tasveer shayari new2017


  1. Mayush To Hun Vaade~ Se Tere
  2. Khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai

  3. Main Apne Khayalon Ke Sadke
  4. Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai

  5. Dil Ne To Khushi Ma~ngi Thi
  6. Magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya

  7. Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse
  8. Wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai

  9. Palkon Se Girte Ash~kon Me
  10. Tasveer Jhlakti Hai Teri

  11. Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
  12. Ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai

  13. .............................................................................


  14. Mere Moula Tune Toh Di~ Hogi Achhi Hi,
  15. Shayad Maine Hi Kho Di Kahin Takdeer Meri,

  16. Teri Karigari Mein Toh Kahin Kami Na Thi,
  17. Mujhse Hi Ban Na Saki Achhi Tasveer Meri…

  18. Sad Shayari - Related to: Tasveer
  19. Comments Off on Ban Na Saki Achhi Tasveer

  20. .............................................................................

  21. Phool Ki Har Tasveer Main Jehan Ki Deevaron Se Utar Chuka Hu,
  22. Fir Kyu Dil Mein Kanta Sa Rah Rahkar Chubhta Rahta Hai,

  23. Majburi Thi Sabr Kiya Hai Panv Ko Tod Kar Baith Rahe Hain,
  24. Nagri Nagri Dekh Chuke Hain Davare Davare Jhank Liya Hai,

  25. In Aankho Ka Matwalapan Un Hoton Ko Jumbish Kam Kam,
  26. Nasha Hain Jo Dol Raha ~Hai Jaadu Hai Jo Bol Raha Hai,

  27. Yaaro Sona Chandi Bokar Sona Chandi Kaato Jaao,
  28. Hamne Aansu Ki Kheti Kar Nain Nagar Aabad Kiya Hai,

  29. Badr tumhari Fikr E Sukhan Par Ek Allama Hanskar Bole,
  30. Yeh Ladka Noumar Parin~da Uncha Udna Seekh Raha Hai…

  31. .............................................................................
  32. Sahar mein rahte huy~e hamein jamana ho gaya
  33. Kon rahta hai kahan kuchh bhi bata sakte nahi,

  34. Uski yaadon se mahkane lagta hai sara badan
  35. Pyar ke seene mein ko seene chhupa sakte nahi,

  36. Pather ke bartano mein aansuon ko kya rakhein
  37. Phool ko lafjo ke gamle mein khila sakte nahi,

  38. Aadmi kya hai gujrate vakt ki tasveer hai
  39. Jaane wale ko sada dekar bula sakte nahi

  40. .............................................................................
  41. zindagi aur main do~ alag toh nahi
  42. maine sab phool kaante isi ki liye

  43. sahar mein ab koi mera dushman nahi
  44. abko apna liya maine tere liye

  45. jahan mein titliyan udd rahi hain bahut
  46. koi dhaga nahin bandhne ke liye

  47. ek tasveer gajlon m~ein aisi bani
  48. agle pichhle jamano ke liye…

  49. .............................................................................
  50. Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi Aan Basi Hai Aankhon Mein,
  51. Shayad Humne Aaj Gajal Jaisi Baat Likhi Hai Aankhon Mein,

  52. Is Rumal Ko Kaam Mein Laao Apni Aankhe Saaf Karo,
  53. Maila Maila Chand Nahin Hai Dhool Jami Hai Aankho Mein,

  54. Padhta Ja Yeh Manjar ~Nama Jard Vishal Pahadon Ka,
  55. Dhoop Khili Palkon Ke Upar Barf Jami Hai Aankhon Mein,

  56. Maine Ek Naavil Likha Hai Aane Wali Subahke Naam,
  57. Kitani Raaton Ka Jaga Hun Neend Bhari Hai Aankhon Mein…

  58. .............................................................................

  59.   
  60. Sunsaan Raston S~e Sawari Na Aayegi,
  61. Ab Dhool Se Ati Huyi Lari Na Aayegi,

  62. Chhapar Ke Chaay Khane Bhi Ab Ubne Lage,
  63. Paidal Chalo Ki Koi Sawari Na Aayegi,

  64. Sad Shayari - Related to: Bashir Badr, Tasveer
  65. Comments Off on Koi Sawari Na Aayegi
  66. .............................................................................
  67. Mousam Ki Khusbu Mein Aksar Gham Ki Khusbu Mil Jaati Hai,
  68. Aam Ke Baagon Mein Kaise Sawan Sawan Barsa Aansu,

