursat Ke Raat Din;
- Baithe Rahen Tassavur-e-Ja~na Kiye Hue;
- Ghalib Humein Na Chhed Ke Phir Josh-e-Ashq Se;
- Baithe Hain Hum Tahayya-e-Toofan Kiye Hue!
- ........................................................
- Raah Takte Jab Thak Gayi Meri Aankhein;
- Phir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansu Nikle!
- ........................................................
- Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
- Teri Aankhon Ko Padhta~ Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
- Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se;
- Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!
- ........................................................
- Unki Tasveer Ko Seene S~e Laga Lete Hain;
- Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
- Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
- Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!
- ........................................................
- Har Lamha Hum Unhein Yaad Karte Rahe;
- Unki Yaad Mein Mar-Mar ~Ke Jeete Rahe;
- Ashq Aankon Se Hamari Behte Rahe;
- Hum Ashqon Ke Jaam Peete Rahe!
- ........................................................
- Woh Begaano Mein Apne;
- Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain;
- Hamare Khoon Ki Bhi Keemat Nahi;
- Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain!
- ........................................................
- Woh Lamhe Rulate Hain Humko Raat Din;
- Woh Lamhe, Unka Bhi ~To Dil Dukhate Honge;
- Jab Kabhi Bhi Woh, Padh Lete Honge Nagme Hamare;
- Naam Apna Padhkar, Aankho Se Ashk Jhalak Aate Honge!
- ........................................................
- Meri Yaadon Kee Kashti Uss Sama~ndar Mein Tairti Hai;
- Jis Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai!
- ........................................................
- Nikle Jab Aansu Uski Aankhon Se;
- To Dil Karta Hai Sar~i Duniya Jala Dun;
- Phir Sochta Hun Ki Honge Uske Apne Bhi Iss Duniya Mein
- Kahin Anjane Mein Use Phir Se Na Rula Dun!
- ........................................................
- Mana Ki Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
- Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Bhi To Ehsaas Nahi;
- Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu;
- Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
- ........................................................
- Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya Hai;
- Khud Ko Dard Ke Samandar Mein Dubo Diya Hai;
- Jo Thi Kabhi Mere Muskurane Ki Wajah;
- Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya Hai!
- ........................................................
- Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
- Behte Hain Ashk To Inhe Behne Do;
- Bewafai Shamil Na Karo Dosti Kee Raaho Mein;
- Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do!
- ........................................................
- Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh Par;
- Main Bheegta To Jarur Hun Le~kin Palkon Kee Had Tak!
- ........................................................
- Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya;
- Jis Din Se Tumne Yeh Di~l Tod Diya;
- Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe;
- Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya!
- ........................................................
- Aaj Phir Mausam Num H~ua Meri Aankhon Ki Tarah;
- Shayad Baadlon Ka Bhi Kisi Ne Dil Dukhaya Hoga!
- ........................................................
- Teri Yaadon Ke Siva Kuch Bhi Nahi Hai;
- Khawab Har Raat Fir ~Sajana Padta Hai;
- Kahin Dekh Na Le Namm Ye Aankhein Koi;
- Aansuon Ko Aankhon Mein Chupana Padta Hai!
- ........................................................
- Yeh Kya Ki Tujhe Bhi H~ai Zamane Se Shikayat;
- Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan!
- ........................................................
- De Ga Agar Dard To Khud Bhi Doobay Ga;
- Woh Ek Shakss Jo Ankhon Me Rehta Hai!
- ........................................................
- Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaayi Hui Hai Raat;
- Shayed Hamari Tarah Hi Sataayi H~ui Hai Raat!
- ........................................................
- Har Ek Jazbat Ko Zubaan Nahi Milti;
- Dil Ki Har Ek Aarzoo K~o Dua Nahi Milti;
- Muskan Banaye Rakho To Duniya Sath Hai;
- Warna Aansuo Ko Bhi Aankho Mein Panah Nahi Milti!
- ........................................................
- Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain;
- Jaagti Aankoh Me ~Bhi Kuch Khawab Hote Hain;
- Zaroori Nahi Ki Gham Me Aansu Nikle;
- Mushkurati Aankho Me Bhi Sailab Hote Hain!
- ............................................................
- Zindgi ke liye jina ~zaruri hai,
- Jine ke liye arman zaruri hai,
- Dil mein chahe hazaro gum ho,
- Phir bhi tere chehare pe muskan zaruri hai…
- ........................................................
- Phir Aaj Ashk Se Ankhon ~Mein Kyun Hain Aye Hue;
- Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue!
- ........................................................
- Yeh Jo Doobi Hain Meri An~khein Ashkon Ke Dariya Mein;
- Yeh Matti Ke Puttalon Par Bharose Ki Saza Hai!
- ........................................................
- Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Toh Nahi Hai;
- Phir Kyo Teri Aankhon Mein~ Ye Toofan Hain Mohsin;
- Munhasir Ehl-e-Sitam Par Hi Nahi'n Hai Mohsin;
- Log Apno'n Ki Enayat Se Bhi Mar Jate Hain!
- ........................................................
- Dekh Kaisi Qayamat Si Ba~rpa Hui Hai Aashiyanon Pay Iqbal;
- Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye!
- ........................................................
- Hajoom Mein Tha, Woh Khul Kar Na Ro Saka Ho Ga;
- Magar Yakeen Hai Ke Sha~b Bhar Na So Saka Ho Ga!
- ........................................................
- Us Ki Chahat Ka Bharam Kya Rakhna;
- Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kya Rakhna;
- Hanss Bhi Lena K~abhi Khud Par Mohsin;
- Har Ghadi Aankh Ko Namm Kya Rakhna!
- ........................................................
- Dil Main Har Raaz Dabaa Key Rakhtay Hain;
- Honton Pay Musk~aan Sajaa Key Rakhtay Hain;
- Ye Duniya Sirf Khushee Mein Saath Daitee Hai;
- Iss Liye Hum Apnay Aansoo Chupaa Kay Rakhtey Hein
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें