Parveen Shakir Sad Poetry shayari 2017


  • Badan Ki Garm Aa~nch Se Meri Aarzu Ko Aag De
  • Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho !!!

  • Parveen shakir two line shayari

  • Gham-e-dauran’ ne bhi seekhey Gham-e-jaana k chalan
  • wohi sochi hui chalein’ wohi besaKhtapan
  • wohi iqrar mein in~kaar k lakhon’ pehlu
  • wohi hon’ton’ pe tabassum wohi abaru pe shikan
  • kis ko dekhaa hai k pindaar-e-nazar ke baavasaf
  • ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan
  • kaun si fasl mein~ is baar mile hein tujh se
  • ham ko parvaah-e-gireban’ hey na fikr-e-daman
  • ab to chubhati hai hava barf ke maidaano ki
  • un dino jism ke ehasas se jalata tha badan !!!

  • Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
  • Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho !!


  • Teri khushbu ka pata karti hai
  • mujh pe~ ehsan hawa karti hai
  • shab ki tanhai main ab to aksar
  • guftagu tujh se raha karti hai
  • dil ko us rah pe chalna hi nahin
  • jo mujhe tujh se juda karti hai
  • zindagi meri thi lekin ab to
  • tere kahne main raha karti hai
  • us ne dekha ~hi nahin warna ye ankh
  • dil ka ehwal kaha karti hai
  • beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
  • ret par nam likha karti hai !!!

  • Vo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi
  • hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi
  • bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein
  • hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi
  • bigar chala hai b~ahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan
  • Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi
  • tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasam
  • hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi !!!

  • PARVEEN SHAKIR POETRY PARVEEN SHAKIR GAZALS

  • Badli Jo Rut Gharoor Key Gard O Ghubaar Ki
  • Dastar Khul Gayi Tere Jhoote Waqar Ki
  • Hum Nay Kah~a Na Tha Ke Na Badmast Ho Key Chalo
  • Mehangi Bahut Padegi Ye Izzat Udhar Ki !!!

  • Saza Ban Jati Hai Guzre Huwe Waqt Ki Yaadein,
  • Najaane Kyun ChoOr J~aane K Liye Meharban Hote Hein LoOg…

टिप्पणियाँ