poetry sms new message2017


  1. Is duniya mein dost kam milenge,
  2. is duniya mein gh~am hi gham milenge,

  3. jahan duniya nazar phair legi,
  4. us mod per dost tumhe hum milenge.

  5. Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai

  6. Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
  7. Dil ke qalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,

  8. Teer ki kya zaroorat e-janam,
  9. Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai

  10. Kisi ko deni ho jawani main saza

  11. koi chez be-wafai se barh ker kia hogi,
  12. Ghum-e-tan~hai judai se barh ker kia hogi,

  13. Kisi ko deni ho jawani main saza,
  14. to wo saza PARHAI se barh ker kia hogi:-)

  15. Khuda ne hume aisa banaya hi nai...

  16. Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
  17. Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi,
  18. Kisi ko humari kami mehsoos ho,
  19. Khuda ne hume aisa banaya hi nai...

  20. Mushkil hota hai jawab dena

  21. Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
  22. Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,

  23. Mushkil hota hai jawab dena,
  24. Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai

  25. Ap ki nigah agar meharban ho jai

  26. Ap ki nigah agar meharban ho jai
  27. Main jis zameen pe hoon wo asman ho jai

  28. Hai ab bhi aap ko shak mere dosti per
  29. To phir ik baar~ mera imtehan ho jai

  30. Pani ki bondain phulon ko bhiga rahi hai

  31. Pani ki bondain phulon ko bhiga rahi hai
  32. Thandi lehre~n ek tazgi jaga rahi hai,
  33. Ho jaye aap b inme shamil
  34. Ek pyari si subah aapko jaga rahi hai
  35. GOOD MORNING


  36. Phoolon ne Amrit ka jaam bheja hai,
  37. Sooraj ne gagan se Salam bheja hai,

  38. Mubarak ho Aapko Naya Janam Din,
  39. Tahe-Dil se Humne ye Paigaam bheja hai !

  40. Zindagi ka asli mukam abhi baki hai

  41. zindagi ka asli mukam abhi baki hai,
  42. hamare iradon ki imtihan abhi baqi hai,

  43. abhi to naapi hai muthi bhar zameen,
  44. aage sara asman baki hai...

  45. Bhool samajh kar bhool jana.

  46. Bhool se koi bhool hui to
  47. bhool samajh kar bhool jana.

  48. Are bhoolna sirf bhool ko,
  49. bhool se bhi hame na bhulana.

  50. Dil ke armano ki manzil hai teri dosti

  51. Zindagi ke tufan~o ka sahil hai teri dosti,
  52. Dil ke armano ki manzil hai teri dosti,

  53. Zindagi ban jaye jannat agar,
  54. Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti.

  55. Phool ki shuruvat kali se hoti hai

  56. Phool ki shuruvat kali se hoti hai,
  57. Zindagi ki~ shuruvat pyar se hoti hai,
  58. Pyar ki shuruvat apno se hoti hai aur
  59. apno ki shuruvat aapse hoti hai.
  60. * Happy Diwali *

  61. Suraj roshni le kar aayaa

  62. Suraj roshni le kar aayaa,
  63. Aur chidyon ne gaanaa gaayaa,
  64. Phoolon ne hans hans kar bolaa,
  65. Mubarak ho tumhaara janam din aaya!

  66. Tumhare rooth jaane ke baad.

  67. Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
  68. Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
  69. Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
  70. Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
  71. Tumhare rooth jaane ke baad.

  72. Nakaam si koshish kiya karte hain

  73. Nakaam si koshish kiya karte hain,
  74. Hum hai ke unse pyar kiya karte hain.

  75. Khuda ne taqdeer mein 1 tuta taara nahi likha,
  76. Aur ek hum hai ke chand ki aarzu kiya karte hain!

  77. Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
  78. Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
  79. Chandni raton~ mein aye gi meri yaad,
  80. Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.

  81. TERE YAAD

  82. Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad
  83. Behtar hai faraz so jana sham se pehle.

  84. Mout ke baad yaad

  85. mout ke baad yaad aa raha hai koi,
  86. mitti mery kabr ki utha raha hai koi,

  87. a khuda do pal ki zindgi or de de,
  88. mery kabr se udas ja raha hai koi...

  89. Ajeeb si kashish hai aap me

  90. Ajeeb si kashish hai aap me
  91. Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai��
  92. Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
  93. Hum din bhar soye rehtay hain.

  94. Muskurati bohut ho

  95. Aaj kal tum mus~hkurati bahut ho,
  96. mere dil ko bhaati bahut ho,
  97. dil kehta hai le jaaun tumhen dinner pe,
  98. par suna hai tum khaati bahut ho!

  99. Badalna aata nahi humko mousamon ki tarah

  100. Badalna aata na~hi humko mousmo ki tarah
  101. Har ek roop main tera intezaar karte hain
  102. Na tum samet sakogi jise qayamat tak
  103. Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

  104. Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi

  105. Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
  106. Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
  107. Main toot ke bikh~ar jaon, ye mumkin nahi,
  108. Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi.........


  109. Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
  110. Dil me basayi hai ~jo woh apki hi surat hai,
  111. Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
  112. Hume har kadam per aapki zarurat hai.


