Munir Niazi Shayari Very New Collection 2017

Todana tute huye dil ka bura hota hai
jis ka koi nahi us ka to khuda hota hai
mang kar tum se ~khushi lun mujhe manzur nahi
kis ka mangi hui daulat sebhala hota hai
log nahak kisi majabur ko kahate hain bura
aadmi ache hain par waqt bura hota hai
kyon “munir” apni tabahi ka ye kaisa shikwa
jitana taqadir mein ~likha hai ada hota hai !!!

munir niazi shayari

MUNIR NIAZI SHAYARI, HINDI SHAYARI, LOVE SHAYARI, FUNNY SHAYARI, URDU SHAYARI

Sadkon pe beshumaar~ gul-e-khoon pade hue
Peddon ki daaliyon se tamaashe jhade hue
Kothon ki mamtiyon pe haseen buut khade hue
Sunsaan hain makaan kahin dar khula nahin
Kamre saje hue hain magar raasta nahin
Veeraan hai poora shehar koi dekhta nahin
Aawaaz de raha hun koi bolta nahin …!!!

Hawa ke aavaz
khushk patton ~ke sarsarahat se bhar gai
rosh-rosh par fatada phoolon ne
lakhon nauhe jaga diye hain
sileti shuayen
buland pedon par gul machate
siyah kauon ke qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan ke qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ke aavaz gunjati hai
har ek basti kashakash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
musafiron ko pukarati hai ki – aao
mujh ko khizan ke bemahar
talkh ehasas se bachao !!!!

MUNIR NIAZI POETRY SMS,MUNEER NIAZI PUNJABI POETRY COOL NEW COLLECTION

Keh bhi de ab woh sab baaten,
Jo dil mein posheeda hain.
Saare roop dikha de mujh ko,
Jo ab tak nadeeda hain.
Ek hi raat ke taare hain,
Hum donon~ uss ko jaante hain.
Doori aur majboori kya hai,
Uss ko bhi pahchaante hain.
Kyon phir donon mil nahin sakte ?
Kyon ye bandhan toota hai ?
Ya koi khot hai tere dil mein ?
Ya mera ghum jhootha hai …!!!

Dar ki kisi se chup~ jata hai jaise sanp khazane mein
zar ki zor se zinda hain sab khak ki is virane mein
jaise rasm ada karte hon shaharon ki aabadi mein
subah ko ghar se dur nikal kar sham ko vapis aane mein
nile rang mein dubi aankhen khuli padi thin sabze par
aks pada tha aasman ka shayad is paimane mein
dil kuch aur bhi sard hua~ hai sham-e-shahar ki raunaq mein
kitni ziya be-sud gai hai shishe ki lafz jalne mein
main to ‘munir’ aaine mein khud ko tak kar hairan hua
ye chehara kuch aur tarah tha pahale kisi zamane mein 

टिप्पणियाँ