Wasi Shah Ghazals Wasi Shah Poetry In Urdu 2017

Dheeray Se Sarakti Hai ~Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daik~ha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagauon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n~ Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah !!!

Kon Kehta Hai K Maot Aaigi Aur Main Mar Jaoonga
Main To Darya Hoon Samandar Main Uttr Jaoonga,

Zindagi Shamaa Ki Maanind Jallata Hoon Nadeem,
Bujh To Jaoonga,Lekin Subha Bhi Kar Jaoonga !!!

LATEST COLLECTION OF WASI SHAH POETRY IN URDU AND ENGLISH

Wo Mere Seene Pe Rakh Ke Sar Soya Tha Be-Khabar Ban K “Wasi”
Hum Ne Dil Ki Dharkan Hi Rok Li K Kaheen Uski Neend Na Toot Jaye… !!!

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..

To main bhi khush hon koi us se ja ke keh dena,
Agar woh khush hai mujhe be-qaraar karte huye,

Tumhe khabar hi nahin hai ke koi toot geya,
Mohababton ko bohat pa~ayedaar karte huye..

WASI SHAH MESSAGES AND TWO LINE URDU POETRY, BEST WASI SHAH SHAYARI

Is Qadar Payar Sy Na Bola Kar
Dushmani Ka Guman Hota Hai!!!

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar
Phoot Ker Rone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum,

Hum Ney Joon Hi Ker Liya !Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Raastey Khone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum,

Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya
Devta Hone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum,

Aaj Phir Mehroomiyon~ Ki Daastane Orh Ker
Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum,

Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi
Khamshi Dhone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum !!!!

Narm Narm Phoolo’n Ka Ras Nichor Leti Hain Wasi
Pathar K Dil Hote Hain Titliyon K Seene Main

टिप्पणियाँ