  113.  
  114. Hum ho gaye tumhare tumhe sochne k bad

  115. Hum ho gaye tumhare tumhe sochne k bad,
  116. Ab na daikhen gay kisi ko tumhe daikhne k bad,

  117. Dunya chor dain gai tumhai chorne k bad,
  118. KHUDA! Maaf kare itne jhut bolne k bad

  119. Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko

  120. Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko
  121. Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko

  122. Dil Say jo C~hahtay Hoo Maang Lo Khuda Say
  123. Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko
  124. EID MUBARAK

  125. Bund aankhon me nazar aayenge

  126. Aansuon mein na dhoondna hamein,
  127. Dil me hum bas jaayenge!

  128. Tamanna ho agar milne ki,
  129. to bund aankhon me nazar aayenge!!

  130. Dil main he mere Dard-e-bhutto

  131. Dil main he mere Dard-e-bhutto

  132. "Dard-e-bhutto"
  133. "Dard-e-bhutto"
  134. Wo hasina wo nilam pari,,
  135. hui thi wo election main khari,,
  136. na jane kahan se goli chal pari,,
  137. hamare lia ho gayi mushkil khari,,
  138. Dil main ha~y mere
  139. ""Dard-e-Bhutto""
  140. ""Dard-e-Bhutto""

  141. ha koi muqabla karne wala

  142. Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai..

  143. Hichkion ka aana ye batata hy,
  144. Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay,

  145. Dil nahi samajhta m~agar ye tu such hay,
  146. Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai..

  147. Agar zuban pey sharm-o-haya ka pehra tha To

  148. Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota,
  149. Sharab kam thi to pani mila diya hota,

  150. Agar zuban pey sharm-o-haya ka pehra tha To,
  151. Muskura key sar hi hila diya hota..

  152. Wo shakhs meri jaan bana rehta hy

  153. Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,
  154. Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,

  155. Koi muntazir hy uska kitni shiddat se,
  156. Wo janta hy magar anjan bana rehta hy...


  157. Ye dil na jaane kya kar baitha.
  158. Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.

  159. Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
  160. Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.

  161. khush rehne ki duaaein di hain

  162. Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
  163. Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.

  164. juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
  165. Phir bhi is tadapte dil ne tum~he khush rehne ki duaaein di hai.

  166. Sooni zindagi me halchal mehsoos hui

  167. Sooni zindagi me halchal mehsoos hui,
  168. bejan dil me dharkan mehsos hui,

  169. janey kion aaj aisa laga,
  170. shayad tu~mhari kami mehsoos hui.

  171. Hasna zindagi ki zarorut hai

  172. Zindagi me her dum hastey raho,
  173. Hasna zindagi ki zarorut hai,

  174. Zindagi ko is andaz mei jiyo k,
  175. Aap ko dekh ker log kahen "wo dekho"
  176. zindagi kitni khubsoorut hai

  177. Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena

  178. Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
  179. Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,

  180. Agar mile tumko kahin to utha lena,
  181. Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

  182. Main jo POOCHO tumhara HAAL-e-DIL

  183. Apni KHAMOSH~ zindagi main bolana mujhko,
  184. Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,

  185. Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
  186. To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko

  187. Kisne kaha judai hogi

  188. Kisne kaha judai hogi,
  189. Kisi ghair ney yeh khabar urai hogi,

  190. Barey shaa~n sey rahenge hum aap k dil mein,
  191. Itne dino me kuch to jagah banai hogi..!

  192. Koi gham nahi magar dil udas hai

  193. Koi gham nahi magar dil udas hai,
  194. Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,

  195. Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
  196. Zyada emotional na hona uper sub bakwa hai


  197. Sun liya hum ne faisla tera
  198. Aur sun ker udaas ho baithey

  199. Zehan chup chaap ankh khaali
  200. Jaisey hum kianaat kho baithey

  201. Har taraf noor hai khusboo hai

  202. Har taraf noor hai khusboo hai
  203. Teri ankhon mein kaisa jadoo hai

  204. Sari duniya hai~ meri jholi mein
  205. Aur duniya meri bas tu hai

  206. Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye

  207. Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye,
  208. Dil hai bay ghar use ek ghar Chahiye,
  209. Bas yun hi SAAT~H chalte raho ae DOST,
  210. Ye DOSTI humain UMARBHAR Chahiye...!!

  211. DOSTI - kaho to sirf 2 lafz

  212. DOSTI
  213. -Kaho to do lafz,
  214. -Mano to bandgi,
  215. -Socho to gehra sagar,
  216. -Dubo to zindagi,
  217. -Karo to aasan,
  218. -Nibhao to muskil,
  219. -Bikhre to sara zamana,
  220. -Simte to Sirf Aap.

  221. Dewangi se kum na thi kuch apni justuju

  222. Dewangi se kum na thi kuch apni justuju,
  223. Hum bewafa jahan mein wafa dhondte rahay,

  224. Mehromiyon k do~r mein Kin hasraton k sath,
  225. Hum chulon ki BIRYANI mein BOTI dhondte rahay:-D

  226. Aaj badal kalay gehray hain,aaj chand pay lakhon pehray hain

  227. Aaj badal kalay gehray hain,
  228. aaj chand pay ~lakhon pehray hain,

  229. Kuch tukray tumhari yaadon k,
  230. bari dair say dil mein thehray hain,

  231. Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga,

  232. Jis waqt khuda ne tumhain banaya hoga,
  233. ek saroor sa uske dil pe chaya hoga...
  234. pehle socha hoga tu~jhe jannat mein rakh lun..
  235. phir ussay zoo ka khayal aaya hoga...

  236. Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

  237. Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,
  238. kay rashk tere naseeb~ per falak kare,
  239. har more per frishtay hon sath tere,
  240. har ghum per hifazat tairi khuda kare...

टिप्पणियाँ