dard shayari english font new2017


  • Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
  • seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai

  • Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
  • ashq_baaree ka hukm_zaaree hai

  • Be_KHudee be_sabab naheeN ?
  • kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
  • .........................................................................

  •  
  • Hum Khushbu Kay Sodagar Hain
  • Hum Soda Sacha Kartay Hain

  • Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho
  • Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain

  • Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka
  • Tum Bhala Hal Kya Janoo

  • Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain
  • Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain.
  • .........................................................................

  • Gahri thi raat, lekin hum khoye nahi,
  • Dard bahut tha dil mein, lekin hum roye nahi,
  • Koi nahi hamara jo puchhe humse,
  • Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi..
  • .........................................................................
  • bheegne ka itna hi shauk hai baarish mein,
  • To dekho in aankho mein..
  • Baarish to har ek ke liye barasti hai,
  • Lekin yeh aankhe sirf tumhare liye barasti hai..

  • .........................................................................
  • Aankhe To Pyar Mein Dil Ki Juban Hoti Hai,
  • Chahat To Sada Bejuban Hoti Hai,
  • Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
  • Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai…

  • .........................................................................

  • Yehi zameen ho tum bhi,
  • Yehi zameen hun main bhi,
  • Yehi zameen haqiqat hai,
  • Is zameen ke siwa kahin bhi kuch nahi,
  • Sab nazar ka dhokha hai..
  • Yeh aasman jo har tastalas se bahar hai,
  • Dikhai deta hai par kabhi nahi milta..
  • Na tum talash karo mujh mein,
  • Jo nahi hun main,
  • Na main talash karun tujh mein,
  • Jo nahi ho tum.
  • .........................................................................
  • Khuda Janta Hai Ki Kitne Majboor Hai Hum,

  • Saza Ye Hain Ki Mil Nahi Sakte Aapse,

  • Gunah ye Hai Ki Bekasoor Hai Hum
  • .........................................................................
  • Na jaane kya Kami hai mujhme,
  • Na jaane kya Khoobi hai usmein,
  • Wo mujhe yaad nahin karta
  • Main usko bhool nahin paati

  • .........................................................................
  • Mera dil jis par fida hai,
  • Wohi yaar mujhse juda hai,
  • Main nahin kehta tanha hoon,
  • Mere saath mera Khuda hai..
  • Main kyun na use pyar karoon
  • Wo jo mere dil ki sadaa hai
  • Us se bichhad kar lagta hai
  • Jaise yeh jeevan koi saza hai
  • Wo jahan bhi rahe khush rahe
  • Mere dil ki yahi dua hai
  • .........................................................................
  • Yaadon Ki Dhundh mein aapki Parchhai si lagti hai,
  • Kaanon mein gunjati Shahnai si lagti hai,
  • Aap Kareeb ho to apnapan hai,
  • Warna Seene mein, Saansein bhi Paraayi si lagti hai!

  • .........................................................................
  • Haal-e-dil ae dilbar hum tujhe kaise kahe,
  • Jo dard hai dil me use kaise sahe,
  • Rone se teri tasveer kahin mit na jaye par,
  • Jab dard hai dil me to ashk kaise na bahen.

  • .........................................................................
  • Kabhi ruth na jana,
  • Mujhe manana nahi aata.

  • Kabhi dur na jana,
  • Mujhe pass bulana nahi aata.

  • Agar aap bhul jao to apki marzi,
  • Mujhe to bhul jana bhi nahi aata.



  • .........................................................................

  • Muhabbat mujhe thi usi se..Sanam
  • Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha
  • Maut bhi meri Chahat ko rok na saki
  • Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha

  • .........................................................................
  • Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
  • Aapse dil lagana hamara kasur tha
  • Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
  • Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha

  • .........................................................................
  • Yaadon ke sath jeene mein kya mazaa?
  • khayalo mein pyaar kiya to kya kiya?
  • Har lamha tanha sa hai…
  • Hamsafar hi paas na ho to safar ka kya mazaa

टिप्पणियाँ