Parveen Shakir Sad Poetry 2017

Badan Ki Garm `Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho !!!

Parveen shakir two line shayari

Gham-e-dauran’ ne bhi seekhey Gham-e-jaana k chalan
wohi sochi hui chalein’ wohi besaKhtapan
wohi iqrar mein~ inkaar k lakhon’ pehlu
wohi hon’ton’ pe tabassum wohi abaru pe shikan
kis ko dekhaa hai k pindaar-e-nazar ke baavasaf
ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan
kaun si fasl mein is baar mile hein tujh se
ham ko parvaah-e-gireban’ hey na fikr-e-daman
ab to chubhati hai hava barf ke maidaano ki
un dino jism ke ehasas se jalata tha badan !!!

Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho !!

LATEST COLLECTION OF PARVEEN SHAKIR POETRY IN URDU AND ENGLISH

Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha~ karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai !!!

Vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi
hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi
bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein
hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi
bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan
Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi
tumhari neend mey ~Dubi hui aankho ki qasam
hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi !!!

PARVEEN SHAKIR POETRY PARVEEN SHAKIR GAZALS

Badli Jo Rut Gharoor Key Gard O Ghubaar Ki
Dastar Khul Gayi T~ere Jhoote Waqar Ki
Hum Nay Kaha Na Tha Ke Na Badmast Ho Key Chalo
Mehangi Bahut Padegi Ye Izzat Udhar Ki !!!

Saza Ban Jati Hai~ Guzre Huwe Waqt Ki Yaadein,
Najaane Kyun ChoOr Jaane K Liye Meharban Hote Hein LoOg…

टिप्पणियाँ