  69. Apne Bachpan K~a Kissa Hai Ek Tasveer Banayi Usne,
  70. Mehandi Waale Haath Rache The Beech Hatheli Tapka Aansu,

  71. Ek Gaanv Mein Do Baratein Shayad Dulha Badal Gaya Hai,
  72. Meri Aankh Mein Tera Aansu Teri Aankh Mein Mera Aansu,

  73. Pass Se Dekho Jugnu Aansu Door Se Dekho Tara Aansu,
  74. Main Phoolon~ Ki Sej Pe Baitha Aadhi Raat Ka Tanha Aansu…

  75. .............................................................................
  76. Dundhati Hai Tujhe Meri Aaankhe,
  77. Eh Wafa Kuchh Tera Pata Bhi Hai,
  78. ***
  79. Kahan Se Kahan,
  80. Le Gaya Humko Shok,
  81. Magar Rah Gayi,
  82. Justju Rah Gayi,
  83. ***
  84. Dil Ko Bagal Mein,
  85. Pal Ke Majbur Ho Gaye,
  86. Dushman Ke Sath,
  87. Umar Hamari Basar Huyi,
  88. ***
  89. Sou Dekhne ~Wale Hon,
  90. Toh Yeh Aankh Kahan Hai,
  91. Tasveer Teri Kyu Na,
  92. Kare Naaj Hamin Pe..

  93. .............................................................................

  94. Thi Jamane Mein Roshani Jinki,
  95. Haay Us Ghar Meinab Charag Hai,
  96. ***
  97. Dil Jab Se Lagaya Hai,
  98. Kahin Ji Nahin Lagta,
  99. Kis Tarah Se Hoti Hai,
  100. Basar Dekhiye Kya Ho,
  101. ***
  102. Jab Mukabil Hi Na Ho,
  103. Kisko Batau Achha,
  104. Samne Aap Bhi Ho,
  105. Aap Ki Tasveer Bhi Ho,
  106. ***
  107. Jitna Woh Meharbaan Hai,
  108. Yeh Bekara Hai,
  109. Dil Ka Muamala Bhi,
  110. Ajib Pechdaar Hai,
  111. ***
  112. Hamari Sabe Gham,
  113. Gujar Jaaye Y~arab,
  114. Ki Aasan Karne Ki Muskil Yahi Hai…

  115. .............................................................................

  116. Woh Nahin Sunte Hamari Kya Karen,
  117. Maangate Ha~in Dua Hum Jinke Liye,
  118. ***
  119. Dil Maine Lagaya Hai Magar Dekhiye Kya Ho,
  120. Sab Chhinkate Hain Apne Paraye Mere Aage,
  121. ***
  122. Meri Tasveer Bhi Dekhi Toh Kaha Sharma Kar,
  123. Yeh Bura Shakhs Hai Iski Niyat Nahi Achhi,
  124. ***
  125. Tune Kaasid Jo Kahi Dil Ki Lagi,
  126. Yeh Usi Kaafir Ke Muh Ki Baat Hai…


  127. .............................................................................
  128. Tadpaate H~ain Unhe,
  129. Gairo Ki Chahat Aisi Hoti Hai,

  130. Khuda Ki Shaan Hai,
  131. Aiso Ko Haalat Aisi Hoti Hai,

  132. Jab Aankhon Se Lagata Hun,
  133. Toh Chupke Chupke Hans Hanskar,

  134. Teri Tasveer Bhi,
  135. Kahti Hai Soorat Aisi Hoti Hai,

  136. Kiya Najjra Bajme Gair Mein,
  137. Us Hure Til~aat Pari Ka,

  138. Yeh Kya Maalum Tha,
  139. Narak Mein Jannat Aisi Hoti Hai…

  140. .............................................................................

  141. Kuchh Toh Pade Dabav Dile Bekarar Par,
  142. Para Bhara Hua Meri Turbat Pe Chahiye,

  143. Jo Din Hain Zindagi Ke Woh Hansi Khusi Gujren,
  144. Baaham Sulook Mehro Mohabbat Mein Chahiye,

  145. Yeh Kya Ki Dono So~orten Tasveer Ban Gayi,
  146. Thodi Si Ched Chad Bhi Sohbat Mein Chahiye,

  147. Eh Daag Dekhte Hain Woh Ahde Nijaam Mein,
  148. Jo Intazam Tarze Hukumat Mein Chahiye…

  149. .............................................................................

  150. Haal Dil Ka Likhati Hu,
  151. Kar Sako Toh ~Yakin Kar Lo,

  152. Main Patr Tumhaare Lotati Hu,
  153. De Sako Toh Apni Tasveer De Do,

  154. Jab Shaadi Tumhari Hogi Toh,
  155. Kyu Patr Likha Tumne Mujhko,

  156. Main Kitna Badkismat Hun,
  157. Kyu Yaad Dilaya Tumne Mujhko…

  158. Sad Shayari - Related to: Tasveer, Yaad
  159. Comments Off on Kyu Yaad Dilaya Tumne

  160. .............................................................................

  161. Sangmarmar Ke Mahal Mein, Teri Tasveer Sajauga,
  162. Mere Is Dil Mein Ae Pyar, Tere Hi Khwab Sajaunga,

  163. Yun Ek Baar Aajma Ke Dekh, Tere Dil Mein Bas Jaunga,
  164. Main Toh Pyar Ka Py~ala Hun, Teri Hi Yaad Mein Mar Jaunga…

  165. .............................................................................

