Bahadur Shah Zafar Ghazal 2017

Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,
Lutt jaye kahin ~raah mein samaan kisi ka..

bahadur shah zafar shayari

BAHADUR SHAH ZAFAR GHAZALS AVAILABLE IN HINDI, URDU

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair,
main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair,
kya tab kya majal~ hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair,
bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair,
taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair !!!

Lagta nahii hai dil~ mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,
Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,
Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,
Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,
Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid ~likhi thi fasl-e-bahaar main,
Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..!!!!

GHAZAL WAS WRITTEN BY BAHADUR SHAH ZAFAR, THE LAST MUGHAL EMPEROR

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,
Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil ~kabhi aesi to na thi,
Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyat meri maayel kabhi aisi to na thi,
Akss-e-rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main mah-e-kamil kabhi aesi to na thi,
Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,
Nigaah-e-yaar ko ab kyun ~hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,
Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,
Kya sabbab tu jo bigarrta hai “zafar” se har baar,
Khuu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi.

टिप्पणियाँ