  166. Hum Bhi Chaahenge Tujhe~ Heer Ki Tarha
  167. Rab Se maangenge Tujhe Kisi Fakeer Ki Tarha
  168. Rang Naa Laayi Agar Hamari Ye Duayen
  169. To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha…

  170. .............................................................................
  171. Chahat Hama~ri Hogi Ek Geet Ki Tarha
  172. Rab Khud Hume Milaayega Ek Jeet Ki Tarha
  173. Rang Zarur Laayengi Hamaari Ye Duayen
  174. Hum Rehne Naa Denge Tujhe Kisi Tasveer Ki Tarha…

  175. .............................................................................

  176. Voh Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal

  177. Kyun yaad aane lga hai pal pal

  178. Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai
  179. Pyaara Lagne lga yeh lamba safar

  180. Waqt ka Na ~hosh hai Na darr kisi cheez ka
  181. Rub-a-ru huyi, intezaar tha Jis tasveer ka…


  182. .............................................................................
  183. Nigaho Me Tum Humko Bitha Lo
  184. Dil Me Tum Hum~e Hi Basa Lo
  185. Pyar Itna Kro Ki Hum Bhool Jayein Sabko
  186. Humari Wafa Ki Tum Tasveer Bana Lo…

  187. .............................................................................

  188. Duniya Walo Se Chupa Kar Unki Tasveer Bathroom Mein Laga Rakhi Hai,
  189. Wah Wah…
  190. Duniya Walo Se C~hupa Kar Unki Tasvir Bathroom Mein Laga Rakhi Hai,
  191. Aur Har Ghadi Unka Didar Ho Isliye Julab Ki Goli Kha Rakhi Hai…

  192. .............................................................................
  193. Chehre Pe Ashko Ki Lakeer Ban Gayi
  194. Jo Na Chaha Tha~ Wo Takdeer Ban Gayi
  195. Humne To Chalayi Thi Ret Per Ungli
  196. Gaur Se Dekha To Unki Tasveer Ban Gayi…

  197. .............................................................................

  198. Tasveer Ko Teri Banate Hain Aankhon Mein
  199. Khushboo Ko Teri Basate Hain Sanson Mein
  200. Jab Se Mohabbat~ Huyi Hai Tumse Jaane Tamanna
  201. Har Khwab Ko Teri Yaadon Se Sajate Hain Raaton Mein…

  202. .............................................................................
  203. Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Thi Wo
  204. Par Mere Khwa~bon Ki Tasveer Thi Wo
  205. Mujhe Milti To Kaise Milti
  206. Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Thi Wo…

  207. .............................................................................

  208. Unki Tasveer Me U~nke Bikhre Baal Dekhe
  209. Bekarar Aankhe, Bebas Haath Dekhe
  210. Bekarar Ho Gaye, To Unke Ghar Chale Gaye
  211. Magar Afsos, Unke Ghar Ke Darvaje Hamne Apne Liye Band Dekhe…


  212. .............................................................................

  213. Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi
  214. Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi
  215. Nazar Nahi Aate~ Ho Aap To Kya Hua
  216. In Aankho Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi…

  217. .............................................................................

  218. Ek Tasveer Jo Khawabo Ko Saja Jati Hai
  219. Kitne Soye Hue Jazbaat Jaga Jati Hai
  220. Aaj Bhi Unki Yaadein Akele Mein
  221. Muskan Ban Kar Lab Per Khil Jati Hai…

  222. .............................................................................
  223. Tere Laut Aane Ka~ Intezar Karte Hain
  224. Dekho Hum Tumse Kitna Pyar Karte Hain
  225. Hum Banate Hain Kagaz Per Tasveer Teri
  226. Fir Us Se Baatein Hum Hazaar Karte Hain…

  227. .............................................................................

  228. Teri Yaadon Ke Bikhre Tukde Chunkar
  229. Guzre Lamho Ki ~Tasveer Bana Loon
  230. Apni Har Khushi Tere Naam Likh Ke
  231. Tere Dukhon Ko Apni Taqdeer Bana Loon…

  232. .............................................................................

  233. Aadmi Kya Hai Gujrate Waqt Ki Tasveer Hai
  234. Jane Wale Ko Sada Dekar Bula Sakte Nahi

  235. Shaher Mein Rehte~ Hue Humko Zamana Ho Gaya
  236. Kaun Rehta Hai Kahan Kuch Bata Sakte Nahi

  237. .............................................................................

  238. Kitabon Mein Rakh Kar Sula Gaya Humko
  239. Aankh Band Kar ~Bhula Gaya Humko
  240. Ajeeb Musavvar Tha Jo Barishon Mein
  241. Deewaron Pe Bana Gaya Humko…

टिप्पणियाँ